Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Hindi/Urdu Lyrics (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=10)
-   -   Yeh Mat Socho Kal Kya Ho Ga.............!!! (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=49697)

yash_krish 6th June 2006 04:22 PM

Yeh Mat Socho Kal Kya Ho Ga.............!!!
 
ek thi ladki meri saheli
saath pali aur saath hi kheli
phoolon jaise gaal the uske
resham jaise baal the uske

ham usko gudiya kehte the
rangon ki pudiya kehte the
saari thi mujhe pyaari thi wo
nanheen raajdulaari thi wo

ek din usne bholepan se
poochha ye paapa se ja ke
ab main khush rehti hu jaise
sada hi kya khush rahungi aaise

paapa bole meri bacchhi
baat bataaun tujh ko sacchhi
kal ki baat na koi jaane
kehte hain ye sabhi siyaane

( ye mat socho kal kya hoga jo bhi hoga acchha hoga ) -2

bachpan beeta aai jawaani
ladki ban gayi roop ki raani
college mein ithalaati phirti
bal khaati lehraati phirti

ek sundar chanchal ladke ne
chhup-chhup kar chupke-chupke se
ladki ki tasveer banaayi
aur ye keh kar use dikhaayi

is par apna naam to likh do
chhota sa paigaam to likh do
ladki pehle to sharamaai
phir man hi man mein muskaai

ik din usne bholepan se
poochha ye apne saajan se
ab main khush rehti hu jaise
sada hi kya khush rahungi aaise

usne kaha ki meri raani
itni baat hai maine jaani

kal ki baat na koi jaane
kehte hain ye sabhi siyaane

( ye mat socho kal kya hoga jo bhi hoga acchha hoga ) -3

oon hoon -2

ik paradesi door se aaya
ladki par haq apna jataaya
ghar waalon ne haami bhar di
pardesi ki marzi kar di

pyaar ke waade huye na poore
rah gaye saare khwaab adhoore
chhod ke saathi aur hamsaaye
chal di ladki des paraaye

do baanhon ke haar ne roka
vaadon ki deewaar ne roka
ghaayal dil ka pyaar pukaara
aanchal ka har taar pukaara

par ladki kuch munh se na boli
patthar ban kar gair ki ho li
ab gumsum hairaan si hai wo
mujhse bhi anjaan si hai wo

jab bhi dekho chup rehti hai
kehti hai to ye kehti hai

kal ki baat na koi jaane
kehte hain ye sabhi siyaane

manoj kureel 6th June 2006 06:20 PM

Re: Yeh Mat Socho Kal Kya Ho Ga.............!!!
 
kya baat hai...!!!
wow...!!!!
dil ko na sirf choo liya balki nishaan bhi chod diya hai aapne...apni pyari aur maasoom tehreer se...kitni mithaas hai aapki kavita mein ...sach bolun to aisa laga padhte hue mano Manna Dey ka gaya kisi purani film ka madhur geet sun raha hoon....waqai...dil ko choo liya aapne...dil ki gehrai se nikli daad kubool kijiye...aise hi khubsurati se likhte rhaiye
apna khayal rkahiye
-MANOJ

akelijaan 6th June 2006 07:46 PM

hi,
aaj pehli baat padha hai aapko.aur sach jaaniye bahut acha laga aapko padhkar.bahut hi acha likha aapne,dil ko choo gaya.
likhte rahiye yunhin.

Mayank 7th June 2006 11:52 AM

Re: Re: Yeh Mat Socho Kal Kya Ho Ga.............!!!
 
Quote:

Originally posted by manoj kureel
kya baat hai...!!!
wow...!!!!
dil ko na sirf choo liya balki nishaan bhi chod diya hai aapne...apni pyari aur maasoom tehreer se...kitni mithaas hai aapki kavita mein ...sach bolun to aisa laga padhte hue mano Manna Dey ka gaya kisi purani film ka madhur geet sun raha hoon....waqai...dil ko choo liya aapne...dil ki gehrai se nikli daad kubool kijiye...aise hi khubsurati se likhte rhaiye
apna khayal rkahiye
-MANOJ

Such farmaaya aap ne Manoj jee..;)

yeh waaqe^i ik film ka hi geet hai.. 'GUMRAAH' film se hai aur 'Aasha Bhoshle' jee ne aawaaz di hai..

-Mayank:p

Pulkit_gupta 7th June 2006 02:23 PM

Hi,

Accha geet hai... magar aapka likha nahi hai....aage se jo cheezen aapki na likhi hon unke neech "Not Mine" likh dijiyega...

Do keep sharing... TC..

manoj kureel 7th June 2006 02:23 PM

Re: Re: Re: Yeh Mat Socho Kal Kya Ho Ga.............!!!
 
mohtaram janab mayank saheb
huzoor bahoot bahoot shukriya naacheez ko sahi tasveer dikhane ke liye...halaaki padhte hue mere jehan mein yeh baat jaroor aayi thi ki is geet ko to hindi film mein istemaal hona chaiye,,kyunki itna khubsurat jo hai yeh ...magar mein bilkool is baat se anjaan tha ki yeh film Gumraah ka geet hai,,halaaki is film ke naam se mein achi tarah se waakif hoon..Mahendra kapoor ke gaye iske geeton,sAHIR SAHEBKE LIKHE nagmon aur Ravi ke sangeet ke chalte ..magar is geet se na jane kaise anjaan reh gaya tha.
khair...aapka shukrguzar hooon...
-MANOJ

sunita thakur 7th June 2006 02:38 PM

yeh mat socho kal kya hoga
 
Yash ji,

appne jindgi ki sachye ko bayaan kiya hai, aur sach mai appka likha ek ek shabad dil ko chu gaya, yu hi likhtey rahna jindgi ke sach ko...........!


All times are GMT +5.5. The time now is 10:06 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.