Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

rajveeer 2nd November 2014 04:30 PM

Naaz ji bhut pyara ashaar hai daag sahib...share karne ke liye shukria..Raj..

rajveeer 2nd November 2014 04:44 PM

Rishte nibhaane mei.n ham bhut ustaad hai.n yaaro,
Dosto ko dosti pe dushmano ko dushmani pe naaz hota hai...(Raj)

Qasid 2nd November 2014 10:58 PM

Quote:

Originally Posted by rajveeer (Post 471030)
Rishte nibhaane mei.n ham bhut ustaad hai.n yaaro,
Dosto ko dosti pe dushmano ko dushmani pe naaz hota hai...(Raj)

Wah behad khoob bhai purasar khayaalat

aapka apnaa

Qasid 2nd November 2014 11:01 PM

Quote:

Originally Posted by Pankaj Mishra (Post 470855)
Kal tak jo mila karte the wo rishte ka naam mohobbat tha !
Ab paaoN nahi aage badhte tehzeeb-e-shaher aabaad rahe !!

Pankaj bhai

Behad umdaa...yunhi is bazm mein jaan daalte rahiYeGaa..

aapka apnaa

Qasid 2nd November 2014 11:02 PM

Quote:

Originally Posted by lekhraj (Post 470879)
Mohabbat naam hai jiska, vo aisee qaid hai yaaro'n...
K umre'n beet jaati hai, saza puri nahi hoti...

Behad umdaa khayaalat, is sher ko mera salaam qubool farmaayein

aapka apnaa

Qasid 2nd November 2014 11:09 PM

hai ulfat cheez kya saahib kabhi puchaa tha jab usne
baat itni si hai jaanib khudaa ka khauf karte hai

sunita thakur 3rd November 2014 10:19 AM

Mast bhai...aik din meiN aik hi sher :)


"Woh tum se aaj door hai kal paas ayega,
Phir se khuda milayega afsos mat karo"
-Bashir Badr ji

sameer'shaad' 3rd November 2014 10:49 AM

Un ki ankhon main bhi halki si nami rehti hai,
Baat karte hain jo auron ko hasaane ke liye..

NM

rajveeer 3rd November 2014 02:38 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 471041)
hai ulfat cheez kya saahib kabhi puchaa tha jab usne
baat itni si hai jaanib khudaa ka khauf karte hai

Bhut khub mast bhaiii....kyaa baat hai...

rajveeer 3rd November 2014 02:42 PM

Tum jise maut samjhte ho ham usko zindagi kehte hai.n,
Fark itna sa hai tum is jaha.n ke or ham us jaha.n ke hai.n...(Raj)

Pankaj Mishra 3rd November 2014 09:15 PM

WafaaoN se koi ranzish nahi thi .....
Rafta rafta hamhiN unki baatoN me aa gaye .....

lekhraj 4th November 2014 06:03 PM


Kee mahobbat to siyaasat ka chalan chhod diya…


Ham agar ishq na karte to huqumat karte…


-nm

sunita thakur 6th November 2014 11:16 AM

Tu Jo Aa Jaaye To Is Ghar Ko Sanwarta Dekhu
Ek Muddat Se Jo Veeraan Hai Wo Basta Dekhu..!!!
-Bashir badr ji

sameer'shaad' 6th November 2014 11:36 AM

Meri kahee ek ghazal se ek adna sa sher ....

muddat huee ke dil meraa dhaDkaa bhi nahii hai.
aa jaao kisii roz mileN raahateN mujh ko....

Shaad...

rajveeer 11th November 2014 07:11 AM

zindagi mai.n sadiyo.n se teri rah mei.n khada hoo.n,
kabhi to tu bhi apni sahi raah pe nikal meri janib chal....Raj...

sunita thakur 12th November 2014 12:03 AM

aaj ka sher hai :

"itni syaah raat me kis ko sadayen doon,
aisa chiraagh de jo kabhi bolta bhi ho"
-bashir Badr ji

furqann 12th November 2014 09:18 PM

Konse zakham ka khulaa taa'Nkaa
Aaj kyu dil mein dard hota hai..???

Nm

sunita thakur 13th November 2014 09:44 AM

ajeeb raat thi kal tum bhi aa kar laut gaye,
jab aa gaye thy to pal bhar thehar gaye hote..!
-Bashir Badr ji

furqann 13th November 2014 10:45 AM

mujhe Sahara banane waalo
main ladkhadaaya to kya karoge??

Nm

tabaah 15th November 2014 02:51 PM

Chand sikon main bikta hai yahan insan ka
zameer,
Kon kehta hai mere mulk main mehengayi bohat
hai..
nm

sunita thakur 20th November 2014 09:56 AM

कुछ तो मजबूरियाँ रही होंगी, यूँ कोई बेवफ़ा नहीं होता
अपना दिल भी टटोल कर देखो, फासला बेवजह नही होता
-bashir Badr ji

sameer'shaad' 20th November 2014 12:18 PM

Anaaa ka maamla darpaish tha magar haqeeqat mein,
Usey meri, mujhe us ki zaroorat mehsoos hoti hai..


NM

sunita thakur 21st November 2014 09:33 AM

"wo mere sabr ko aik umr aajmata rha,
wo pathar hi rha, maiN sar ko jukata hi rha"
-Chaand
वो मेरे सब्र को एक उम्र आजमाता रहा,
वो पत्थर हि रहा, में सर को झुकता ही रहा।
- चाँद

sameer'shaad' 21st November 2014 11:03 AM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 471959)
"wo mere sabr ko aik umr aajmata rha,
wo pathar hi rha, maiN sar ko jukata hi rha"
-Chaand
वो मेरे सब्र को एक उम्र आजमाता रहा,
वो पत्थर हि रहा, में सर को झुकता ही रहा।
- चाँद

kyaa bata hai sunita deee............ waaaahhhhhhhhhhhh

sameer'shaad' 21st November 2014 11:04 AM

Ik kiran bhii to nahiN gham ki andherii raat mein,
Koi jugnu, koi aansu, koi taara kuch to ho...........

nm

Taish 22nd November 2014 02:01 AM

dekh kar jisko maiN shayaraana hua,
usko dekhe hue ik zamaana hua...

---Taish

sunita thakur 27th November 2014 10:32 AM

saat sandukoN mein bhar kar dafan kar do nafraten,,,
aaj insaan ko mohabbat ki zarurat hai bahut...

_Bashir Badr ji

sameer'shaad' 27th November 2014 06:25 PM

muhbbat ki usko duhaai na de,
jise dil ki dhadkan sunaai na de.........

nm

sameer'shaad' 1st December 2014 10:31 AM

Humain khabar thi dushman ke saare thikaanon ki,
Shareek-e-jurm na hote to mukhbrii* karte..

nm

sunita thakur 1st December 2014 11:42 AM

"dalan.O ki dhoop chattoN ki shaam kahaN",
ghar ke bahar ghar jaisa aaraam kahaN"
-NM

anand123sri 2nd December 2014 01:35 AM

नसीबा दे लेख कोई मोड़ नै सकदा,
होव रब्ब ते ऐतबार कोई तोड़ नै सकदा,
सच्चे प्यार ता मिल्दे ने नसीब नाल,
लाख छह के वि किसे नाल रिश्ता कोई जोड़ नै सकदा.

anand123sri 2nd December 2014 01:37 AM

वह हमारी एक खता पर

हमसे कुछ इस कदर रूठ कर चल दिए....

जैसे सालो से उन्हें किसी वजह की तलाश थी

anand123sri 2nd December 2014 01:38 AM

Love is special blessing to human being.

sameer'shaad' 2nd December 2014 12:07 PM

musalsal dekhnaa tumko hame kartaa hai deewaana,
jo na aao nazar tum to ye dam mera nikalta haii...

Shaad.....

sameer'shaad' 5th December 2014 04:50 PM

Aaj ka sher...........

tere bagair dil meraa dhadkaa hai musalsal,
ye bhi huaa ke dil kahiN lagta bhi naheeN hai...!!

Shaad....

sunita thakur 6th December 2014 10:05 AM

shohrat kii bulaNdii bhii pal bhar kaa tamashaa hai
jis daal pe baiThe ho vo TuuT bhii saktii hai
Dr. Bashir Badr

rajveeer 9th December 2014 05:15 AM

Aii waqt tere sadke tu mujh pe ehsaan kar gyaa,
Tu bura aiya ya bhala aiya magar guzar gyaa...(Raj)

sameer'shaad' 10th December 2014 10:36 AM

Sher of the day..............................


dil wo nahi jo dekh ke muh apnaa fer le,
dil wo hai jo tadap uThe gairoN ke soz pe....

tabaah 11th December 2014 06:48 PM

Tarteeb-E-Sitam ka bhi saleeqa tha use,
pehle pagal kiya aur phir mujhe pathar maaray…

nm

Taish 11th December 2014 11:12 PM

jab se basne lage dil meiN aap,
dhadkanoN meiN bagawat hui..

---Taish

sameer'shaad' 12th December 2014 09:16 AM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 472862)
Tarteeb-E-Sitam ka bhi saleeqa tha use,
pehle pagal kiya aur phir mujhe pathar maaray…

nm

Waaaaahhhhh tabaah...... tabaah kkar ke maanoge...

bahot khoob sher pesh kiyaa hai..... keep sharing


Shaad......

rajveeer 21st December 2014 04:11 PM

Zindagi ye teri ankahee baatai.n koii samjhe kaise,
Jo hai wo dikhta nahi.n jo hai nahi wo dikhe kaise....(Raj)

tabaah 21st December 2014 11:29 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 472877)
Waaaaahhhhh tabaah...... tabaah kkar ke maanoge...

bahot khoob sher pesh kiyaa hai..... keep sharing


Shaad......

aapka behad sukriya shaad sahab.. :)

tabaah 21st December 2014 11:31 PM

शायद इश्क उतर रहा है सिर से…..
मुझे अलफ़ाज नहीं मिलते शायरी के लिए….!!
nm

areeba khan 3rd January 2015 07:02 PM

aik tehni ke phul hein dono
mout aur zindagi mein naata hai

amjad islam amjad!!

areeba khan 7th January 2015 09:27 PM

Na zindgi ke liye,Na dosti ke liye
waqt rukta nahi kisi ke liye.
Qadam do qadam to sabhi chalte hai,
Sath chalta nahi koi zindgi bhar ke liye

sameer'shaad' 8th January 2015 09:35 AM

Kya sitam hai ke ab teri suurat,
Ghaur karne pe yaad aati hai..

-john eliya.

lekhraj 8th January 2015 10:51 AM

Naa khushi kharid pata hu'n, Naa ghum bech pata hu'n..
Fir bhi naa jane kyu main, Har roz kamaane jata hu'n..


-nm

Taish 11th January 2015 11:05 PM

Kabhi Geeta, kabhi Quraan de kar,
MaiN dono taraf behkaya gaya hooN...

Sadak ho, naksali hamle ya sarhad,
MaiN hi marta hua paaya gaya hooN...

--Taish

sameer'shaad' 12th January 2015 09:29 AM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 473750)
Kabhi Geeta, kabhi Quraan de kar,
MaiN dono taraf behkaya gaya hooN...

Sadak ho, naksali hamle ya sarhad,
MaiN hi marta hua paaya gaya hooN...

--Taish

nice one lucky bhai..............

areeba khan 12th January 2015 03:06 PM

Khud Pe Beeti Tw Rotay HoO Sisakte HoO..!!
Or Jo Hamne Kiya..Kia WoO IshQ Nahii Tha.?

areeba khan 14th January 2015 07:28 PM

apni apni janat ke kooch khaab liye
apni apni dozakh mein sab jeete hain

Taish 15th January 2015 03:26 AM

Quote:

Originally Posted by areeba khan (Post 473817)
apni apni janat ke kooch khaab liye
apni apni dozakh mein sab jeete hain

ahcha khayaal hai mohtarma...


Aaj ka sher

Ashq rukte nahiN meri aankhon ke,
Koi laa de mujhe naii aaNkheN...

bhushan 15th January 2015 08:26 AM

Zamana kahta hai k burai muhabbat me nahi.
Muhabbat kar k fir kyoon dil-o-jaa pareshan hai

sameer'shaad' 15th January 2015 09:10 AM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 473823)
Zamana kahta hai k burai muhabbat me nahi.
Muhabbat kar k fir kyoon dil-o-jaa pareshan hai

bahot khooob bhushan saahab.. par kyaa kare muhabbat hai hi aisi zaalim...

sameer'shaad' 15th January 2015 09:11 AM

aaj kaa sher...


Aisi tareekiyaa.n aankhon mein basi hain ke Faraaz,
Raat to raat hai, hum din ko jalaate hain chiraagh..

-Ahmed faraaz

tabaah 15th January 2015 10:13 PM

उस चोर के पेट की आग मे ज़िंदगी के सारे असुल जल गये...

पैदा तो वो भी जब हुआ था तो ईमानदार ही था...
nm

sameer'shaad' 22nd January 2015 12:43 PM

Bhool jaana bhulaa denaa faqat weham hii to hai,
DiloN se kab nikalte hain mohabbat jin se ho jaaye..

NM

areeba khan 23rd January 2015 11:13 PM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 473822)
ahcha khayaal hai mohtarma...


Aaj ka sher

Ashq rukte nahiN meri aankhon ke,
Koi laa de mujhe naii aaNkheN...

thanku mohtaram taish jee,
niicee sher,

maana teri nazaro me kuch nahi h hum
kabhi unse jaake pooch jinko haasil nahi h hum

Taish 28th January 2015 11:36 PM

Aaj ka sher:

kayi dinoN ke baad tumhari yaad aayi hai,
kayi dinoN tak kaam chalaya jaa sakta hai...

--Manoj Azhar

Taish 31st January 2015 12:33 AM

dekh unka sitam mohabbat meiN,
dard pehle se kam mohabbat meiN...

bhushan 31st January 2015 10:01 AM

Mar hi jate hum teri muhabat me
Koi sisak sisak ke jiya bhi to kya jiya

bhushan 1st February 2015 12:41 PM

Jisne pahachana nahi hosh waloon ki mahfil me
Hum nashe me uska naam lete rahe

(NM)

dampudi 1st February 2015 01:42 PM

पढ़ने वालों की कमी हो गयी है आज इस ज़माने में, नहीं तो गिरता हुआ एक-एक आँसू पूरी किताब है…!! - See more at: http://www.trueshayari.in/sms/two-li....kgHsMbDZ.dpuf

tabaah 2nd February 2015 08:19 AM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 474110)
dekh unka sitam mohabbat meiN,
dard pehle se kam mohabbat meiN...

bahut umdaah peshkash janaab..

tabaah 2nd February 2015 08:22 AM


Tumhari yaad ki paiwand* lag gayi warna,
Mere wajood ki urr jati dhajjiyan kitni..

(paiwand:bandage)

not mine

Hassan 2nd February 2015 12:45 PM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 474132)

Tumhari yaad ki paiwand* lag gayi warna,
Mere wajood ki urr jati dhajjiyan kitni..

(paiwand:bandage)

not mine

waaaaah ... waaaaah ... tabaah saahab.. bohat khoob...

asal rang chupaya tha naqaab ne..
girgit ko bhii maat dii janaab ne...



girgit : chameleon


bhushan 3rd February 2015 04:57 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 474134)
waaaaah ... waaaaah ... tabaah saahab.. bohat khoob...

asal rang chupaya tha naqaab ne..
girgit ko bhii maat dii janaab ne...



girgit : chameleon


Waaaaah bohot khoob janab




Maat de to di humen par kabhi bhala ye socha hai
Dil bhale hum hare..par chain to tumhara bhi lut gaya

sameer'shaad' 4th February 2015 10:10 AM

Hassan bhai/ Bhushan bhai / aur tabaah saahab........

waahhh bahot khoob sher pesh kiye hain aap sab ne.. bahot khoob mahfil jamaai hai.... mubaarak ho.

Khamosh zindagi jo bassar kar rahe hain hum,
Gehre samandaron main safar kar rahe hain hum..
NM



Shaad....

lekhraj 4th February 2015 06:17 PM

Tere Ishq Se Mili Hai, Mere Wajood Ko Ye Shohrat…!


Mera Jikr Hi Kaha'n Tha Teri Daastan Se Pehle…!!!


~nm

Taish 5th February 2015 12:55 PM

Quote:

Originally Posted by lekhraj (Post 474178)
Tere Ishq Se Mili Hai, Mere Wajood Ko Ye Shohrat…!


Mera Jikr Hi Kaha'n Tha Teri Daastan Se Pehle…!!!


~nm

umda sharing saaheb....

Aaj ka sher....

yahaaN rishtey banana bhi koi fashion samajh lijee,
bana lete marasim par nibhana bhool jaate haiN...

--Taish

Taish 6th February 2015 09:30 PM

Aaj ka sher:

dekh kar jisko maiN shayarana hua,
usko dekhe hue ik zamana hua...

--Taish

tabaah 7th February 2015 10:37 AM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 474134)
waaaaah ... waaaaah ... tabaah saahab.. bohat khoob...

asal rang chupaya tha naqaab ne..
girgit ko bhii maat dii janaab ne...



girgit : chameleon


wah wah... kya baat hai Hassan bhai.. bahut acha example use kiya apne.. well said ..

tabaah 7th February 2015 10:41 AM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 474232)
Aaj ka sher:

dekh kar jisko maiN shayarana hua,
usko dekhe hue ik zamana hua...

--Taish

bahut achi peshkash Taish saheb..

mera aaj ka sher..


Band mutthi se girti huyi rait ki tarah,
Bhulaa diya tum ne to zara zara kar ke..


bhushan 7th February 2015 11:33 AM

Quote:

Originally Posted by lekhraj (Post 474178)
Tere Ishq Se Mili Hai, Mere Wajood Ko Ye Shohrat…!


Mera Jikr Hi Kaha'n Tha Teri Daastan Se Pehle…!!!


~nm

Bohot umdah sahab....kya baat hai

Dastaa-e-ishq me naam mera tu likhe,na likhe.
Teri dawaat me apna lahu bhar diya maine.


All times are GMT +5.5. The time now is 04:46 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.