Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Ghazal Section (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=14)
-   -   mazhab kae naam per honae walae fasaadaat kae naam aek ghazal (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=53862)

yasmeenraaz 5th December 2006 04:30 PM

mazhab kae naam per honae walae fasaadaat kae naam aek ghazal
 
ghazghazal

Masjid ko jalaaya kertae ho
Mandir ko giraaya kertae ho

Nafrat ko bitta ker her dil main
Chaahat ko bhagaaya kertae ho

Ghaeroan ko bhi apna kerna tha
Apnoan ko praaya kertae ho

Ae waqt ka ajger zaalim hai
Tum isko jagaaya kertae ho

(ajger,,,,anaconda)

Phooloan ki jaga,is gulshan main
Kaantoan ko ugaaya kertae ho

Achcha hai uttatae girtoan ko
Girtoan ko giraaya kertae ho

Naadaan ho,mohabbat ki duniya
Mitti main milaaya kertae ho

Tum apni wafaaoan kae khissae
Behroan ko sunaaya kertae ho

(behroan...deaf)

Wo jis ki saza hai tum ko mili
Ab wo hi dobaara kertae ho

Kiya phir sae bahaaraen aayaengi?
Kiyoon khawaab dikhaaya kertae ho

Zindoan ka tumhaen kuch hosh nahin
Khabroan ko sajaaya kertae ho

( insaan jab tak zinda rehta hai us kae liyae duniya ki cheezaen zaroori hain ,mernae kae baat usae na phooloan ki zaroorat hai na agarbattioan ki
magar aksar aesa hota hai khud apnae ghar main koi takleef main hai padoasi dukhi hai kisi ko koi faraq nahin pardta
magar uskae merjaanae kae baad us kae khabr per phooloan ki maalaayaen chardhaayee jaati hain jo kae mernae walae kae kisi kaam ka nahin )

Ab daekh kae apni ae haalat
kiyoon ashk bahaaya kertae ho

Zakhmi hai RAZ ka toota dil
Kiyoon teer chalaaya kertae ho

razia

Dhaval 5th December 2006 04:41 PM

insaan jab tak zinda rehta hai us kae liyae duniya ki cheezaen zaroori hain ,mernae kae baat usae na phooloan ki zaroorat hai na agarbattioan ki
magar aksar aesa hota hai khud apnae ghar main koi takleef main hai padoasi dukhi hai kisi ko koi faraq nahin pardta
magar uskae merjaanae kae baad us kae khabr per phooloan ki maalaayaen chardhaayee jaati hain jo kae mernae walae kae kisi kaam ka nahin )


razia ji bilkul sahi kaha aapne apne kalaam me har sher apne ap hi sab bayan kar raha hai bahot achha laga apdh ke aapko har bar aapki likhavat me kuch na kuch nayapn dikhai detahai

dilse likhi ghazal ke liye dilse nikli dad ko kubul kijiyenga razia ji

apna khayal rakhiye

aapka dost
dhaval

munfairy 5th December 2006 06:25 PM

frnd 4 ever
 
Quote:

Originally Posted by yasmeenraaz (Post 220438)
ghazghazal

Masjid ko jalaaya kertae ho
Mandir ko giraaya kertae ho

Nafrat ko bitta ker her dil main
Chaahat ko bhagaaya kertae ho

Ghaeroan ko bhi apna kerna tha
Apnoan ko praaya kertae ho

Ae waqt ka ajger zaalim hai
Tum isko jagaaya kertae ho

(ajger,,,,anaconda)

Phooloan ki jaga,is gulshan main
Kaantoan ko ugaaya kertae ho

Achcha hai uttatae girtoan ko
Girtoan ko giraaya kertae ho

Naadaan ho,mohabbat ki duniya
Mitti main milaaya kertae ho

Tum apni wafaaoan kae khissae
Behroan ko sunaaya kertae ho

(behroan...deaf)

Wo jis ki saza hai tum ko mili
Ab wo hi dobaara kertae ho

Kiya phir sae bahaaraen aayaengi?
Kiyoon khawaab dikhaaya kertae ho

Zindoan ka tumhaen kuch hosh nahin
Khabroan ko sajaaya kertae ho

( insaan jab tak zinda rehta hai us kae liyae duniya ki cheezaen zaroori hain ,mernae kae baat usae na phooloan ki zaroorat hai na agarbattioan ki
magar aksar aesa hota hai khud apnae ghar main koi takleef main hai padoasi dukhi hai kisi ko koi faraq nahin pardta
magar uskae merjaanae kae baad us kae khabr per phooloan ki maalaayaen chardhaayee jaati hain jo kae mernae walae kae kisi kaam ka nahin )

Ab daekh kae apni ae haalat
kiyoon ashk bahaaya kertae ho

Zakhmi hai RAZ ka toota dil
Kiyoon teer chalaaya kertae ho

razia


ASSALAM WALEKUM ,
kaash main aapko kuch keh sakti,bas itna hi kahungi.ki aap ke khayalat aapka likha ek ek lafz ,MASHA ALLAH dil ko chhu jate hain.
bas aap likhte rahiye,aur hum aapko padhkar ,kuch sikhne ki koshish karenge.
apna khayal rakhiye
**************************
NAFRAT se MOHABBAT hai badi cheez..
is duniya main aaye ho ,to PYAR kharido.

**********(¨`·.·´¨) Always *************
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´

geet_varsh 20th December 2006 10:33 PM

:) Saalame ishq meri jaan jara kabool kar lo,tum hamse pyar karne ki jara si bhool karlo

yasmeenraaz 5th January 2007 10:02 PM

salam
 
Quote:

Originally Posted by geet_varsh (Post 221419)
:) Saalame ishq meri jaan jara kabool kar lo,tum hamse pyar karne ki jara si bhool karlo

khabool hai salam bhi
ae teara piyaam bhi

razia

nahta 14th October 2007 08:19 PM

razia ji,

kyaa likhaa hai aapne. dil chhu liyaa. aankhe num ho gayi. bus logo.N ko you.N hi aainaa dikhaate rahiye. isii tarah ki ek ghazal meri bhi hai ghazal section mei.N "Aman Ke Naam"
pad kar bataaiyegaa kaisee lagee.

nahta praveen

Asif jamil 10th November 2007 11:26 PM

Razia baji aapka kalaam padhkar dil laraz jaata hai....sachhi shayeri to ye hi hai jo samaj ko sudhhar ki taraf le jaye

mujib66 13th November 2007 03:47 PM

wah wah wah..kiya baat hai
bohut khoob.
mubarak ho

aap ka
mujeeb


All times are GMT +5.5. The time now is 10:44 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.