Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   agar gale nahiiN miltaa to haath bhii na milaa.....By Bashir Badr (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=48781)

maikasH 1st May 2006 05:58 AM

agar gale nahiiN miltaa to haath bhii na milaa.....By Bashir Badr
 
muhabbatoN meN dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahiiN miltaa to haath bhii na milaa


gharoN pe naam the naamoN ke saath ohade the
bahut talaash kiyaa koii aadamii na milaa


tamaam rishtoN ko maiN ghar pe chhoD aayaa thaa
phir isake baad mujhe koii ajanabii na milaa


bahut ajiib hai ye qurbatoN kii duurii bhii
vo mere saath rahaa aur mujhe kabhii na milaa


Khudaa kii itanii baDii qaayenaat meiN maine
bas ek ShaKhs ko maaNgaa mujhe vo hii na milaa




Bashir Badr




maikash

masoomshayer 1st May 2006 06:53 AM

wah
 
maikash lagata hai tum ne meree rooh kee awaz sun lee hai. bashir aur sahir do nam aise ke sar jhuk jata hai mera nam bhee parh loon jo kaheen. ek nazm likhne main lajwab hai ek ghzal main har khayal ko dhal leta hai. jitna tum bahisr ko likhte ho bashir se to pyar barhta hai tuma se bhee lagav barh raha hai. ab ek bahut mushkil farmayeesh kar raha hoon

sahir kee ek nazm hai PARCHAIYAN mere hisab se agar us nazm ko parhne ke baad kisee ankh main aab na nazar aye to woh ankh ankh nahee kaheen se talash kar sakte ho woh? agar kaheen se talash do to ahsan hoga
Anil

manoj kureel 8th May 2006 03:14 PM

Re: agar gale nahiiN miltaa to haath bhii na milaa.....By Bashir Badr
 
gharoN pe naam the naamoN ke saath ohade the
bahut talaash kiyaa koii aadamii na milaa

Khudaa kii itanii baDii qaayenaat meiN maine
bas ek ShaKhs ko maaNgaa mujhe vo hii na milaa


MAIKASH SAHEB
wah...!!! mohtaram anil saheb ne durust farmaya hai...Bashir saheb aur Sahir ludhiyanvi,,yeh do aise naam hai jinko padh kar sar adab se jhuk jata hai...jindagi ki haqeeqat ko kis khubsurati se sher mein piro dete hai janab bashir barda...kalaam hai..!!!
unka likha ek sher jehan mein ubhar aaya....

koi haath bhi na milaayega gar gale miloge tapaak se
yeh naye mizaaz ka shehar hai jara faasle se mila karo

take care
MANOJ

red_ruchika 12th May 2006 12:43 PM

gharoN pe naam the naamoN ke saath ohade the
bahut talaash kiyaa koii aadamii na milaa

bahot khoob...hamari khushnaseebi hai ki hame bashir badr ji ke bare main pata chala...

hafsa 5th October 2007 06:42 AM

bohatttttttt achi shairing .

chaahat 5th October 2007 11:18 PM

Very beautiful!!!

Thanx for sharing!!!!


All times are GMT +5.5. The time now is 09:16 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.