Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   Kuch dil ke ehsaas ... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80350)

sameer'shaad' 20th September 2018 02:54 PM

Kuch dil ke ehsaas ...
 
Doston aaj na jaane kyaa baithe baithe dil me khayaal umadte gaye. Aur main
likhtaa chalaa gayaa...
Nahi jaanta ye kya hai.. ghazal hai nazm hai ke kyaa hai, bas itnaa pataa hai jo bhi hai mere dil ka haal hai... padhiye aur ho sake to ehsaas ko samajhiyega, shukriyaa...

Bahot tanha sa hoon mujhko bhi koi dost chahiye,
Jo dil ka haal sun le aur mujhko waqt de sake.

Meri ghazaloN ko na sirf sunta rahe muskuraa ke jo,
Wo in ghazal me chupe dard ko pahchaan bhii sake.

Guzar gaya wo zamaana jab apne dost they kaii,
Ab to bas ham Hain aur saath me ek shaam hai tanhaa.

Guzarte waqt ki tasweer jab bhi dekhat hoon main,
To khush hota hoon jab saath sabhi rishte naate the.

Magar wo daur ab badal chukaa hai kyaa bataaiye,
Na dost sath hain na bahan bhai na hi maa baap hain.

Jo rah gayaa hai to bas zindagi ke daav pech hain,
Inhi rasmo rawaayton me tham gai hai zindagi.

Faqat ab rozgaar hai aur uski jaddo jahad,
Na koi dost sath hai na koi gham gusaar hai.

Shaad.....

Madhu 14 1st October 2018 01:24 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 496674)

Shaad sahab....kamaal karte hain aap..koi dost nahi aisa kaise maan liya....khair ham mahsoos Kar sakte hain ye kalaam likhte vaqt zehan ki qafiyat Kya hogi...

Nida fazli ji ka ek sher yaad aa Gaya..

Har taraf har jagah beshumaar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi...

:) yun hee dil ka haal hamse baanTte rahiyega..
Khush rahiye..

Madhu

sameer'shaad' 1st October 2018 11:07 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 496681)
Shaad sahab....kamaal karte hain aap..koi dost nahi aisa kaise maan liya....khair ham mahsoos Kar sakte hain ye kalaam likhte vaqt zehan ki qafiyat Kya hogi...

Nida fazli ji ka ek sher yaad aa Gaya..

Har taraf har jagah beshumaar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi...

:) yun hee dil ka haal hamse baanTte rahiyega..
Khush rahiye..

Madhu

Behad shukriyaa madhu ji aapke aane ka saath dene ka aur kalaam ko padhne ka

Bahot accha laga y jaan kr ke aapne bhi mere dil ke ehsaas ko mahsoos kiyaa

Aati rahiyegaa.. shukriyaa

Shaad....

All times are GMT +5.5. The time now is 02:31 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.