![]() |
pattaa pattaa buutaa buutaa - "Mir" Taqii Mir
-- 4th Sheyr really impressed me. Kya khub farmaaya hai "Mir" saab ne!
Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai Chaaragari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin Warna dilbar naadaan bhi is dard ka chaara jaane hai Mehr-o-wafa-o-lutf-o-inaayat, ek se waaqif in mein nahin Aur to sab kuch tanz-o-kanaya, ramz-o-ishaara jaane hai Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai Aashiq saa to saada koi aur na hoga duniya mein Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai Aashiq to murda hai hamesha ji uthta hai dekhe use Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai Kya kya fitne sar par uske laata hai maashooq apnaa Jis bedil betaab-o-tavaan ko ishq ka maaraa jaane hai Tashna-e-khun hai, apna kitna 'Mir' bhi naadaan, talkhi-kash Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai ~"Mir" Taqi Mir |
WWWWWAAAAAHHHHH ......
ye ek aisi jaadooee ghazal hai ki chaahein jitni baar bhi ise pardho ya suno ... is ka jaadaoo waisa ka waisa hi rehta hai ..... jaisa hai jaisa pehli baar is ke deedaar hone par mehsoos huwa tha !!! thanks aadeil ji for sharing it !!! |
Shukriya Zarraji,
Hamari kaushish rehti hai ki aise umda sheyr/gazal dhund dhund ke pesh karein. Een shayaron se hi to humein bhi hausla afzaaii milti hai |
All times are GMT +5.5. The time now is 10:18 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2021, Jelsoft Enterprises Ltd.