Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

Madhu 14 30th June 2015 07:24 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 480672)
Jabse naseeb ki lakeeron ko padhne ka hunar seekha
Aye khuda maine sabhi ilzaam apne sar hai le liye

Waaaaahh!!
Bahut khooob sher kaha mast ji...........

Madhu 14 1st July 2015 01:43 PM

ye na jaanaa the ki us mahfil me.n dil rah jaa.egaa
ham ye samjhe the chale aa.e.nge dam bhar dekh kar


MAMNOON NIZAMUDDIN

sameer'shaad' 1st July 2015 01:54 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 480748)
ye na jaanaa the ki us mahfil me.n dil rah jaa.egaa
ham ye samjhe the chale aa.e.nge dam bhar dekh kar


MAMNOON NIZAMUDDIN

waahhhhhhhhhhhhh............. ye sher pesh kiyaa aapne, laakhon me ek.....
abhi tak iske nashe me jhoom rahe hain....... abhut ummdah..... TFS

Madhu 14 1st July 2015 02:00 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 480749)
waahhhhhhhhhhhhh............. ye sher pesh kiyaa aapne, laakhon me ek.....
abhi tak iske nashe me jhoom rahe hain....... abhut ummdah..... TFS

sharing ki pasandigi ka shukriya shaad...

sunita thakur 1st July 2015 03:00 PM

Mil kar juda hue toh na soya karenge hum,
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum.
-Qateel Shifai

Qasid 2nd July 2015 07:41 AM

Dil pe aae huye ilzaam se pehchaante hai
log ab mujhe tere naam se pehchaante hai

Qateel Shifai

Madhu 14 2nd July 2015 10:37 AM

Qateel sahab ke bahut khoobsoorat sher pesh kiye aap dono ne....waah!!

Taish 2nd July 2015 11:30 AM

miri raakh me thi kahin kahin mere ek khwaab ki kirchiyaaN,
mere jism-o-jaan me chipa hua teri qurbaton ka khayaal tha...

----Unknown

sameer'shaad' 2nd July 2015 11:50 AM

aayee hogee hijr me kisii ko maut,
mujh ko to neend bhii nahii aatee...


-Akbar Allahabaadi.

Madhu 14 2nd July 2015 12:07 PM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 480858)
miri raakh me thi kahin kahin mere ek khwaab ki kirchiyaaN,
mere jism-o-jaan me chipa hua teri qurbaton ka khayaal tha...

----Unknown

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 480864)
aayee hogee hijr me kisii ko maut,
mujh ko to neend bhii nahii aatee...


-Akbar Allahabaadi.

kya baat bahut khoob sher...share karne ka shukriya shaad ji aur taish ji...

Madhu 14 2nd July 2015 12:19 PM

kuchh aur bhii saa.Nse.n lene par majabuur-saa mai.n ho jaataa huu.N
jab itane ba.De ja.ngal me.n kisii insaan kii Khushbuu aatii hai .....

qateel sifai

sunita thakur 3rd July 2015 11:39 AM

khwaab kuch raat bhar jale haiN yahaaN,
raakh aaNkhon pe mal raha hooN maiN...
-Taish

sameer'shaad' 3rd July 2015 03:05 PM

Be-khudee me le liyaa bosaa khataa keeje mu'aaf,
ye dile betaab kii saaree khataa thee , main na thaa..

-Zafar

Madhu 14 3rd July 2015 03:47 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 480986)
Be-khudee me le liyaa bosaa khataa keeje mu'aaf,
ye dile betaab kii saaree khataa thee , main na thaa..

-Zafar

Waah...khoob sharing shaad ji...

ISHK EK IBADAT 3rd July 2015 04:44 PM

Socha karte h hum yu hi kabhi ki tum na hote to kya hote,
Dil mein hota kitna dard or safar kitna tanha hota.

Qateel shifai

Taish 3rd July 2015 05:41 PM

ham nay unkay saamnay awwal to awwal to khanjar rakh diya,
phir kaleeja rakh diya,dil rakh diya,sar rakh diya...

----Daagh Dehalvi

sunita thakur 4th July 2015 09:55 AM

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaane Kis Desh Gaye Pyaar Nibhaane Waale ?

-Qateel Shifai

Taish 4th July 2015 11:28 AM

ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

---Gulzar

ISHK EK IBADAT 4th July 2015 12:11 PM

Teri Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koi,
Itni Sadgi Se Barbad Koi Gair Nahi Karta

Qateel Shifai

Madhu 14 4th July 2015 12:28 PM

Waahhh!Umda sher pesh kiye hain aap sab ne...

Madhu 14 4th July 2015 05:04 PM

Chalo Achha Hua Kaam AA Gai Deewaangi Apni
Varna Ham Zamaane Bhar Ko Samjhaane Kahaan Jaate
(Qateel sifai)

bhushan 4th July 2015 06:08 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 481080)
Chalo Achha Hua Kaam AA Gai Deewaangi Apni
Varna Ham Zamaane Bhar Ko Samjhaane Kahaan Jaate
(Qateel sifai)

Waaah kyaazal yaad dila di aapne Madhu ji.

bhushan 4th July 2015 06:10 PM

Tumhari berukhi ne laaj rakhli badakhane ki
Tum aankho se pila dete to paimane kahan jate

Qateel Sifai

Qasid 5th July 2015 12:46 PM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 481084)
Tumhari berukhi ne laaj rakhli badakhane ki
Tum aankho se pila dete to paimane kahan jate

Qateel Sifai

Bahut khoob janaab..umda sher share kiya hai aapne...

Qasid 5th July 2015 12:48 PM

kuchh is adaa se aap ne puuchhaa miraa mizaaj
kahnaa pa.Daa ki shukr hai parvardigaar kaa

JALEEL MANIKPURI

ISHK EK IBADAT 5th July 2015 12:56 PM

Mere ghumgeen hone par ahbaab hain yun hairaan ‘qateel
jaise main patthar hun mere seene mein jazbaat nahin. !!

Qateek Shifai

Taish 5th July 2015 01:07 PM

Aankhoon ka rang, baat ka lehja badal gaya
wo shaks aik sham main kitna badal gaya !

---Not Mine

Taish 6th July 2015 11:35 AM

uska ab bhi suroor hai mujh pe,
aaj vo bhi utaar de saaqi...

----Taish

Madhu 14 7th July 2015 12:33 PM

ik dhuup sii jamii hai nigaaho.n ke aas paas
ye aap hai.n to aap pe qurbaan jaa_iye ...
NM

tabaah 7th July 2015 11:50 PM



कभी जो थक जाओ तुम दुनिया की महफिलों से,
हमें आवाज दे देना, हम अकसर अकेले होते हें.

nm

Qasid 8th July 2015 08:04 AM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 481239)


कभी जो थक जाओ तुम दुनिया की महफिलों से,
हमें आवाज दे देना, हम अकसर अकेले होते हें.

nm

Wah bahut khoob aur gehra sher hai yeh....adaab aapko is sher par...

sameer'shaad' 8th July 2015 10:10 AM

itnaa to mujhe yaad hai kuch usne kahaa thaa,
kyaa usne kahaa thaa ye mujhe yaad nahii hai...

nm

Madhu 14 8th July 2015 10:13 AM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 481239)


कभी जो थक जाओ तुम दुनिया की महफिलों से,
हमें आवाज दे देना, हम अकसर अकेले होते हें.

nm

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 481263)
itnaa to mujhe yaad hai kuch usne kahaa thaa,
kyaa usne kahaa thaa ye mujhe yaad nahii hai...

nm

kya baat hai...bahut hee behtareen sher share kiye hain aap dono ne...bahut shukriya....

Madhu 14 8th July 2015 10:46 AM

ab kahaan dost mile sath nibhane wale..
sab ne seekhe hain adab zamaane wale...

sada ambalvi

sameer'shaad' 8th July 2015 10:54 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 481281)
ab kahaan dost mile sath nibhane wale..
sab ne seekhe hain adab zamaane wale...

sada ambalvi

waahh kya abaat hai madhu ji.......... bhaut ummdah sher hai

Qasid 8th July 2015 04:30 PM

Nabz dekh kar vo haal-e-dil jaan lete hai
Dost dil ke har baat ko pehchaan lete hai


...Mast

sameer'shaad' 8th July 2015 05:37 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 481329)
Nabz dekh kar vo haal-e-dil jaan lete hai
Dost dil ke har baat ko pehchaan lete hai


...Mast


bhai aapka sher padh kar ek sher aur yaad aa raha hai.... muaafii ki arzee ke saath pesh kar rahaa hoon......


Dekhii jo merii nabz to ek lamhaa soch kar,
kaagaz liyaa aur ishq kaa beemaar likh diyaa....



unknown.........

Madhu 14 8th July 2015 06:27 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 481329)
Nabz dekh kar vo haal-e-dil jaan lete hai
Dost dil ke har baat ko pehchaan lete hai


...Mast

Waaah ji waaah!! Kya sher kaha hai...kash ki sabko aise dost mil jayein...

Madhu 14 8th July 2015 06:28 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 481335)
bhai aapka sher padh kar ek sher aur yaad aa raha hai.... muaafii ki arzee ke saath pesh kar rahaa hoon......


Dekhii jo merii nabz to ek lamhaa soch kar,
kaagaz liyaa aur ishq kaa beemaar likh diyaa....



unknown.........

Bahut khoob sher pesh kiya shaad ji......aaj to mahfil me dosti ke rang bikhre hain...kya baat hai...

Taish 8th July 2015 11:39 PM

Kitni raaten main roya tujhe yaad kar,
Khwaab aate haiN seelan bhare ab mujhe...

----Taish

Madhu 14 10th July 2015 11:26 AM

bahut hoob taish ji...

daagh duniya ne diye zakhm zamaane se mile
hamko tohfe ye tumhe dost banane se mile..

kaif bhopali..

Qasid 10th July 2015 01:29 PM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 481349)
Kitni raaten main roya tujhe yaad kar,
Khwaab aate haiN seelan bhare ab mujhe...

----Taish

Umdaa mere bhai, is sher par aapko mubarakbaad.

Taish 10th July 2015 02:19 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 481523)
Umdaa mere bhai, is sher par aapko mubarakbaad.

Thanku bade miyaaN aur madhu ji...

Ab aaj ka sher:

Teri aankhen haiN husn ka dariya,
Meri aaNkhoN meiN bhi samandar hai...

----Taish

Dhaval 10th July 2015 02:22 PM

Waah lucky bhaii .............. :)

bhushan 10th July 2015 03:48 PM

TitliyaaN jo baithiN hai sanam ke aanchal par,
Shayad meri hasratoN k par nikal aaye haiN

Bhushan

sameer'shaad' 11th July 2015 10:10 AM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 481567)
TitliyaaN jo baithiN hai sanam ke aanchal par,
Shayad meri hasratoN k par nikal aaye haiN

Bhushan

bahut khoob janaab.............................

Taish 11th July 2015 10:58 AM

Aaj ka sher:

Khushbu Qasoor-Waar, Nahi, Is Ko Chor Do
Main Phool Torte Huwe, Kanton Pe Ja Gira...


---Unknown

Qasid 13th July 2015 07:44 AM

Sehar se shaam tak khusbhu mein teri doobne waale
na aashiq bhi agar kehlaaye to unki zindagi kya ho

sunita thakur 13th July 2015 09:34 AM

"kisi ne aankhoN meiN dhool kya jonki,
ab pehle se behtar dikhne lga hai"
किसी ने आँखों में धूल क्या झोंकी
अब पहले से बेहतर दिखने लगा है....
-nm

sameer'shaad' 13th July 2015 10:00 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 481896)
Sehar se shaam tak khusbhu mein teri doobne waale
na aashiq bhi agar kehlaaye to unki zindagi kya ho


waaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh kyaa khoob shher likhaa hai bhai....... qatl kar gayaaaa waaahhhhhhhhhhh bahut khoob bahut si daad pesh hai apako........


shaad.....

Madhu 14 13th July 2015 10:05 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 481896)
Sehar se shaam tak khusbhu mein teri doobne waale
na aashiq bhi agar kehlaaye to unki zindagi kya ho

kya baat kya baat kya baat......subah subah qahar dha diya hai aapne....:)
bahut khoob sher hua hai mast sahab....

sunita thakur 14th July 2015 09:33 AM

"मैंने दरिया से सीखी है, पानी की परदा-दारी
ऊपर-ऊपर हँसते रहना, गहराई में रो लेना"

"Maine Dariya se seekhi hai, paani ki parda-daari,
opper opper haste rehna, gehrai meiN ro lena"
-nm

Madhu 14 14th July 2015 09:38 AM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 482077)
"मैंने दरिया से सीखी है, पानी की परदा-दारी
ऊपर-ऊपर हँसते रहना, गहराई में रो लेना"

"Maine Dariya se seekhi hai, paani ki parda-daari,
opper opper haste rehna, gehrai meiN ro lena"
-nm

Waaaaaah......bahot khoob sher share kiya hai di.....shukriya

sunita thakur 14th July 2015 09:48 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 482078)
Waaaaaah......bahot khoob sher share kiya hai di.....shukriya

pasand karne ke liye shukriya Madhu Bala :)

Madhu 14 14th July 2015 12:01 PM

dosti aam hai lekin ae dost
dost milta hai badi mushkil se..

hafeez hoshiarpuri

bhushan 14th July 2015 10:44 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 482132)
dosti aam hai lekin ae dost
dost milta hai badi mushkil se..

hafeez hoshiarpuri


Waaah behad umdah sharing Madhu ji

Aaj ka sher

Meri raah me dekh kar mushkileN itni
Usne naseeb me dost likh diye honge

Bhushan

Dhaval 14th July 2015 11:11 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 482132)
dosti aam hai lekin ae dost
dost milta hai badi mushkil se..

hafeez hoshiarpuri

waah khoob......................

sameer'shaad' 15th July 2015 09:57 AM

Aaj kaa sher....

maine dekhaa hai tujhe chaand ko takte rahnaa,
kyaa teraa dil mere bagair bhi lag jaataa hai.....


Shaad.....

Madhu 14 15th July 2015 10:01 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 482281)
Aaj kaa sher....

maine dekhaa hai tujhe chaand ko takte rahnaa,
kyaa teraa dil mere bagair bhi lag jaataa hai.....


Shaad.....

Kya haseen sher pesh kiya hai.....waaah ji...subah subah dil khush ho gaya padkar....

sunita thakur 15th July 2015 10:26 AM

"woh to khushboo hai har simat bikhrna hai usey,
dil ko kyuN zidd hai ki aagosh meiN bharna hai usey"
-nm

Dhaval 15th July 2015 10:28 AM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 482286)
"woh to khushboo hai har simat bikhrna hai usey,
dil ko kyuN zidd hai ki aagosh meiN bharna hai usey"
-nm

Waah sister khoob..............

sunita thakur 15th July 2015 10:39 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 482288)
Waah sister khoob..............



shukriya chottu pasand aaya tuje yeh sher :)

sunita thakur 16th July 2015 09:55 AM

"ज़माने भर की ईदों से हमें क्या वास्ता 'ग़ालिब'
हमारा चाँद दिख जाये, हमारी ईद हो जाये"

"zamane bhar ki EidoN se hame kya vaasta 'Ghalib'
hamara Chaand dikh jaaye, hamari Eid ho jaaye"

Madhu 14 16th July 2015 12:34 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 482456)
"ज़माने भर की ईदों से हमें क्या वास्ता 'ग़ालिब'
हमारा चाँद दिख जाये, हमारी ईद हो जाये"

"zamane bhar ki EidoN se hame kya vaasta 'Ghalib'
hamara Chaand dikh jaaye, hamari Eid ho jaaye"

waaah waaah,,,umda sharing di....

Madhu 14 16th July 2015 12:35 PM

Kisi kisi ke naseebon mein ishq likha hai,
har ek dimaagh bhala kab hai iss khalal ke liye.


qateel shifai..

Taish 16th July 2015 06:05 PM

KahkasaaN* toot ke bikhre to bikhar jaane do,
Ye sitaare tere aaNchal pe thahar jaayeNge...

--Taish

Qasid 16th July 2015 06:07 PM

Bahut khoob sher huye Madhu ji aur lucky bhai....Bahut umdaa

Dhaval 16th July 2015 08:44 PM

मेरे हाथों को मालूम है तुम्हारे गिरेबानों का पता...
चाहूँ तो पकड़ लूँ.. पर मजा आता है माफ करने में.,.,!!!

Mere hathon ko malum hai tumhare girebano ka pata
Chahun to pakad lun par maja aata hai maaf karne me

Not mine

Taish 17th July 2015 10:21 AM

Aaj ka sher(abhi abhi dimag ke garden se ukhaad kar laya hua...) :p :

YaadoN ki jab mere zakhmoN ko hawa lagti hai,
Tab dawaa lagti hai mujhko na duaa lagti hai...

----Taish

sameer'shaad' 17th July 2015 10:29 AM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 482587)
Aaj ka sher(abhi abhi dimag ke garden se ukhaad kar laya hua...) :p :

YaadoN ki jab mere zakhmoN ko hawa lagti hai,
Tab dawaa lagti hai mujhko na duaa lagti hai...

----Taish

ekdam owen fresh sher pesh kiyaa janaab.... waahhh

Qasid 17th July 2015 10:47 AM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 482587)
Aaj ka sher(abhi abhi dimag ke garden se ukhaad kar laya hua...) :p :

YaadoN ki jab mere zakhmoN ko hawa lagti hai,
Tab dawaa lagti hai mujhko na duaa lagti hai...

----Taish

Umdaa bhai bahut umdaa sher hua hai.....mubaarkbaad aapko is bemisaal sher par....

Madhu 14 17th July 2015 11:40 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 482512)
मेरे हाथों को मालूम है तुम्हारे गिरेबानों का पता...
चाहूँ तो पकड़ लूँ.. पर मजा आता है माफ करने में.,.,!!!

Mere hathon ko malum hai tumhare girebano ka pata
Chahun to pakad lun par maja aata hai maaf karne me

Not mine

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 482587)
Aaj ka sher(abhi abhi dimag ke garden se ukhaad kar laya hua...) :p :

YaadoN ki jab mere zakhmoN ko hawa lagti hai,
Tab dawaa lagti hai mujhko na duaa lagti hai...

----Taish

bahot khoob sher share kiya dhaval ji......
waaah....bahot khoob sher kaha taish ji......

Madhu 14 17th July 2015 11:41 AM

aapke qurb se pahle mujhe maalum na tha
zindagi itni dil aavez bhi ho sakti hai..


shakeel ahmad ziya..

Dhaval 17th July 2015 11:43 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 482615)
aapke qurb se pahle mujhe maalum na tha
zindagi itni dil aavez bhi ho sakti hai..


shakeel ahmad ziya..


Bahot khoob madhu jee......................

Dhaval 17th July 2015 11:53 AM

फाँसी लगा ली एक दिन गिरगिट ने खुदा से ये कहके...
दुनिया में रँग बदलने में इन्सान हमसे आगे हैं,., !!

Faansi laga li ek girgit se khuda se ye kahke
Duniya me rang badalne me insan hamse aage hain

Not mine


All times are GMT +5.5. The time now is 10:47 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.