Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

Madhu 14 19th April 2016 01:17 PM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 492451)
bade dino baad SDC ka rukh kiya.. ek se bhad kar ek sher dekhe inke liye sabhi ko shukriya or mubarakbad..
aaj ka sher..
tamaam jazbon se moatbar* hai,
udaas aankhon se muskuraanaa...

nm
(moatbar = respected)

Waah................khoobsoorat sharing

Madhu 14 19th April 2016 01:18 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492457)
پا کے تری پناہ یہ دل اب محفوظ بھی ہوگیا؛
تیری وفاؤں سے مرا دل مقروض بھی ہوگیا؛

Paa ke teri panaah ye dil ab mehfooz bhi hogaya
Teri wafaao se mera dil maqrooz bhi hogaya

Maqrooz= debted

Mujahid

Bahut khoob mujahid sahab...........

Mujahid Ali 20th April 2016 09:53 AM

دیکھا تو ہم نے بہت پر تجھ سا فرد نہیں دیکھا
سو زخم کھائے عشق میں ایسا درد نہیں دیکھا


Dekha toh humney bohat par tujh sa fard nahi dekha
Sou zakham khaye ishq mai aisa dard nahi dekha

Fard= individual

Mujahid

Qasid 20th April 2016 10:59 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492471)
دیکھا تو ہم نے بہت پر تجھ سا فرد نہیں دیکھا
سو زخم کھائے عشق میں ایسا درد نہیں دیکھا


Dekha toh humney bohat par tujh sa fard nahi dekha
Sou zakham khaye ishq mai aisa dard nahi dekha

Fard= individual

Mujahid

Bahut umdaa sher Mujahid bhai, pur asar....yunhi likhte rahiYe

Qasid 20th April 2016 11:00 AM

Yeh sher ek dost ke naam.....

zid har ik baat par nahii.n achchhii
dost kii dost maan lete hai.n

Dagh Dehlvi

Madhu 14 20th April 2016 11:31 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492476)
Yeh sher ek dost ke naam.....

zid har ik baat par nahii.n achchhii
dost kii dost maan lete hai.n

Dagh Dehlvi

Waaah..khobsoorat sher share kiya hai aapne .

Dost kii dost maan lete hai.n.....bahut khoob...

sameer'shaad' 21st April 2016 10:59 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492476)
Yeh sher ek dost ke naam.....

zid har ik baat par nahii.n achchhii
dost kii dost maan lete hai.n

Dagh Dehlvi

waaahhh janaab kyaa khooob sher mahfil ko ataa kiaa hai aapne.... duaa karte hain is sher ki kashish aapke dost tak zaroor pahuche..........

Qasid 21st April 2016 11:02 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 492500)
waaahhh janaab kyaa khooob sher mahfil ko ataa kiaa hai aapne.... duaa karte hain is sher ki kashish aapke dost tak zaroor pahuche..........

kyun ne pahunchegi mere bhai maangne se khudaa bhi haasil hota hai.....meri dastak agar haqq-ashnaa rahi to dosti dagaa nahi degi....

Qasid 21st April 2016 11:04 AM

Aaj ka sher

diyaa KHaamosh hai lekin kisii kaa dil to jaltaa hai
chale aa.o jahaa.n tak raushnii ma.aluum hotii hai

Nushur Wahidi

Mujahid Ali 21st April 2016 11:05 AM

Uss ki nigaah-e-kashish ne dil ko bohat mutasir kiya
Voh shakhs kya hoga jo aaye nazar khoob tasveer se

Mujahid

Madhu 14 21st April 2016 12:34 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492504)
Aaj ka sher

diyaa KHaamosh hai lekin kisii kaa dil to jaltaa hai
chale aa.o jahaa.n tak raushnii ma.aluum hotii hai

Nushur Wahidi

waah!!!! behtareen sharing.......

Madhu 14 21st April 2016 12:35 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492507)
Uss ki nigaah-e-kashish ne dil ko bohat mutasir kiya
Voh shakhs kya hoga jo aaye nazar khoob tasveer se

Mujahid

kya baat hai sahab...................waah!!!

Madhu 14 21st April 2016 12:35 PM

Jo mere shai’r meN mujh se zayada boltaa hai
Main os ki bazm meN ek harf zer-e-lab bhi nahiN

parveen shakir..

sameer'shaad' 21st April 2016 09:27 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 492519)
Jo mere shai’r meN mujh se zayada boltaa hai
Main os ki bazm meN ek harf zer-e-lab bhi nahiN

parveen shakir..

waahhhh kyaa khoob sher pesh kiyaa hai ....... bahut ummdah............


shaad........

sameer'shaad' 21st April 2016 09:29 PM

tumse door rahnaa bhi ek azaab ho jaise,
meri har saans me tum yaad aate ho........!!

Mujahid Ali 22nd April 2016 07:14 AM

مل جائے جنّت سبھی کو چلو کچھ ایسے عمل کرے
رہ جائے گر کوئی نقص اسے تبدیل و بدل کرے

Mil jaaye jannat sabhi ko chalo kuch aisey amal karey
Reh jaaye gar koi nuqs usey tabdeel- o- badal
karey

Mujahid

Madhu 14 22nd April 2016 07:59 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 492523)
waahhhh kyaa khoob sher pesh kiyaa hai ....... bahut ummdah............


shaad........

Shukriya..................................

Madhu 14 22nd April 2016 08:00 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 492524)
tumse door rahnaa bhi ek azaab ho jaise,
meri har saans me tum yaad aate ho........!!

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492525)
مل جائے جنّت سبھی کو چلو کچھ ایسے عمل کرے
رہ جائے گر کوئی نقص اسے تبدیل و بدل کرے

Mil jaaye jannat sabhi ko chalo kuch aisey amal karey
Reh jaaye gar koi nuqs usey tabdeel- o- badal
karey

Mujahid

Waahh!! Bahut khoob doston...........

Mujahid Ali 23rd April 2016 09:26 AM

Agar kho gaya ek nasheyman toh kya gham
Maqamaat-e-aah-o-fughaan aur bhi hai

Allama iqbal

Mujahid Ali 24th April 2016 09:37 AM

Gaye din ke tanha tha mai anjuman mai
Yaha ab merey raazdaan aur bhi hai

Allama iqbal

Madhu 14 24th April 2016 11:26 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492560)
Gaye din ke tanha tha mai anjuman mai
Yaha ab merey raazdaan aur bhi hai

Allama iqbal

waah umda sharing...................................

Qasid 24th April 2016 01:22 PM

uske paimane mein kuchh aur, mere paimane mein kuch aur
dekhna saki ho na jaye, tere maikhane mein kuchh aur

NM

Madhu 14 24th April 2016 01:48 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492575)
uske paimane mein kuchh aur, mere paimane mein kuch aur
dekhna saki ho na jaye, tere maikhane mein kuchh aur

NM

Waaah...khoobsoorat sharing........

Mujahid Ali 25th April 2016 06:52 AM

ہوں گے ہزاروں راز بھی سرِ محفل میں انکشاف
یک بار کوئی صد چاک کر دے سیاہ چلمن میں


Honge hazaaro raaz bhi sar-e-mehfil mai inkishaaf
Yak baar koi sad-chaak kar de siyaah chilman mai

Inkishaaf= disclose
Sad-chaak= torn into hundred pieces
Siyaah= black

Mujahid

Madhu 14 25th April 2016 11:03 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492585)
ہوں گے ہزاروں راز بھی سرِ محفل میں انکشاف
یک بار کوئی صد چاک کر دے سیاہ چلمن میں


Honge hazaaro raaz bhi sar-e-mehfil mai inkishaaf
Yak baar koi sad-chaak kar de siyaah chilman mai

Inkishaaf= disclose
Sad-chaak= torn into hundred pieces
Siyaah= black

Mujahid


Bahut khoob...........

Paron Ko Kaat Dia Hai Urhan Se Pehle
Ye Khof-E-Hijr Hai, Shoq-E-Wisal Thori Hai...

Parveen shakir

Mujahid Ali 26th April 2016 07:56 AM

Jiss shehar ki taqdeer mai sirf zulmat hi likha ho
Chirag se us ka muqaddar bhala roshan kaise hoga

جس شہر کی تقدیر میں صرف ظلمت ہی لکھا ہو
چراغ سے اُس کا مقدّر بھلا روشن کیسے ہو گا

Mujahid

Madhu 14 26th April 2016 10:52 AM

Hai dil me dard bhi ranjish bhi aur muhabbat bhi
Labon pe fir tabassum kahaa.n se laun ab....

Madhu.

Mujahid Ali 27th April 2016 08:04 AM

اپنے شہر کے اجڑ جانے کا گلا تُو نا کر اب
بنا اپنا آشیاں تُو اب مکمّل آسماں کو

Apney shehar ke ujar' jaaney ka gila tu na kar ab
Bana apna aashiyaan tu ab mukammal aasmaan ko


Mujahid

sabaa kiyani 27th April 2016 03:21 PM

Tota hai zor taiz hawaon ka akharash,
Ye aur bat kitne parindon ke par gae.
nm

Madhu 14 27th April 2016 09:06 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 492613)
Tota hai zor taiz hawaon ka akharash,
Ye aur bat kitne parindon ke par gae.
nm

Waah................khoob peshkash..

Azaz AHMAD 27th April 2016 09:20 PM

Sone Se Pehle Apna Didaar Karva Diya Karo.."Safreen"
Ke Phir Ye Hamari Ankhein Khule Ke Na Khule...! !


.. Azaz AHMAD..

Mujahid Ali 28th April 2016 11:32 AM

Inn nigaah- e -naaz mai meri tasveer jhalakti hai
Tere saanso mai wafaao ki khushbuu mehekti hai

اِن نگاہِ ناز میں میری تصویر جھلکتی ہے
ترے سانسوں میں وفاؤں کی خوشبو مہکتی ہے

Mujahid

Mujahid Ali 29th April 2016 07:20 AM

بہت اُمّید لیکر آئے تھے تیرے شہر میں ہم
مگر تُو بھی ہزاروں کی طرح اک بے وفا نکلا

Bohat ummeed lekar aaye thai tere shehar mai hum
Magar tu bhi hazaaro ki tarah ek be-wafa nikla

Mujahid

Madhu 14 30th April 2016 03:06 PM

Kyu tujhe dekhkar uthti hai mujhpe nazar..
.kya tere rukh par mera naam likha hota hai...

Nm

Qasid 1st May 2016 08:36 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 492640)
Kyu tujhe dekhkar uthti hai mujhpe nazar..
.kya tere rukh par mera naam likha hota hai...

Nm

kya baat chaliye is sawaal ka jawaab dekhte hai


hijaab mein aab-aab hayadaar hue jaate hai
jhuki abroo par ehteraam likha hota hai

MaST

Qasid 1st May 2016 08:37 AM

Jigar sahab ka ek sher yaad aa raha hai aaj subah

ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai

Jigar Moradabadi

Madhu 14 1st May 2016 04:35 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492648)
kya baat chaliye is sawaal ka jawaab dekhte hai


hijaab mein aab-aab hayadaar hue jaate hai
jhuki abroo par ehteraam likha hota hai

MaST

Waah! Waah! Khoobsoorat andaaz me jawab pesh kiya aapne....shukriya...

Madhu 14 1st May 2016 04:37 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492649)
Jigar sahab ka ek sher yaad aa raha hai aaj subah

ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai

Jigar Moradabadi


Kya baat hai!!Behad umda sher share kiya hai aapne....
Shukriya...

Madhu 14 5th May 2016 03:08 PM

Ajab aitbar-o-be-aitbari ke darmiyan hai zindagi;
Main qareeb hoon kisi aur ke, mujhe jaanata koi aur hai.

Saleem kausar.
....

Azaz AHMAD 7th May 2016 04:47 PM

Hamne Khud Mein Kitna Basa Liye Hai
Tumeh Zara Socho To Sahi..!!
Ham Jism Se Apni Ruh Nikal Sakte Hai
Par Tumko Kabhi Bhi Nahi..!!


.. Azaz AHMAD..


All times are GMT +5.5. The time now is 06:06 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.