Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Anjuman-e-Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=27)
-   -   Gham aur Khushi se aage bhi jahaan hai (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=72697)

@kaash 8th March 2011 05:25 PM

Gham aur Khushi se aage bhi jahaan hai
 
Gham aur khushi se aage bhi jahaan hai
gham aur khushi me bhi jiska makaan hai


rakhta hai dard jo shiddat se sambhaalkar
rahti uske hothon pe sachhi muskaan hai


aadmi ka pehla kaam hai aadmi sa hi rahe
jo ise samajh jaaye vo banta insaan hai


muskurkar hi liya kijiye dosti ka naam
inayat yehi,yehi to dosti ki pehchaan hai


tasavvur ko pasand hai bebaaki bahut
kalam ka bhi magar apna imtehaan hai


'Kraant' mushkilon se jab hanske milo
zindagi hakikat me ban jati asaan hai



Kraant

http://poetry-kavita.blogspot.com/20...ur-jahaan.html

sajid_ghayel 11th March 2011 02:45 AM

Nice work...........................


All times are GMT +5.5. The time now is 05:29 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.