Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

sameer'shaad' 1st April 2016 08:05 AM

main bhi bahut ajeeb hoon, itnaa ajeeb hoon ke bas,
khud ko tabaah kar liyaa aur malaal bhi nahii......!!

-Jaun Eliya.

Mujahid Ali 1st April 2016 06:18 PM

میں آسماں کی بلندی کو چھوں بھی لیتا اے خدا
کاش مجھ میں بھی تو زرا طاقتِ پرواز ہوتا

Mai aasmaan ki bulandi ko chu bhi leta aye khuda
Kaash mujh mai bhi toh zara taqat-e-parvaaz hota

Mujahid

sameer'shaad' 2nd April 2016 09:09 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492007)
میں آسماں کی بلندی کو چھوں بھی لیتا اے خدا
کاش مجھ میں بھی تو زرا طاقتِ پرواز ہوتا

Mai aasmaan ki bulandi ko chu bhi leta aye khuda
Kaash mujh mai bhi toh zara taqat-e-parvaaz hota

Mujahid


kya baat hai waah suhaan allah..............

sameer'shaad' 2nd April 2016 09:15 AM

Aaaj ka sher..

mumkin hai ke ek din ye meraa dil bhi kahegaa,
jaa bhool jaa use, wo teraa ho na sakegaa... !!

Shaad....

Mujahid Ali 2nd April 2016 12:19 PM

Waah shaad sahab Kya kehne aapke

Miya aisa lagta hai aapko mohabbat ka khasa tajurba hai

Mere baat par sanjeeda mat hoye

Mazaaq kar raha tha

Baharhaal sher kaafi umda hai

Madhu 14 2nd April 2016 01:29 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 492016)
Aaaj ka sher..

mumkin hai ke ek din ye meraa dil bhi kahegaa,
jaa bhool jaa use, wo teraa ho na sakegaa... !!

Shaad....

waah!! bahut khoob shaad sahab.......

sabaa kiyani 2nd April 2016 04:23 PM


Who Jo Bichra Tu Main Ne Jana
Log Mar Kar Bi Jiya Kartey Hai'n..!!

Madhu 14 2nd April 2016 04:53 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 492038)

Who Jo Bichra Tu Main Ne Jana
Log Mar Kar Bi Jiya Kartey Hai'n..!!

Waah waaahhh..........................

sameer'shaad' 2nd April 2016 05:01 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492020)
Waah shaad sahab Kya kehne aapke

Miya aisa lagta hai aapko mohabbat ka khasa tajurba hai

Mere baat par sanjeeda mat hoye

Mazaaq kar raha tha

Baharhaal sher kaafi umda hai


Miyaan Shaayriii ki pahlii seeDhee muhabbat hi to hai....

muhe aapki baaton ka bura nahi lagaa. bahut shukriyaa sher ki pazeeraai farmaane ke liye.....

Shaad.........

sameer'shaad' 2nd April 2016 05:01 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 492025)
waah!! bahut khoob shaad sahab.......

inaayat hai mohtarmaa....................................... :)

sameer'shaad' 2nd April 2016 05:02 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 492038)

Who Jo Bichra Tu Main Ne Jana
Log Mar Kar Bi Jiya Kartey Hai'n..!!

kya baat hai............... bahut khoob....................... :)

Shaad.....

Mujahid Ali 2nd April 2016 08:43 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 492038)

Who Jo Bichra Tu Main Ne Jana
Log Mar Kar Bi Jiya Kartey Hai'n..!!

Bohat hi aala sher aapne pesh kiya saba sahiba

sabaa kiyani 3rd April 2016 02:30 PM

thanks mujahid saheb
sharing thee yah


Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492050)
Bohat hi aala sher aapne pesh kiya saba sahiba


sabaa kiyani 3rd April 2016 02:31 PM


Jo Dil Ke Aainey Mein Ho, Wohi Hai Pyaar Ke Qaabil
Warna Dewaar Ke Qabil To Har Tasveer Hoti Hai * ♥
nm

Madhu 14 3rd April 2016 03:13 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 492065)

Jo Dil Ke Aainey Mein Ho, Wohi Hai Pyaar Ke Qaabil
Warna Dewaar Ke Qabil To Har Tasveer Hoti Hai * ♥
nm

Waaah ji...bahut khoob....................

Mujahid Ali 3rd April 2016 04:38 PM

یاروں روز و شب کی حال میں اب الجھ گیا ہوں میں
زندگی کیا ہے دوستوں آخر سمجھ گیا ہوں میں

Yaaro roz-o-shab ki haal mai ab ulajh gaya hu mai
Zindagi kya hai dosto aakhir samajh gaya hu mai

Madhu 14 3rd April 2016 08:20 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492080)
یاروں روز و شب کی حال میں اب الجھ گیا ہوں میں
زندگی کیا ہے دوستوں آخر سمجھ گیا ہوں میں

Yaaro roz-o-shab ki haal mai ab ulajh gaya hu mai
Zindagi kya hai dosto aakhir samajh gaya hu mai


Bahut khoob..........................


........

Qasid 4th April 2016 08:55 AM

baat intikhaab ki aise na dabaayi jaati
ye rodaad to likh likh ke dohraayi jaati

-MaST

Madhu 14 4th April 2016 09:38 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492087)
baat intikhaab ki aise na dabaayi jaati
ye rodaad to likh likh ke dohraayi jaati

-MaST

bahut khoob mast sahab..................................

sabaa kiyani 4th April 2016 01:50 PM


Hai dil ko yaqeen na woh aye ga palat ke kabhi,
Magar phir bhi aankhon ko hai intizaar usi ka
nm

Mujahid Ali 4th April 2016 04:17 PM

حوصلہ مجھ میں نہیں دردِ دلِ دوا کے خاطر اب
بے بس ہوں اتنا دست اُٹھ تا نہیں دعا کے خاطر اب

Hausla mujh mai nahi dard-e-dil-e-dawa ke khatir ab
Be-bas hu itna dast uth ta nahi dua ke khatir ab

Madhu 14 4th April 2016 04:28 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492122)
حوصلہ مجھ میں نہیں دردِ دلِ دوا کے خاطر اب
بے بس ہوں اتنا دست اُٹھ تا نہیں دعا کے خاطر اب

Hausla mujh mai nahi dard-e-dil-e-dawa ke khatir ab
Be-bas hu itna dast uth ta nahi dua ke khatir ab

waaahhhh......................

Madhu 14 4th April 2016 04:38 PM

hausla karke yahaa.n maine rakha ek patthar
itne logon me kahiin mera pata bhi hoga.....

madhu..

Qasid 5th April 2016 07:36 AM

aaj ka sher dekhiye bahut pasand hai mujhe.....

KHudaa kare ki tirii umr me.n gine jaa.e.n
vo din jo ham ne tire hijr me.n guzaare the

Ahmad Nadeem Qasmi

Mujahid Ali 5th April 2016 11:31 AM

فاصلے اب ہمارے درمیاں دراز ہونے لگے
ایّامِ فرقت اے صنم اب آغاز ہونے لگے

Faasley ab hamarey darmiyaan daraaz hone lagey
Ayyaam-e-furqat aye sanam ab aaghaaz hone lagey

Madhu 14 5th April 2016 12:50 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492142)
aaj ka sher dekhiye bahut pasand hai mujhe.....

KHudaa kare ki tirii umr me.n gine jaa.e.n
vo din jo ham ne tire hijr me.n guzaare the

Ahmad Nadeem Qasmi

waah waah...bahut khoob sher share kiya ......

kya baat hai..

Madhu 14 5th April 2016 12:52 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492143)
فاصلے اب ہمارے درمیاں دراز ہونے لگے
ایّامِ فرقت اے صنم اب آغاز ہونے لگے

Faasley ab hamarey darmiyaan daraaz hone lagey
Ayyaam-e-furqat aye sanam ab aaghaaz hone lagey

bahut khoob mujahid ji..............................

Madhu 14 5th April 2016 12:53 PM

main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun...

parveen shakir..

sabaa kiyani 6th April 2016 03:52 PM

vaah khoob sharing madhu ji
............
Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 492148)
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun...

parveen shakir..


sabaa kiyani 6th April 2016 03:54 PM


jab mila toon wohhi lamha aankhon mein tahraa hay
bahaar tum se thee zindagee ab to sahraa hay

Madhu 14 6th April 2016 03:54 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 492187)
vaah khoob sharing madhu ji
............

sharing ko pasand karne ka shukriya.......................

Madhu 14 6th April 2016 03:55 PM


Warna yeh taiz dhoop to chubhti humeN bhi hai
Hum chup khaRe huye haiN ke tu saayebaaN meN hai

parveen shakir...

Azaz AHMAD 6th April 2016 06:07 PM

Tu Kante Bhi Chubhoye To Kya Gum Hai "Safreen"
Aakhir Hamne Hi To Tujhe Gulabo Sa Kaha Tha..


... Azaz AHMAD...

Mujahid Ali 6th April 2016 06:36 PM

Surat-e-roshan se nazaarey taabnaak hojatey hai
Terey nazr-e-maqtool se dil bhi chaak hojatey hai

صورتِ روشن سے نظارے تابناک ہو جاتے ہیں
ترے نظرِ مقتول سے دل بھی چاک ہو جاتے ہیں

Mujahid

sabaa kiyani 7th April 2016 04:56 PM

مجھے رونا نہیں، آواز بھی بھاری نہیں کرنی
محبت کی کہانی میں اداکاری نہیں کرنی
moojhey rona nahin aata aawaz b bhari nahi karti
mohabat ki kahani main adakaari nahi karti
nm

Mujahid Ali 7th April 2016 05:34 PM

عجب ہے تیری کشش یا میری فریبِ نظر ہے
جہا بھی دیکھوں اے صنم صرف تو ہی اب ادھر ہے

Ajab hai teri kashish ya meri fareeb- e -nazar hai
Jaha bhi dekhu aye sanam sirf tu hi ab udhar hai

Mujahid

Madhu 14 7th April 2016 10:42 PM

waah...bahut khoob sher kahe aap sab ne......

sabaa kiyani 8th April 2016 05:48 PM


Chale hain saif wahan hum ilaj e gham k lie,
Dilon ko dard ki dolat jahan se milti hai.
nm

Qasid 9th April 2016 08:57 AM

Saba ji ka ek umdaa sher yaad aaya hai mehfil mein rakh raha hoon gaur kijiyeGaa

samjhegaa aadmii ko vahaa.n kaun aadmii
banda jahaa.n KHudaa ko KHudaa maantaa nahii.n

SABA AKBARABADI

Madhu 14 9th April 2016 09:40 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492238)
Saba ji ka ek umdaa sher yaad aaya hai mehfil mein rakh raha hoon gaur kijiyeGaa

samjhegaa aadmii ko vahaa.n kaun aadmii
banda jahaa.n KHudaa ko KHudaa maantaa nahii.n

SABA AKBARABADI

Waah!!!! KYA khoob sher pesh kiya hai
....
Sharing ka shukriya mast sahab.......


All times are GMT +5.5. The time now is 03:52 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.