Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Delightful Dohas (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=18)
-   -   Raheem Dohawali (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=73033)

@kaash 3rd May 2011 03:48 PM

Raheem Dohawali
 
तरुवर फल नहीं खात हैं, सरवर पियहीं न पान
कही रहीम पर काज हित, सम्पति संचहीं सुजान

Kavivar Rahem ka kahna hai ki sajjano ka vaibhav parmaarth ke liye hota hai.
Taruvar(vrakchha,darakht) apne phal khud nahi khate,Sarovar apna pani khud nahi
peete aur sajjan vyakti paropkaar ke lie hi dhan sanchay karte hain.
'Sewa Parmo Dharma' satpurushon ka jeevanadarsh hota hai.

@kaash 3rd May 2011 03:57 PM

बड़े बड़ाई नहीं तजै, लघु रहीम इतराई
राइ करौंदा होत है, कटहर होत न राइ

Yahan Raheem ji kahte hain ki bade aadmi aur chhote aadmi me fark yah hai ki bada aadmi ghamand se door hota hai aur chhota ghamand me choor.Bade logon ka badappan unki vinamrata me dikhayi deta hai.Ve use kabhi nahi chhodte kahin nahi chhodte.Ve apni dayaluta evam shaleenta badi khoobi se sambhale rahte hain.
Iske vipreet chhote vyakti athaart chhoti soch vale zara si baat par itraane lagte hain.Unki kaya kandara se ahankaar ki pratidhwaniyaan aane lagti hain.
Chhota karuanda raayi ka aakaar grahan kar sakta hai,parantu manaswi kathal apni unnati ke kisi bhi sopan par neeche nahi aa sakta.


All times are GMT +5.5. The time now is 11:49 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.