Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Sharaab (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=3)
-   -   hum phire dar-ba-dar sharaab ke baad (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80569)

zarraa 30th October 2020 10:11 AM

hum phire dar-ba-dar sharaab ke baad
 
सब गए अपने घर शराब के बाद
हम फिरे दर-ब-दर शराब के बाद

कैसे घुल-मिल गए हैं आपस में
शाम-ओ-लैल-ओ-सहर शराब के बाद

हो गया तेरा काम पर ऐ दोस्त
दो घड़ी तो ठहर शराब के बाद

या तो पी ले शराब तू भी या
बात हम से ना कर शराब के बाद

तुझ को जल्दी है क्या कि बात कोई
कब रही मुख़्तसर शराब के बाद

भूली यादों की ओर मत जाना
राह ये पुर-ख़तर शराब के बाद

शक से पूछे निकाल कर साक़ी
जाओगे अब किधर शराब के बाद

हुस्न होता है दीद में पिन्हां
देखना इक नज़र शराब के बाद

क़ायदे रख शराब-नोशी के
टूट पर मत बिखर शराब के बाद

और बेख़ुद हुए हैं पर हम ने
पाई ख़ुद की ख़बर शराब के बाद

एक की ही कमी रही हरदम
एक जाम और भर शराब के बाद

आ गया दिन शराब छोड़ने का
छोड़ देंगे मगर शराब के बाद

मैं ही रिन्दां हूं मैं ही साक़ी हूं
है ना कोई दिगर शराब के बाद

“ज़र्रा" कुछ भी नहीं पर अहल-ए-बज़्म
देखना तुम हुनर शराब के बाद

- ज़र्रा

sab ga’e apne ghar sharaab ke baad
hum phire dar-ba-dar sharaab ke baad

kaise ghul-mil gaye haiN aapas meN
shaam-o-lail*-o-sahar sharaab ke baad
*night

ho gaya tera kaam par ai dost
do gharhi to thahar sharaab ke baad

ya to pi le sharaab tu bhi ya
baat hum se na kar sharaab ke baad

tujh ko jaldi hai kya ki baat koi
kab rahi mukhtasar* sharaab ke baad
*brief

bhooli yaadoN ki or mat jaana
raah ye pur-khatar* sharaab ke baad
*full of danger

shak se poochhe nikaal kar saaqi
jaaoge ab kidhar sharaab ke baad

husn hota hai deed meN pinhaaN*
dekhna ik nazar sharaab ke baad
*hidden

qaayde rakh sharaab-noshi ke
toot par mat bikhar sharaab ke baad

aur bekhud hue haiN par hum ne
paai khud ki khabar sharaab ke baad

ek ki hi kami rahi hardam
ek jaam aur bhar sharaab ke baad

aa gaya din sharaab chhorhne ka
chhorh deNge magar sharaab ke baad

maiN hi rindaaN* hooN maiN hi saaqi hooN
hai na koi digar** sharaab ke baad
*drunkards **other

“zarraa” kuchh bhi naheeN par ahl-e-bazm
dekhna tum hunar sharaab ke baad

- zarraa

maikasH 15th October 2022 03:55 AM

Ahaaa!!!

kya Ghazal raqm hui hai zarraa bhai, qurbaan jaauN aapke. Jeete rahiye!!

Dhaval 19th December 2022 02:26 PM

zarra saaheb

namaste !

aik ke bad aik sher aapki Ghazal ka padhtaa hi rahaa..lajawaab Ghazal aur Khayaal !!

dil se daad

Khush rahen ...apna khayal rakhen

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka
Dhaval


All times are GMT +5.5. The time now is 03:22 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.