Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   General Stories (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=30)
-   -   Amrita pritam...ka ek panna.... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=20508)

sanjoo 11th March 2004 05:41 PM

Amrita pritam...ka ek panna....
 
Amrita pritam jii ki kitab mai se ek panna chhun kai laya huu...pata nahi kyun ye bachpann ka sach aaj bhii jinnda sa lagtaa hai.....

Koyii 11 baras ki thii..jab achanak ek din maa bimar ho gayi!
Bimari koyi muskil se ek saptah rahi hogi...jab maine dekha ki maa ki charpa_ee k eerd-girrd baithe huve sabhii kai muh ghabraye tha_i!
'meri binna kahan hai?' kahte hai...ek bar meri maa ne pucha tha aur jab meri maa ki saheli pritam kaur mera haath pakad kar mujhe maa k pass legayi tau maa ko hosh nahi thaa!
'To Ishwar ka naam le ..ree! koon jane uske maan mai daya aa jaye!bachho ka kaha wah talta nahi....' meri maa ki saheli..merii mausii..ne mujhse kaha!
Maa ki charpa_ee k pass khade huve mere pair pathhar k se hogaye!Mujhe kayii varshon se Ishwar se dhyaan jodne ki aadat thii....aur ab jab ek sawal bhi samne thaa...dhyaan jodna kathin nahii thaa!Maine na jane kitnni der apna dhyaan jode rakha aur Ishwar se kaha-'Meri maa ko mat marna!'
Maa ki charpa_ee se ab maa ki pida se karaahtii awaaz nahi aa rahi thii....par irrd-girrd baith_ey huve logon mai ek khalbalii si pad gayi thee! Mujhe lag raha- bekar hi sab ghabra rahe hai...ab maa ko pida nahi ho rahi hai!Mere Ishwar se apni baat kah di hai-'wah bachho ki baat nahi taal ta!'
Aur fhir maa ki chikon ki awaaz nahi aa_ee...par sare ghar ki chiikhen nikal gayi!Meri maa mar gayi thii.....uss dinn mere maan mai rosh ubal pada-'ISHWAR KISI KI NAHI SUNTA..BACHHON KII BHII NAHI'
Yaha wah din thaa...Jiss kai baad maine varshon ka niyaam chhod diya!peetajii ki agyaa badi kathor hoti thii...par meri jiddne unki kathorta se takkar le li:
'Ishwar koyii nahi hota hai!'
'Aesaa nahi kehte'
'kyun?'
'Waha naraaz ho jayega'
'Tau ho jaye..mai jantii hu Ishwar koyi nahi hai!'
'To kaise janti hai?'
'agar waha hota..tau meri na sunta?'
'To ne usai kya kaha thaa?'
'Maine ussai kaha thaa..merii maa ko mat marna!'
'Tune kabi ussai dekha hai?waha dikha_ee nahi deta hai!'
'Par uusai suna_ee bhii nahi deta hai'.............

banjara'''' 11th March 2004 11:58 PM

hi
 
sanjoo sahab
how r u?

tumhare lafzon main tumhare zok ka ilm to hota tha
aaj tumhari is choice ne wakayi...main hmain khush kar diya...
AMRITA PRITAM JI...ko maine ziada nahin parha magar kuch zaror parha hay..or un ki swaneh umri kuch logon per likhi hui zaror parhi hay..
kmaal likhti hain yar woh...
thaks for sharing with us...

meena chheda 12th March 2004 11:02 AM

sanjjj,
rashidi tikiit - revenyu stemp.......
amritaji ne jab kaha ke ab kuchh mere baare maie likhu.... just 4 a change. tab khushvant singhji ne kaha ke......
tumhari zindgi maie ho ho kar kya ho??? ekaad- do ghatnaa, oonhe likhne ke liye to revenyu stemp ki pichhe ki baju bhi bahot hai.
amritaji ne kaha ke... sahi kaha- jo kuchh huaa, maan ke bhiter huaa aur woh sabhi nazam aur navalkathha ke hawaale ho gaya. ab baki kya raha??
fir bhi kuchh likhti hu- kuchh aisa jaise zindgi ke hisaab ke panno par ek revenyu stemp laga rahi hu... nazam aur navalkathha ke kachae stemp ko pakka stemp karne ke liye.'
amrita ji ko, maie 1992 maie yahi bombay maie mili thhi.... oos ke baad kabhi milne ka saubhagya nahi bana par... aaj bhi itne saalo baad bhi oonke sathh ki woh mulakaat maan se joodi hai.
jitni bhi baar yah aatmakathha padhhi.... har baar ek nayi amritaji se mili hu maie.

meena chheda 1st November 2005 08:31 PM

amrita........

aapki yaad humesha mere sath rahegi..........:(

sanj,

humne amrita ki is kitaab ki kitni sari baate share ki thi na...?
ab tum dono mujse door ho gaye...

...........

Chaand 2nd November 2005 01:11 PM

Kalakaar kabhi nahi marte.....unki kala unhe hamesha jinda rakhti hai.

Amrita ji aapki Den ...Sahitya jagat ko...ek anmol dharohar hai....ye aapki wo poonji hai...jo aapko hamesha hamaare beech jinda rakhegi....

Aap Tak mera Salaam pahuNche...

Kya widambana hai kismat ki...aapki is post ko likhne waala bhi aaj hamaare beech nahi....or ...aap bhi.....

Mere Yaar Sanjoo tumhaari aawaaj mere zehen me tumhe hamesha jinda rakhegi.

Tumtak bhi mera salaam pahuNche.

Chaand


All times are GMT +5.5. The time now is 02:49 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.