Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri Ki Paathshaala (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=50)
-   -   Aao dosto urdu seekhen (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=72297)

masoodhassas 12th January 2011 08:09 AM

Aao dosto urdu seekhen
 
shuroo us ke naam se jo bahot badaa meharbaan aor nehaayat raham waalaa hai

ai hamaare paalne waale ise aasaan banaa mushkil na banaa aor bhalaayi ke saath akheer tak pahonchaa

ا alif for anaar
---------------------
ب be for bataq
----------------------
پ pe for patang
----------------------

ت te for taalaa
---------------------

ٹ Te for tamatar
----------------------
ث sefor samar
----------------------
ج jeem for jahaaz
-------------------------
چ che for chuha -------------------------------
ح bada he for hajaam
-------------------------------
خ khe for khargosh
--------------------------
د daal for darzee
------------------------
ڈ Daal for dhol
---------------------------
ذ zaal for zakheera
---------------------------
ر re for railgaadi

------------------------
ز ze for zameen
----------------------
ڑ Re for kapRaa
---------------------
ژ badaa ze
------------------------------
س chhoti seenfor saanp
------------------------------
ش badee sheen for sher
------------------------------
ص sowaad for sandooq
------------------------------
ض zowaad for zayeef
-------------------------------
ط Toe for tota
-------------------------
ظ zoe for zaroof
-------------------------
ع ain for ainak
---------------------------
غ ghain for ghubbara
-----------------------------
ف fe for fawwara
---------------------------------
ق bada qaaf for qaaleen
-----------------------------
ک chota kaaf for kitaab
-----------------------------
گ gaaf for gudia
-------------------------
ل laam for langoor
-------------------------
م meem for mor
------------------------
ن noon for naak
------------------------
ں Noon Ghunna
-----------------------

و waao for vaadi
-----------------------------
ہ ChoTi Hay for haati
-----------------------------
ھ dochashmi-hai
-------------------------

ء hamzah
------------------
ی choti yaa
---------------------
ے badee yaa for yekka

http://www.youtube.com/watch?v=4IlEtiu8fqc
http://www.youtube.com/watch?v=U1crs...eature=related

zidd 12th January 2011 09:57 AM

apka first student mai enroll karta hu...
teen baar urdu classes join ki magar kisi na kisi wajha se beech me choot jata hai
ab online hai to ye murad meri poori ho jayegi...

aapne sahayad sdc par sabse jyada faide ka kaam shuru kiya hai.

mai, syudent no. 1 = yes sir

reps +++ for this attempt

vikramjethi 12th January 2011 10:08 AM

aapki is class ka student number 2 maiN hooN....bahut der se tamanna thi is nayaab zabaan ko seekhne ki...aapka bahut bahut shukriya is thread ko banaane ke liye...

janumanu 12th January 2011 11:12 AM

3rd idiot :)

dont know who are other two :)

repss meri aur se bhi , bhayeejaan

sameer'shaad' 12th January 2011 12:05 PM

NOw this is the next one.. haazir hoon sir...
I also wants to add something in this. There is some more alphabets not mentioned here but they are the part of Urdu Vocabulary....
"ھ dochashmi-hai", "ChoTi Hay" ہ , "Noon Ghunna ں "

"Noon Ghunna" ں , "Hamza" ء , "Dochashmi Hay" ھ , and "BaRi Yay" ے are letters in a rather weak sense, since no Urdu word can begin with these.

Shukriya ek bar fir se aapka masood miyaan jo bazm ko aapne ek nai raah dee hai..seekhne sikhaane ke is kadam se hum sabko bahot faayda milne waala hai..

shaad...

prem_anjana 12th January 2011 01:40 PM

next ........prem anjana...."present sir"....
 
thanx for this thread..........
mai ik arse se apne area k kayi logon se urdu seekhne ki batkar chuka tha........
lekin dono tarfa kisi na kisi problem ki wajah se rukawt aa hi jaati thi
abhi last week mai apne 12th k students se bola tha ki koi urdu ka teacher mere liye khojo
jo mujhe urdu sikha sake.........lekin mujhe jaankar dili sukoon mila ki mai sdc par online urdu seekh sakunga......
mai aapke class ka next student ....prem anjana........"present sir".

masoodhassas 12th January 2011 03:18 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 420636)
NOw this is the next one.. haazir hoon sir...
I also wants to add something in this. There is some more alphabets not mentioned here but they are the part of Urdu Vocabulary....
"ھ dochashmi-hai", "ChoTi Hay" ہ , "Noon Ghunna ں "

"Noon Ghunna" ں , "Hamza" ء , "Dochashmi Hay" ھ , and "BaRi Yay" ے are letters in a rather weak sense, since no Urdu word can begin with these.

Shukriya ek bar fir se aapka masood miyaan jo bazm ko aapne ek nai raah dee hai..seekhne sikhaane ke is kadam se hum sabko bahot faayda milne waala hai..

shaad...

aadaab
main kis zabaan se aap ka shukriyaa adaa karun ki aap ne un alfaaz ki jaanib tawajjoh dilaayi
janaab huwaa yun ki mujhe kuchh aataa nahi hai ........... asal me main ise zany saahabah ke paas p m kar rahaa thaa taaki dekh len alfaaz ki zeyaadati se jab na ho sakaa to majubooran yahaan post karke un ko ittelaa dedi aor yahee zid bhai ko off line me kahke so gayaa
bahar haal jin alfaaz ko aap ne kahaa hai main use likh ke zainy saahab ko detaa hun taaki wo is me shaamil kar den
bahot shukriyah
allah barkaton se nawaaze
masood

masoodhassas 12th January 2011 03:24 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 420624)
apka first student mai enroll karta hu...
teen baar urdu classes join ki magar kisi na kisi wajha se beech me choot jata hai
ab online hai to ye murad meri poori ho jayegi...

aapne sahayad sdc par sabse jyada faide ka kaam shuru kiya hai.

mai, syudent no. 1 = yes sir

reps +++ for this attempt

aadaab
allah mobaarak farmaaye
ji ji mujhe pata ziddi bachha kaheen bhi aowul moqaam se kam pe raazi nahi hotaa
is thred ke baare me aap se baat karnee hai ise aisaa banaanaa hai jo ki aap hazraat kahen ge
doa kijiye gaa
masood

masoodhassas 12th January 2011 03:29 PM

Quote:

Originally Posted by vikramjethi (Post 420625)
aapki is class ka student number 2 maiN hooN....bahut der se tamanna thi is nayaab zabaan ko seekhne ki...aapka bahut bahut shukriya is thread ko banaane ke liye...

aadaab
are bhaiyaa kahaan hain aap.... ab mehraaroo kaa paa gaye ki ik dam se ghaayab ho gaye .... ihaan bhi aap kay kuchh chaahay waale maajood hain bhaiyaa aisaan na karo bhai aakhit hamnan ka bhi haq banaa thay naa
........................
khodaa kare merey bhai is se ham tamaam log faaidah uthaayen
doa zaroor karnaa
masood

masoodhassas 12th January 2011 03:31 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 420634)
3rd idiot :)

dont know who are other two :)

repss meri aur se bhi , bhayeejaan

aadaab
aap ka iqraar achhaa lagaa hahahahahah
main bataa detaa hun wo do kaon hain
vikas aap ho gaye doosraa jaanu hai teesra maanu hai
lo ji jab bhi aanaa teenon ko saath laanaa
mukhlis
masood

zainy 12th January 2011 04:08 PM

Arre Arre!! ustaad ji ,reham kijiye apne shagirdoN per..pehle hi din aapne itna zyada sabaq de diya kahiN aapke shagird dar ke school se bhaag na jaaye....:D..

Sab se pele tou maiN poore SDC parivar ki taraf se aapka bohat bohat shukriyah ada karna chahungi Masood sahab..aapne itni badi zimmedaari ka kaam jo apne haath le liya hai..

Allah aapko iska ajr dega 'Aameen'

SDC ke sabhi members (jinhe urdu nahi aati) unse maiN guzarish karna chahungi ke is mauQe ka faida uthayeN...

Meri nazar me urdu aur shayri ka rishta aysa hai jaise meethe aur shakr ka..bina acchi urdu jaane hum acchi shayri nahi kar sakte..

Urdu bohat hi aasaan zubaaN hai, aapko pata bhi nahi chalega kab aapne seekh li...bas aap classes regularly attend kijiye..

Apna homework karte rahiye..

Guzarish hai ke padhna aur likhna saath saath seekhiye..

Filhaal maiN youtube ke 2 threads yahaaN post kar rahi huuN...inse aap likhna bhi seekh sakte haiN..

All the best to all the members...koi bhi doubt ho tou zarur yahaaN ustaad ji se puuch liya kareiN...

Chaliye ab der kis baat ki hai aaj hi ek four rules note book layiye apne liye aur is mission per lag jayiye...

Plz follow the links given below..

http://www.youtube.com/watch?v=4IlEtiu8fqc
http://www.youtube.com/watch?v=U1crs...eature=related

AHMAD SHAKIL 12th January 2011 05:53 PM

Masood Hassaas Ji...!

Me Bhi Aaj Se Aap Ki Baqaaida Shagirdi Ikhtiyar Krta Hun........

Mujhy Boht Khushi hui Ke Aap Ne Ye Kaam Shuru Kia..... ALLAH Paak Aasaanian Ataa Farmaye

masoodhassas 12th January 2011 06:40 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 420672)

are janaab hanter aap ke haath me hai aor ustaad mujhe bataa rahee hain nahi naheeeeeeeeeen mujhe ustaad na banaao mujhe dost hi rahne do ............
aap ki mehnat hai ye sab aap ne ek khowaab dekhaa jis ki taabeer ka pahlaa baab shuroo huwaa hai inshallaa is me dheere dheere behtaree aa jaaye gee
main tamaam logon ka shukr guzaar hun jinhon ne mujhe saraahaa magar ye elaan kar dun
is me meraa koi yogdaan nahi ye sab aalaa hazrat maolaanaa zainy saahabah ka kaar naamah hai
aap tamaam log in ke liye aor in ki aal w aolaad ke liye doaa karen
mukhlis
masood hassaas

masoodhassas 12th January 2011 06:44 PM

Quote:

Originally Posted by AHMAD SHAKIL (Post 420681)
Masood Hassaas Ji...!

Me Bhi Aaj Se Aap Ki Baqaaida Shagirdi Ikhtiyar Krta Hun........

Mujhy Boht Khushi hui Ke Aap Ne Ye Kaam Shuru Kia..... ALLAH Paak Aasaanian Ataa Farmaye

aadaab
yak na shud do shud
ab aap bhi aa gaye seekhne ................ hahaahahaha
khair aap aa gaye hain to mashware zaroor den ki kaise ise behtar se behtar tar banaayaa ja saktaa hai
masood hassaas

zainy 12th January 2011 09:13 PM

Quote:

Originally Posted by masoodhassas (Post 420686)
aadaab
are janaab hanter aap ke haath me hai aor ustaad mujhe bataa rahee hain nahi naheeeeeeeeeen mujhe ustaad na banaao mujhe dost hi rahne do ............
aap ki mehnat hai ye sab aap ne ek khowaab dekhaa jis ki taabeer ka pahlaa baab shuroo huwaa hai inshallaa is me dheere dheere behtaree aa jaaye gee
main tamaam logon ka shukr guzaar hun jinhon ne mujhe saraahaa magar ye elaan kar dun
is me meraa koi yogdaan nahi ye sab aalaa hazrat maolaanaa zainy saahabah ka kaar naamah hai
aap tamaam log in ke liye aor in ki aal w aolaad ke liye doaa karen
mukhlis
masood hassaas

hahahaha..:)...yeh kaun hai..............................................? ?????

zidd 12th January 2011 09:32 PM

agee bado masood bhai........ruk kyu gaye bhai?

zainy 12th January 2011 10:50 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 420698)
agee bado masood bhai........ruk kyu gaye bhai?

Itni jaldi aapne saare hurf seekh liye...????..:confused:

zidd 12th January 2011 11:15 PM

hahahahhaah zainnyji.....ye sab mujhe aata hai...........

waise lessons me gap dene ki kya zarurat?....sab apne apne pace ke hisaab se sekhenge.....

urdu ka problem yaha nahi hai......vo agee hai...jab letters jodna hota hai words banane ke liye...waha nani mar jaati hai:D

vo main seeekhna hai....ki kya kya idea hai is masle ko kuch aasaan karne ka.

madood sahab dusra sabak ataa ho.:)

---------------------
waise ek tip deta hu jo mai istemaal karta hu.

sab letters ke ' initial' medial' aur ' final' form ( jitna perfect ho sake[ kisi harf me suitable hai kahi nahi bhi]) unka ek printout bana lijiye badaa sa, aur apne office me saamne plaster kar dijiye.
phir net par koi urdu page nikal( jab bhi mood kare) kar dewaar ke poster se match kijiye aur dheere dheere padne ki koshish ki jaaye. is tarah se bina raTTa lagaye dheere dheere harf mind me fit hone lagenge.
ab tak mai yahi pahucha hu:D

masood bhai zara speed pakadiye sahab

masoodhassas 13th January 2011 03:22 AM

Aadaab dosto urdu me maatraa ko harkat kahte hain jis lafz pe harkat ho us lafz ko mutaharrik kahaa jaaye gaa jis pe kuchh na ho use saakin kahte hain
Harkat teen tarah ki hotee hai zabar َ( ek tirchhi line oopar) zer ( tirchhi line neeche ) pesh ( chhotaa wao oopar) yahaan ham zabar ko seekhen ge us ki aawaaz kiyaa bane gee neeche diyaa hai aap use zabaan se adaa kare

اَ alif zabar AA ( not tooo long )

بَ be zabar BA

جَ Jeem zabar JA

رَ Re zabar RA

سَ Seen zabar SA

قَ Qaaf zabar QA

مَ Meem zabar MA

هَ He zabar HA

يَ Ya zabar YA

http://www.youtube.com/watch?v=lrD7B...eature=related

masoodhassas 13th January 2011 03:28 AM

Is harkat ko zer kahte hain

ِا Alif zer EI / EA

بِ Be zer BI / BE

ثِ Se zer SE / SI

ِخِِ Khe zer KHE / KHI

دِ Dal zer DE / DI

فِ Fe zer FE/ FI

ِنِ Noon zer NE / NI

يِYa zer YE/ EE

http://www.youtube.com/watch?v=Q-qLM...eature=related

masoodhassas 13th January 2011 03:30 AM

Is harkat ko pesh kahte hain

اُ Alif pesh oo / o

بُ Be pesh bo / bu

رُ Re pesh ro /ru

صُ Sowaad pesh so/su

عُ Ain pesh oo/ o

كُ Kaaf pesh ko / ku

مُ Meem pesh mo/mu

هُ He pesh ho / hu

يُ Ya pesh yo /yu

http://www.youtube.com/watch?v=xf1aZ...eature=related

sameer'shaad' 13th January 2011 10:04 AM

bahot behtar jaa rahe ho Masood Miyaan.... aage ki classes ka bhi intzaar rahegaa.

masoodhassas 16th January 2011 01:03 AM

aadaab dosto
urdu me jahaan do zabar yaa do zer yaa do pesh aaye usey TANWEEN kahte hain yahaan pe ham dekhen ge ki kisee bhi harf pe jab do ZABAR aajaataa hai to us ki aawaaz kiyaa bantee hai
yaad rahe jahaan do ZABAR aaye gaa wahaan us harf ke akheer me AN ki aawaaz badhaa di jaaye gee
jaise ki

اً Alif do zabar …. An

بً Be do zabar ….. ban

تً Te do zabar …. Tan

جًJeem do zabar … jan

خًKhe do zabar ….khan

رً Re do zabar …..ran

شً Sheen do zbar …. Shan

غً Ghain do zabar …… ghan

لً Laam do zabar ……. lan

يً Yaa do zabar ….yan

masoodhassas 16th January 2011 01:41 AM

dosto yahaan ham do ZER ko sekhen ge
jas harf pe do ZER aajaaye us ke akheer meIN ki aawaz laagaa di jaatee hai jaise

اٍ Alif do zer …. in

بٍ Be do zer ….. bin

تٍ Te do zer …. Tin

جٍٍ Jeem do zer … jin

خٍ Khe do zer ….khin

رٍ Re do zer …..rin

شٍ Sheen do zer …. Shin

غٍ Ghain do zer …… ghin

لٍ Laam do zer ……. Lin

يٍ Yaa do zer ….yin

masoodhassas 16th January 2011 01:53 AM

dosto aaiye do PESH ko seekhte hain
jis harf pe do pesh aa jaaye us harf ke akheer me UN ki aawaaz lagaa di jaaye gee jaise ( yaad rahe ki do pesh waisaa hi likhaa jaanaa chaahiye jaise ki do ZABAR ya do ZER hote hain magar yahaan font ki pareeshaani ki wajah se main waisaa nahi likh paa rahaa hun aap ise samajh sakte hain )

اٌ Alif do pesh …. Un

بٌ Be do pesh …. Bun

ثٌ Se do pesh ….. sun

دٌ Daal do pesh ….. dun

زٌ Ze do pesh …… zun

صٌ Sowaad do pesh … sun

طٌ Toye do pesh ….. tun

فٌ Fe do pesh ……. Fun

نُ Noon do pesh …. Nun

يٌ Ya do pesh …… yun

sameer'shaad' 18th January 2011 11:27 PM

Masha-allah bahot khoob , bahot sahi jaa rahe hain aap...un doston ko beshaq urdu seekhne me behad madadgaar saabit hogee ye thread jo dost ise seekhne ke talabgaar aur tamannai hain... hamara saath aapke saath har kadam pe hain.. bas aap badhte jaaen...
Allah khoob barkaton se nawaazw aapko is nek kaam ke ewaz me... duaaon me yaad rakkhen..

shaad...

masoodhassas 19th January 2011 03:14 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 421066)
Masha-allah bahot khoob , bahot sahi jaa rahe hain aap...un doston ko beshaq urdu seekhne me behad madadgaar saabit hogee ye thread jo dost ise seekhne ke talabgaar aur tamannai hain... hamara saath aapke saath har kadam pe hain.. bas aap badhte jaaen...
Allah khoob barkaton se nawaazw aapko is nek kaam ke ewaz me... duaaon me yaad rakkhen..

shaad...

aadaab
khodaa aap ko jaazaaye khair de aor tarqqi se nawaaze aap kaa saath ham sab ke liye barkaat kaa baaic hai khush rahiye doaa karte rahiye
masood hassaas

masoodhassas 20th January 2011 05:10 PM

Aadaab
Dosto urdu me jab kisee harf ko kheench kar yaa lambaa parhnaa ho to us pe MADD ( آ لآ ) aataa hai jaise agar ( اج) likhen to ye AJ parhaa jaayegaa lekin agar is ALIF ke oopar MADD lag jaaye (آج) to ab ye AAAJ parhaa jaaye gaa

Aor agar kisee harf ko do baar parhnaa ho to us harf pe TASHDEED lagaa dete hain ...( ّ )ye jis harf pe aaye gee use do baar parhnaa ho gaa jaise ki agar ham ko

(ذرّه ) ZARRAH

( شدّت )SHIDDAT

( هكّا )HUKKAA

(دلّي)DILLEE

likhnaa ho to
ZARRAH me RE
SHAIDDAT me DAAL
HUKKAA me KAAF
DILLEE me LAAM

Do baar nahi likhaa jaaye gaa sirf oopar TASHDEED lagaa dene se wo harf do baar parhaa jaaye gaa

zidd 20th January 2011 09:29 PM

masood sahab apko khas daad phir deta hu....
jis hisaab se aap seekha ,samjha rahe hai....wakai isse asaan koi nahi sekha sakta tha.

agee badte raho bhai.....
roll no. 1 present hai

sameer'shaad' 20th January 2011 10:34 PM

Bahot khoob Masood miyaan... keep going. I am also present sir.

masoodhassas 21st January 2011 01:00 AM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 421156)
masood sahab apko khas daad phir deta hu....
jis hisaab se aap seekha ,samjha rahe hai....wakai isse asaan koi nahi sekha sakta tha.

agee badte raho bhai.....
roll no. 1 present hai

aadaab
shukriyah janaab kaa
magar ye to bataayen ki koi aisaa hai bhi jis ne is se kuchh seekhaa bhi ?
masood

masoodhassas 21st January 2011 01:01 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 421159)
Bahot khoob Masood miyaan... keep going. I am also present sir.

aadaab
shukriyah yaar bas aap isee tarah himmat barhaate rahen
masood

AHMAD SHAKIL 21st January 2011 04:24 PM

Masood Saheb.....!
Aap Jis Baareek Beeni Se Sb Nuktay Waazeh Kr Rahe Hain Us Ke Liye Hazaron Daad....
Or Mujhy Yaqeen Hai Ke Is Tarha Mere Jaisa Halkay Zehn Ka Insan Bhi Aasani Se Baat Samjh Sakta Hai.......

Keep It Up

Khush Rahen

masoodhassas 21st January 2011 04:52 PM

Quote:

Originally Posted by AHMAD SHAKIL (Post 421178)
Masood Saheb.....!
Aap Jis Baareek Beeni Se Sb Nuktay Waazeh Kr Rahe Hain Us Ke Liye Hazaron Daad....
Or Mujhy Yaqeen Hai Ke Is Tarha Mere Jaisa Halkay Zehn Ka Insan Bhi Aasani Se Baat Samjh Sakta Hai.......

Keep It Up

Khush Rahen

aadaab
shakil bhai
janaab hamen yaa is post ko aap ki daad yaa mobaarakbaad se kaheen zeyaadah aap ke mashwaron ki zaroorat hai
hamen aap se ye sun kar yaqeenan achhaa lagaa lekin agar aap apni kisee raaye ka izhaar bhi karte to baat aor bhi oumdah ho jaatee
dekhen ye ek haqeeqat hai ki aap urdu rasmulkhat ( font) ko achhe se jaante hain to kiun na aap apnaa tajurbah yahaan ham sab ke saath share karen
main tamaam un doston se guzaarish kartaa hun jo urdu jaante hain ki is kaam ko aage badhaane me madad karen har wo chhoti badee baat jis se urdu seekhne me madad mil saktee ho yahaan zaroor likhen taaki har parhne waalaa us se kuchh haasil kar sake
mukhlis
masood hassaas

masoodhassas 21st January 2011 04:57 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 421156)
masood sahab apko khas daad phir deta hu....
jis hisaab se aap seekha ,samjha rahe hai....wakai isse asaan koi nahi sekha sakta tha.

agee badte raho bhai.....
roll no. 1 present hai

aadaab
zid bhai
aap se khaas guzaarish hai ki aap ne urdu seekhte waqt jin baaton se bahot kuchh seekhaaa hai yaa jo baaten aap ko aisee lagee hain jin se aap aasaani se kuchh haasil kiye hain yaani ki shuroaaaati daor me jo jo baat bhi aap ko achhee lagee hai use yahaan pe zaroor likhen
shaayad jahaan aap hain us nigaah se ham na dekh paaye to agar aap kuchh kahaa karen to behtar ho gaa
mukhlis
masood hassaas

naresh_mehra110 21st January 2011 08:36 PM

Masood Bhai .. aap ko Urdu Padhate dekhana bahut accha lag raha hai ... SDC ki khushnaseebi hai ... aap jaisa honhaar Ustaad humare saath hai ... ! is ibtadaah ke liye ... bahut bahut mubaaraqbaad Ustaad Ji !

aaj se apne school me humara bhi daakhilaa kar lijiye ... ! yeh dekhte hue ki aapki iss class me ek student bahut sharaarti hai ... padhaate waqt khaas nazar rakhni padhegi aapko ... mian roll no . 1 ki baat kar raha hoon ... :D

masoodhassas 26th January 2011 05:56 AM

aadaab dosto
ek khaas baat batanaa bhool gayaa thaa wo ye ki horoof pe jo "dot" aate hain use urdu me "nuqtah" kahtey hain

ab aaiye apne sabaq ki taraf
urdu me kisee bhi harf ki teen shkl hotee hai
no 1 …………… yaa to wo shuroo me aaye gaa
no 2……………. yaa wo darmeyaan me aaye gaa
no 3 …………… yaa wo aakhir me aaye gaa

agar aap is baat ko ache se dimaagh me bithaa len to urdu likhnaa parhnaa intehaayi aasaan ho jaaye gaa

note ..is baat ka dheyaan rahe ki jo harf ek jaise hain sirf un me nuqton ka farq hai jaise BA PA TA SA to yahaan ek harf likhaa gayaa hai aap nuqtah laga ke doosraa harf banaa sakte hain

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel1.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel2.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel7b.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel11.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel14.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel18.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel20.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel22.gif

masoodhassas 26th January 2011 06:00 AM

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel24.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel26.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel27.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel28.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel29.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel30.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel31b.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel31.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel32.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel33.gif

masoodhassas 26th January 2011 06:02 AM

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel34.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel35.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel36.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel37.gif

http://users.skynet.be/hugocoolens/newurdu/tabel38.gif

sameer'shaad' 26th January 2011 12:34 PM

Masood bhai aadaab, accha lag aapko wapas dekhkar.. bas itna hi kahnaa chahunga ki agar aap yoonhi khoobsurti se Nuqte lagaate rahenge to bhala hum Nuqtacheeni kaise kar paaenge... mazaaq kar rahe hain bhai. Behad khubsurti se aap ye kaam anjam de rahe hain, bahot acha lag raha hai aapka ye zauhar.. keep going.

shaad...

All times are GMT +5.5. The time now is 10:07 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.