![]() |
Aaaj kaa sher....
Mujhe shauq tha ke miloon tujhe, Mujhe khauf bhi tha kahoonga kya, nm |
...
Mere GulistaaN meiN khilne ko to phool bahut haiN, Koii phool tujh sa bhi ho.............to koii baat baney. मेरे गुलिस्तान में खिलने को तो फूल बहुत हैं, कोई फूल तुझ सा भी हो.....तो कोई बात बने | _________हर्ष महाजन |
tere ishq main meri neend kuch yu udd gayi hai ‘pak‘
goyaa jaise sona kabhi maloom hi na tha |
kuch to hisaab karo hum se!
itni wafayen udhaar kon deta hai ..? nm |
Bhool janey ka tumhe tasawur kaise kar looN
Meri har saans se vabasta haiN yaadeiN teri Nm |
Quote:
kese milaayen aankh kisi aainay se hum Amjad! hamaray paas to chehra nahi raha - Amjad Islam Amjad |
bahut khoob likha hai shaad ji...
lafz apne se lag gaye jo kahin kaid the kiye... mukammal neend haasil kar lun main maut ki shakl mein..... ke jid hai kabhi sapne se tujhe jaane na dun..... -madishanu |
...
Ye kaisi mohabbat hai teri, jo yaadoN se vaabasta hi nahiN , Ye to tasawwar hai tera, sadiyoN se jisne sone hi na diya. ये कैसी मोहब्बत है तेरी, जो यादों से वा-बस्ता ही नहीं, ये तो तसव्वर है तेरा, सदियों से जिसने सोने ही न दिया । ------------हर्ष महाजन |
Tu nahi tha tujhe paane ka sapna tha,
Diya jo tune vo dard hi to apna tha. .. Madhu |
Quote:
nice madhu ji |
Tu baahoN se aazaad huye , ek arsa huaa magar
MaiN aaj bhi ek qayamat ko pehlu me liye huuN Nm |
हँस कर दर्द छुपाने की कारीगरी मशहूर है मेरी...
पर कोई हुनर काम नहीं आता जब तेरा नाम आता है... Nm |
Quote:
|
Kash ki dariya e dil me bhi toofaan aaye
Tab kanhi haal e dil unse kaha jayega..... |
Quote:
acha kiyaa jo mujh se kayi din khafa rahay kitnay adhooray kaam the jo takmeel ho gaye nm |
Quote:
|
Quote:
yahan per agar aap ko kisi ka shair pasand aaya hai to tareef karne ke saath saath aik shair kehna hai... na ke sirf comment karna hai, umeed hai aainda aap is baat ka khiyaal rakhieN ge... :) shukriyaaH, DuaooN k saath,, |
Na sang jeene ka vada hai, na sath marne ki kasme hain.
Jo bas deedar ho tera,ye jhoothi sari rasme hain. Madhu |
Quote:
har waqt lafz adhoore se har waqt nabz suroori hai..... mujhe aanhein bhar bhar ke zinda rehne ko deed fakht tumhara zaroori hai..... |
Bawjood lakh koshish ke jise na ham samajh paye..
Tumhe samajhaye kya raz e mohabbat khud hi kam samajh paye. Madhu |
Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Hath Pakr Kar
Chalte, Main Ne Mohabaat Main Yoon Tujh Pe Bharosa Kiya Tha.. nm |
Sham-e-tanhai gham na kar k tera
Koi bhi humsafar nahi, hum hain Woh jo sab se hain be khaber, tum ho Jin ko apni khaber nahi, hum hain Mohsin Naqvi |
nafrat aur ranzish mein rakkha kya hai
siyasat aur saazish mein rakkha kya hai tu bhi zinda hai kyuki tujh pe bhi hai us khuda ki 'pak' meher varna kisi ko maar ne ki teri khwaahish mein rakkha kya hai. |
Go zaraa si baat par barsoN ke yaraane gaye
Lekin itna to hua kuch log pahchaane gaye Khatir ghaznavi |
pehle dunyaa se dil lagaate haiN
phir gile hum hazaar karte haiN! kis qadar saadah-lauH haiN :Sarwar:! Husn kaa aitebaar karte haiN! -Sarwar A. Raz |
In paththaroN ke shehr meiN jeena muhaal hai
Har sang keh raha hai......mujhe devta kaho Nm |
Aaj ka sher.....
Meri rehguzar, meri aashiqui rahi dhundti mere ishq ko, Teri dillagi, teri rehzani rahi loot.ti mere ishq ko... -Taish |
Dasht-e-Gham e Hayaat ! Mera hosla tOh dekh
Main dhoundney chala houn Tera Doosra Sira not mine |
Dasht-e-Gham e Hayaat ! Mera hosla tOh dekh
Main dhoundney chala houn Tera Doosra Sira NOt Mine |
Munsif ki is adaa pe kitne sitam dikhe hain..
Maqtal ke raaste meN muflis kaee mile hain... Shaad.... |
Yeh bhi nahi ke maiN tumhe ilzaam de sakuN
Yeh bhi nahi ke tumse shikayat nahi mujhe Nm |
Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho? MN |
chehre ka nisf hissa zere-naqaab kar k husn waale karte hai didaar me milawat... Nm |
dushmaN na kare dost ne woH kaam kiya hai!
umer bhar ka gham humaiN inaam diya hai.. -nm |
aaj phir tum pe pyaar aayaa hai,
behad aur behisaab aaya hai.... nm |
do pal ruka khwaaboN ka karwaaN!
phir chal diye tum kahaN hum kahaN nm |
ab tak kisii ki yaad ne gheraa nahi mujhe,
saaqii zaraa sharaab kii talkkhii badhaa bhi de... Shaad.... |
Jitna main bhaagi in zanjeeroN ki giraft se..
Meri aazaadi unhi bandishoN ko tarsi. Nm |
phelaa raha hai chaar soo nafratoN ka zehar
jo farishta ban ke baithaa hai logoN meiN -diya_jale |
Ye duniya bhar ke jhagde ghar ke kisse kaam ki baatein
Bala har ek tal jaye aga r tum milne aa jao...... |
All times are GMT +5.5. The time now is 11:24 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2021, Jelsoft Enterprises Ltd.