Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Anjuman-e-Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=27)
-   -   karte hain (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=43607)

wafa ali 28th December 2005 07:27 AM

karte hain
 
Isharon,kinayon se pyar karte hain

kagazi phoolon se bahar karte hain

inventry ashiqo ki lee nahin kabhi

wafa vo to ishq audhar karte hain

wafa ali 7th January 2006 05:33 AM

gazal
 
Daste dua ho jayega

beemar tera dekhke daste dua ho jayega .
Tera yahan aekbar ka ana dava ho jayega .

Dilki ye kishkol to hamne kabhi kholi nahin
Koi de ya na de hamein sabka bhala ho jayega .

Phool ,patthar,kante ho ya ho bijliyonka khiraj
Jo bhi girega ish nasheman per hava ho jayega .

Yoon isharo aur kinayo mein kahoge kabtak
Jo jaban se apni keh do ge to kya ho jayega .

Loot le jao yahanse phool,patti.shakho,phal
Ye chaman ab kuch dinomein viran ho jayega .

Bana phirta he ye phiron aur shaddad ka beta
Khuda wahid ko chhor kar kya khuda ho jayega .?

Sham ke kandho pe roya khoon ke ansu suraj
Barbadyon ki rat ayegi tabah ho jayega .

Hamne “Wafa” waqt ki rassi kabhi thami nahin
Kuch bhi kahenge jamanese gilaa ho jayega .

wafa ali 8th January 2006 06:48 AM

Hindi gazal
 
Please read hindi gazal
MAZI KI DIWAR

wafa ali 8th January 2006 07:14 AM

QATAA
 
Kar dali

Hooi jo neend mein pavend to khwab kar dali.

Tapak gai ankh se phoolonke sharab kar dali .


Qafase dilme jo apke thahre ham chand lamhe

Hayate qarvan ki reg ko shadab kar dali.

manish_jhs 9th January 2006 05:53 PM

sigrate
 
mehbooba se achhi to yeh sigrate hai,
hotho ke pass to ayegi,
thoda sa dil jalayegi,
par dil tod ke to na jayegi,
jis din mehbooba hotho ke pass ayegi,
yeh sigrate to apne aap chhoot jayegi.

wafa ali 10th January 2006 03:25 AM

Re: sigrate
 
Quote:

Originally posted by manish_jhs
mehbooba se achhi to yeh sigrate hai,
hotho ke pass to ayegi,
thoda sa dil jalayegi,
par dil tod ke to na jayegi,
jis din mehbooba hotho ke pass ayegi,
yeh sigrate to apne aap chhoot jayegi.


Thanks manish
keep on writing


wafa ali

wafa ali 13th January 2006 10:53 AM

Maji ki diwar
 
Majiki diwar
Is sal bhi aa gai dekho machalti ye bahar
Aur phool mere angno mein the wo bhi pharar

Chandni barsi magar gesu-e shab tariq hai
Shayad laga usko grahan teri zulfonka ae yar

Aek dastak aegi tere dar par han jaroor
rah mein palkein bichhakar kar lena intezar

ae waqt to ret ka teela hai phaila hua
aek ah mein piglega ye banjaega teri mazar

dhoonta hun mein wafa khoi hooi meerat ko
Torta hun me isliye dhoon dhoon ke maji diwar

Wafa ali

wafa ali 14th January 2006 04:05 PM

KARLE
 
KARLE

Chalo ish ishq mein kuchh kam ham bant kar kalre
afooh karte rahna tum gareban chak ham karle

Pakao tum korma kofta ,biryani aur jarda
hman ko bulaye hum aur isko saf ham karle.

Wafa ali

wafa ali 14th January 2006 04:08 PM

KARLE
 
KARLE
Chalo ae ishq mein kuchh kam ham bant kar kalre
Rafooh karte rahna tum gareban chak ham karle

Pakao tum korma kofta ,biryani aur jarda
Mahman ko bulaye hum aur isko saf ham karle.

Wafa ali

wafa ali 15th January 2006 10:02 AM

Rok kar dekho
 
ROK KAR DEKHO

Teer aur talvar ko rok kar dekho.
Ishq ke beemar ko rok kar dekho.

Jal jayega aehsas ka ful ye tera
Jajbat ke koi tar ko rokkar dekho.

Ja kar milegi khwab ke saye tale
Koi kisike yar ko rok kar dekho.

Jalti rahegi abke chashmo tale sada
Ishq ke angar ko rok kar dekho.

Khamoshiye lab ko majboori na samajna
Khoon ki pookar ko rok kar dekho.

Wafa Ali

wafa ali 16th January 2006 01:44 AM

Ayena hai ye ayena
 
AYENA HUN MEIN AYENA
Ganjinae asrar hun ayena hun nein ayena .
Markaze izhar hun ayena hun mein ayena

Tu tuta to zarf tera tut kar reh jayega
Tutkar sarsar hun ayena hun mein ayena.

Koi hizabonme nahin aya hamare samne
Sabka razdar hun ayena hun mein ayena

Amli hamamonme barhinae rahe sab neko-bud
Jalvae kirdar hun ayena hun mein ayena

Kufla ka pehra lagaya goyai per rat din
Sabka rafike yarhun ayena hun mein ayena

Aqsa tera dekhkar kyon tu tarpa Wafa
Mein tera beemar hun ayena hun mein ayena














monotype corsiva monotype corsiva

wafa ali 18th January 2006 08:06 AM

mini gazal
 
Rusva kar diya

Bus rafiqone hame aaj rusva kar diya
Jantethe na jise ausko janan kar diya.

Jis raste se kabhi gujra nahin ye karvan
Aus raste ki khaq ka ah sauda kar diya


Lutne wale the hamein jo moqa dekh kar
Aus jalimko hamare dil me mehma kardiya.

19jan.2006

wafa ali 19th January 2006 03:58 AM

qataa
 
Danda shikan

Har bat ka aunka jawab bhi danda shikan
Neend kya cheej khwab bhi danda shikan

Toote huae hai dant sabaunke aushshasq ke
Husna ka mukka shabab bhi danda shikan

Danda shikan:dant ko tornewala

nice_4m_heart 19th January 2006 12:19 PM

Wafa Ali Je,

May ek nehayat kanjoos shaks ho tareef kar nay K mamly may (Aisa mari Bivi khay te hay)

Aap kay andazay bia, aur sochnay ka Angle.. bilkul hat kar hay,,
i realy like your ashar.. sirf thori se miushkil hoote hay pardh nay may..

lay kin koi baat nahi.. miray asharo ka bhi ya he haal hay..
"Likhy Moh-Sa Pardhnay Khud Aa"

May ek bar aur.. Ap kay andazay bayia.. aur Mouzo kay intekhab par Daad do ga.

Aur ap kay Agly kalam ka mumtazir raho ga.
Aap jab kabhi apna new ashar post kary
tw kia mujhy Privet Massage kar kay bata day gi ?

Mr Nice Guy

Taish 19th January 2006 08:07 PM

Re: gazal
 
Quote:

Originally posted by wafa ali
Daste dua ho jayega

beemar tera dekhke daste dua ho jayega .
Tera yahan aekbar ka ana dava ho jayega .

Dilki ye kishkol to hamne kabhi kholi nahin
Koi de ya na de hamein sabka bhala ho jayega .

Phool ,patthar,kante ho ya ho bijliyonka khiraj
Jo bhi girega ish nasheman per hava ho jayega .

Yoon isharo aur kinayo mein kahoge kabtak
Jo jaban se apni keh do ge to kya ho jayega .

Loot le jao yahanse phool,patti.shakho,phal
Ye chaman ab kuch dinomein viran ho jayega .

Bana phirta he ye phiron aur shaddad ka beta
Khuda wahid ko chhor kar kya khuda ho jayega .?

Sham ke kandho pe roya khoon ke ansu suraj
Barbadyon ki rat ayegi tabah ho jayega .

Hamne “Wafa” waqt ki rassi kabhi thami nahin
Kuch bhi kahenge jamanese gilaa ho jayega .

janab aapko kuch suggestion dene the.pehla to y ki aap ek saath itni saari cheezen na post karen log nahi padhte hain itne sare ek saath maine bhi sare nahi padhe hain.
aur doosri baat aapne jo ye ghazal likhi hai iska kafiya theek nahi hai.kyunki aapne kayi baar alag alag tarah ka kafiya use kiya hai.main guzarish karunga ki aap is link ko padhen bahut kuch seekhne ko milega wahan aapko.

http://www.shayri.com/forums/showthr...?threadid=2125


GHAYAL

wafa ali 21st January 2006 02:52 PM

Khmoshhai
 
Khamosh hai

Teer bhi khamosh hai,talwar bhi khamosh hai.
Khanjronki vo chamakti dhar bhi khamosh hai.

Loot raha tha iss chamake mathe ka sindoor jab
Khoon se rangi hooi bazaar bhi khamosh hai.

Qufla kaisa lag gaya insaniyat ke hoth par
Aunke dar khamosh hai deewar bhi khamosh hai.

Ankhein khuli rahgai aur jaban lataki rahi
Dekha sabhi hi ankhne deedar bhi khamosh hai

Mein wafa dekhkar phoot phoot kar rota raha
Iss shaharke haqparast kirdar bhi khamosh hai

Iss khamoshi mein paleinge sanp nafrat ke wafa
Kya huva izhar ko izhar bhi khamosh hai

wafa ali
21jan2006

wafa ali 23rd January 2006 12:49 AM

Qataa
 
Ayena
Betha raha mein tham kar ye jigar ka ayena
Yar abto rok lo apni nazar ka ayena

Muddatein gujarai ke tuta nahin aunka garur
Yar ab to tor do aiske shahar ka ayena.

wafa ali 25th January 2006 06:45 AM

qataa
 
Bechnewale
Jara chhupkar chupkese becho adaon bechnewalo
Sharm kuchh bhi nahin aati sadaon bechnewalo

Hame bhi talashi hai ke miljae marham dilka
Kahan chhupkar baithe ho davaon bechne walo


24jan.2006

wafa ali 27th January 2006 04:45 AM

Ham khush hain
 
Hum khush hain

Khul jae zulfe yar to bhi hum khush hain
Wig ki ho deewar to bhi hum khush hain

Choudvin ka chand hoto hai nur ala nur
Laltain ki ho bahar to bhi hum khush hain

26 Jan.2006

wafa ali 28th January 2006 03:39 AM

qataa
 
Khuda semang

Khuda se manglo jo mangna hai mangnewalo
Wahanse koi bhi sail thukraya nahin jata

Milega sab wahinse apni apni jarf ke mwafiq
Kisike tang damaman ko sahlaya nahin jata

wafa ali 27Jan.006

wafa ali 31st January 2006 04:42 AM

Gazal
 
Badal gaye hain

Rafta rafta yar ke sab gam badal gaye hain
Kuchh vo hai badale huae kuchh ham badal gaye hain.

Mehfil me jab aten hai to ankhein nahi jukti
Andaze sarkar ke kuchh dhang badal gaye hain

Rukh hai rafikon ka ab badli hava ke sath
Ab mausame gulzar ke sab rang badal gaye hain

Hathiyar bhi badle huae dushman bhi hai badla hua
Maidan bhi badla hua jang badal gae hain

Kya thi majal ankhein utha kar dekhta koi
Lutti hooi bahar ke dam badal gaye hain

Wafa ali 30 jan.2006

wafa ali 2nd February 2006 04:01 AM

Qataa
 
Tarah

Kanton mein rahtahun mein havaon ki tarah
Dard mein rahtahun mein davaon ki tarah

Felahun khushbu ki tarah fulke dilmein
Dile mukhlis mein hu mein duaon ki tarah

Wafa Ali Feb.2006

wafa ali 4th February 2006 06:50 AM

Nikli
 
Nikli
Hath to uthe magar dua nahin nikli
Hai tere shishe mein dava nahin nikli
Kaise chalaye yar tune bhi ae khanjar
Kat gaya ruvan ruvan sada nahin nikli
3rd feb.2006 Wafa ali

nice_4m_heart 4th February 2006 12:37 PM

Zaber dast bhooot khoob..

your way of thinking is hat kay..

i love your work... every idea.. your angle of looking is different

waiting for yours mind next creation..

wafa ali 5th February 2006 07:09 AM

qataa
 
Kyun nahin aye

Tassavur ki mehfilon mein ate ho bar bar
Ankhein bichhai rahmein kyun nahin aye

Khawabon ke regzar mein bhatkoge kab talak
Dilko jalaya yadmein kyun nahin aye

wafa ali

wafa ali 7th February 2006 03:38 AM

Ayahun
 
Ayahun

Tere shahar mein janisar ayahun
Bari doorse mein tera bimar ayahun

Teri gali ke logo ne chalne na diya paidal
Is liye ambulance mein savar ayahun

Wafa ali 6thfeb.2006

wafa ali 8th February 2006 11:36 PM

Kashish
 
kashish


Mere gunahaon mein kashish hai abhi baki
Ati hai tauba khinchkar Machnatish ki tarah

Khijanme bhi ye chaman mahaka hua hai
Aten hain parvane abhi atish ki tarah

Wafa ali 8th Feb.2006

wafa ali 10th February 2006 06:12 AM

Ho jaye
 
Ho jaye

Tham lun jis zarf ko woh jam ho jaye
Kash mera raz bhi kuchh aam ho jaye.

Dekhlo mehfilme bhi mehmil se jara
Thore tabassum se mera kam ho jaye

Wafa ali 9th feb.2006

wafa ali 11th February 2006 08:16 AM

Moqa dijye
 
Moqa dijye

Marmari jimson ko yun na bhun lijye
Chandni raton me baitha na kijye

khilte raho na bar bar dil ke bag me
Kaliyon ka bhi haque hai moqa dijye

Wafa ali 10th feb.2006

wafa ali 12th February 2006 01:29 PM

Dilentine
Dil aek hai aur chahne wale mile hazar
Ye mamala hai ishq ka ye nahin bazaar

Valentine say to hame kya fark parta hai
Kar sakte nahin is dilke tukre hum barbar

Wafa ali 12Feb.2006

wafa ali 17th February 2006 11:06 AM

Qataa
 
Tere intezar

Tere intezarka matlab nahin raha
Waqt ki sarhadein sumsam hogai.

Ate agar baharmein palete sab phool
Ab chaman ki zindgi nilam hogai

Wafa ali 17Feb.2006

wafa ali 21st February 2006 04:09 AM

qataa
 
Diye

Raste to kiye bandh nahin abhi
Har mor per magar pehre bitha diye

Imtehan teri rasme wafa ka hai jara
Ahni kante har qadam per jama diye.

Wafa ali 20feb.2006

wafa ali 24th February 2006 10:23 AM

Aekpal
 
Aekpal
Aekpal tere bagair gujarti nathi kabhi
Barso huae ab tere bagair hi gujardi

Tanhainya tut kar lati thi aek ghutan
Tanhaion ki thak kar gesun sanvardi

Wafa ali 23feb.2006

wafa ali 4th March 2006 05:55 AM

KHUDI aur khuda
 
KHUDI aur KHUDA

Khudi aur Khuda mein ulze hue hain.
Khudi ka matlab na samze hue hain.

Khudi ki bulandi badalti hai taqdir;
Raza-e Ilahi se miltihai tadbir.

Khudi se banta hai iman kamil
Khuda ki raza har amlon me shamil.

Khudi ka nasheman tere dil main hai.
Falak jis tarah ankh ke til me hai.

Wafa ali 3rdMarch2006
Note:The last (4th one) belongs to my favorite poet
Allamah Dr. Mohammed Iqbal(marhum)

wafa ali 5th March 2006 04:31 AM

sachvi lejo
 
સાચવી લેજો.
મળીછે પ્રિતજે તમને જરા સાચવી લેજો.
મળે હાર થોડી તો એને જાળવી લેજો.

મળશે ઘણાયે શત્રુઓ ડરશો નહીં જરા;
તમારા હ્રદયમા માળી છબી સાંકળી લેજો.
વફા અલી.૪માર્ચ્૨૦૦૬
કવિતા ,ગઝલો ,ગીતો બધું છંદ (બહેર,વજન)થી બનેછે.
તમારી ક્રુતિને થોડું સમારકામ કર્યુછે.(કોઇ પણ વેતનની ઇચ્છ વગર)
લેજો રદીફ છે.જાળવી,સાચવી,સાંકળી કાફિયઅ છે.મુકતક તૈયાર થૈ ગયુ.
કોઇ વ્યાકરણના પુસ્તકમાથી માહિતી મળી રહેશે.વધુ માટે નીચેની વેબ સાઈડ જુઓ.http://www.ghazalgurjari.com/

nice_4m_heart 5th March 2006 02:46 PM

Assalam-o-Alikum Piari Bahen,

As I always say.. Your work is different from all

But I found some mistake in the basic idea of your last Nazam Khudi,
Kindly not it down as follow,

Quote
"Khudi aur Khuda mein ulze hue hain.
Khudi ka matlab na samze hue hain."

Khudi aur khuda may dekho saaf farak hay
Ek banda-e-ajiz aur wo zataye Azal hay

Quote
"Khudi se banta hai iman kamil
Khuda ki raza har amlon me shamil."

Bando ko sedha raha dekhay hay Allaha
Phir marzi insaan par us ky amal ke hay

My apology if you find me harsh

Keep :)ing
Allaha Hafiz

wafa ali 10th March 2006 08:23 AM

kabhi
 
Kabhi

Ujaalon me hamesha muze dekhne walo
Andheron me bhi gaurse dekha karo kabhi

Chamakte shahar me to milte ho har ghari
Buzte diye ke nagar me bhi mila karo kabhi.

Mr.Mohammedali Bhaidu”Wafa ali”
10Mar.2006

wafa ali 14th March 2006 09:26 AM

Saya
 
Saya

Barhta raha gamoka ye saya
Na aap aye na paygam aya.


Ankhoke sapne palko se tute
Udasiyone bhi panja jamaya.


Havaaon ki bhini lahar aek aai
Barkhane pallo apna bichhaya.

Jali barishome hamari tamanaa
Tumare jalveka matam hai chhaya.

Bhare mayqade me larkhti ahen
Na aap aye na paygam aya.

Mr.Mohammesali Bhaidu”Wafa ali”
13mar.2006

wafa ali 18th March 2006 03:57 AM

Gazal
 
Zehmat na kijye

Izhare iltefat ki zehmat na kijye.
Divarke bhi kan hai ahat na kijye.

Toot ye jayegi to royenge footkar
Hadse gujarkar mohabbat na kijye.

Ab koi maqtalmen hoga imtehan tera
Khanjar bapa mohsin hai harqat na kijye.

Mein to wahi hun jo me tha pahle tere liye
Badla hua mausam hai kuchh nafrat na kijye.

Kante mile to shauk se chun lijye wafa
Ujde chaman mein phoolki hasarat na kijye.

Mr.Mohammedali Bhaidu”wafa ali”

17th Mrch2006

wafa ali 23rd March 2006 04:47 AM

Qattaa
 
Qattaa

Udasiyon ki nav le kar kyon chala karein,
Joolmaton ke aab ko aao ke phaaar dein.

Ham to banayenge chaman apne hath se
Chahe hame wo phool de ya to khaar dein.


All times are GMT +5.5. The time now is 04:31 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.