Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

Madhu 14 10th June 2016 06:57 PM

Mera dil aaj phir mujhse jhagad kar pooch baitha hai
Meri nadaniyon ki har saza usne kyun payi hai..

Madhu..

sabaa kiyani 10th June 2016 08:46 PM

[COLOR="Magenta"]vaah madhu ji buhet acha sjeir share kiaa hey aap ney ji[:)
............/COLOR]

sabaa kiyani 10th June 2016 08:47 PM


............................
Who Jo Bichra Tu Main Ne Jana
Log Mar Kar Bi Jiya Kartey Hai'n..!!
nm

Madhu 14 10th June 2016 09:02 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 493248)
[COLOR="Magenta"]vaah madhu ji buhet acha sjeir share kiaa hey aap ney ji[:)
............/COLOR]

Shukriya saba dear ...............

Madhu 14 10th June 2016 09:02 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 493249)

............................
Who Jo Bichra Tu Main Ne Jana
Log Mar Kar Bi Jiya Kartey Hai'n..!!
nm

Waahh.............................

Mujahid Ali 11th June 2016 11:43 AM

Laayi zindagi mujhe phir ussi maqaam pe
Kya gila karu bhala apney ikhtataam pe

Ikhtataam= end/anjaam

Mujahid

sabaa kiyani 12th June 2016 03:02 PM


Shikway Shikayatou'n ki Nahi .............Yeh Zarf Zarf Ki Baat Hy

Terey Vehm-O-Guma'n Mei'n Bhi Hum Nahi,Aour Tu Lafz Lafz Hamai'n Yaad Hy
nm

Madhu 14 12th June 2016 11:57 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 493286)

Shikway Shikayatou'n ki Nahi .............Yeh Zarf Zarf Ki Baat Hy

Terey Vehm-O-Guma'n Mei'n Bhi Hum Nahi,Aour Tu Lafz Lafz Hamai'n Yaad Hy
nm

Waaahhhh bahut khoob...........................

Madhu 14 13th June 2016 03:26 PM

Darmiyaa.n dooriyaa.n bhi hain manzoor ab
shart hai tere lab par tabassum rahe....

Madhu...

Madhu 14 14th June 2016 02:40 PM

Kuch batein rahein dil me agar dafn to achcha
Kuch raaz bata dena usool e vafa bhi hai.....

Madhu...

Awydsailor 14th June 2016 04:00 PM

alfaaz kahe jate hai saade pani ki tarah..
Jajbaato se uske rang badal jate hai...
Hamara kuchh v kahna unhe gawara ni..
Aur wo kuch v kah ke sare aam nikal jaate hai..

sabaa kiyani 15th June 2016 03:09 PM


Har Tasveer K 2 Rukh Hai, Jaan Or Gam-e-Jaana,
Ek Naqsh Chhupana Hain Ek Naqsh Dikhana Hain!
nm

Mujahid Ali 17th June 2016 10:26 AM

Dayaar-e-ishq mai apna maqaam paida kar
Naya zamana naye subh-o-shaam paida kar

Allama Iqbal

sabaa kiyani 18th June 2016 09:03 PM


Ji ke ji hi me rahi ek baat hone naa paayi,
Iss haif ki usse mulaqaat hone naa paayi!
nm

tabaah 19th June 2016 12:23 AM


Ae shakhs! Ab to mujhko sabhi kuch qabool hai
Ye bhi qabool hai ke tujhe cheen le koi

John Elia

Madhu 14 19th June 2016 11:43 AM

Waah...khoob sher share kiye hain aap sab ne..

Aise hee mahfil roshan rakhein..

Mujahid Ali 20th June 2016 11:36 AM

Alfaaz- o -ma'ani mai tawafat nahi lekin
Mulla ki azaaN aur mujahid ki azaaN aur

Allama iqbal

sameer'shaad' 21st June 2016 12:22 AM

ek se badh kar ek sher pesh kiye hain aap sabhii ne....... meri taraf se aap sabhii ko dher saari shubh kaamnaaen.....

khush rahiye

Shaad....................

Mujahid Ali 21st June 2016 06:07 PM

Dil se jo dua nikalti hai asar rakhti hai
Par nahi taqat-e-parvaaz magar rakhti hai

Taqat-e-parvaaz= power to fly

Allama iqbal

sameer'shaad' 22nd June 2016 01:15 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493383)
Dil se jo dua nikalti hai asar rakhti hai
Par nahi taqat-e-parvaaz magar rakhti hai

Taqat-e-parvaaz= power to fly

Allama iqbal

bahut khoob......................................

Mujahid Ali 23rd June 2016 04:37 AM

Phir bhi humse ye gila hai ke wafadaar nahi
Hum wafadaar nahi tu bhi toh dil-daar nahi

Allama iqbal

Madhu 14 23rd June 2016 06:52 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493414)
Phir bhi humse ye gila hai ke wafadaar nahi
Hum wafadaar nahi tu bhi toh dil-daar nahi

Allama iqbal

Waah.....bahut khoob sher pesh kiya mujahid ji.......

Ayan_khan 23rd June 2016 11:12 PM

सहम उठते हैं कच्चे मकान, पानी के खौफ़ से;
महलों की आरज़ू ये है कि, बरसात तेज हो!!!

Madhu 14 24th June 2016 06:58 AM

Quote:

Originally Posted by Ayan_khan (Post 493433)
सहम उठते हैं कच्चे मकान, पानी के खौफ़ से;
महलों की आरज़ू ये है कि, बरसात तेज हो!!!

Waaahhhhh!!!bahut khoob...........................

Mujahid Ali 24th June 2016 10:30 AM

Sad jalwa ru-baru hai jo mizghaaN uthaiye
Taaqat kahaaN ke deed ka ehsaaN uthaiye

MizghaaN= eyelases/palke
Sad= hundred

Mirza ghalib

Mujahid Ali 25th June 2016 10:17 AM

Meer ke deen-o-mazhab ko poochtey kya ho unn ne toh
Qashka khincha dayr mai baitha kab ka tark islam kiya

Qashka= tilak/teeka
Dayr= temple

Meer taqi meer

Ayan_khan 26th June 2016 11:31 AM

इतनी मनमानियाँ भी अच्छी नहीं होती..
तुम सिर्फ अपने ही नहीं, मेरे भी हो...!!

Mujahid Ali 26th June 2016 04:14 PM

Dil soz se khaali hai nigeh paak nahi hai
Phir iss mai ajab kya ke tu be-baak nahi hai

Allama iqbal

Madhu 14 26th June 2016 09:14 PM

Waaaahhh.....bahut khoob .

Mera khwabo.n pe bas nahi chalta, Jane kyun behisab aate hain
Dil me uthte huye sawalon ka, Aap bankar jawaab aate hain...

Madhu..

Mujahid Ali 26th June 2016 10:53 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 493475)
Waaaahhh.....bahut khoob .

Mera khwabo.n pe bas nahi chalta, Jane kyun behisab aate hain
Dil me uthte huye sawalon ka, Aap bankar jawaab aate hain...

Madhu..


Intehayi haseen sher hai madhu sahiba
Bohat achha laga

Azaz AHMAD 27th June 2016 06:53 AM

हमने अँधेरों से दोस्ती कर ली है सफरीन

ये ऊझालो मे भी साथ देते है साया बनकर


.. Azaz AHMAD..

Mujahid Ali 27th June 2016 08:16 AM

Haa voh nahi khuda-parasth jaao voh be-wafa sahi
Jis ko ho deen-o-dil azeez uss ki gali mai jaaye kyu

Mirza ghalib

Qasid 27th June 2016 09:22 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493479)
Haa voh nahi khuda-parasth jaao voh be-wafa sahi
Jis ko ho deen-o-dil azeez uss ki gali mai jaaye kyu

Mirza ghalib

Bahut khoob janaab kya sher share kiya hai aapne mazaa aa gaya

Mujahid Ali 28th June 2016 09:01 AM

Sajda-e-ishq ho toh ibaadat mai maza aata hai
Khaali sajdo mai toh duniya hi basa karti hai

Allama iqbal

Madhu 14 28th June 2016 09:29 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493476)
Intehayi haseen sher hai madhu sahiba
Bohat achha laga

shukriya janaab...................

Madhu 14 28th June 2016 09:34 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493500)
Sajda-e-ishq ho toh ibaadat mai maza aata hai
Khaali sajdo mai toh duniya hi basa karti hai

Allama iqbal

waah....behtareen sharing............................

Madhu 14 28th June 2016 10:08 AM

Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe
Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai

mohsin naqvi...

Mujahid Ali 29th June 2016 09:51 AM

Aaye ushshaaq gaye vaada-e-farda le kar
Ab unhey dhoondh chirag-e-rukh-e-zeba le kar

Ushshaaq= lovers/aashiq
Vaada-e-farda= unfulfilled future promise

Allama iqbal

fakhri 30th June 2016 12:38 AM

kitna badal gaya
 
Ek insaan kitna badal jata hai:

jub tuk maa ki gaud me tha, mujhe dunya ki pervah na thi
ab dunya ki gaud mei.N hu.N aur maa ki mujhe pervah nahi.N

Fakhri

Qasid 30th June 2016 09:12 AM

Quote:

Originally Posted by fakhri (Post 493524)
Ek insaan kitna badal jata hai:

jub tuk maa ki gaud me tha, mujhe dunya ki pervah na thi
ab dunya ki gaud mei.N hu.N aur maa ki mujhe pervah nahi.N

Fakhri

Fakhri sahab arse baad nazr aa rahein hai janaab kahan the? kya baat kahi hai aapne sach mein bahut khoob aate rahiYeGaa


All times are GMT +5.5. The time now is 02:14 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.