Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil - Mirza Ghalib (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76964)

aadeil 11th February 2014 05:33 PM

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil - Mirza Ghalib
 
Gaur kijye ke, Ye ghazal Ghalib saab ne apne pehle takhallus "Asad" se likhee hai.

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

[ niyaaz = desire/an offering ]

jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

[ shamma'a_kushta = extinguished lamp, darKHur = worthy ]

marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa

[ shaayaan = worthy, dast = hand, baazoo = shoulder ]

bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa

[ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction,
imtiaz = distinction, naakis = cunning, qaamil = intelligent ]

waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha

[ waa = open, GHair_az = other than, haayal = obstacle ]

go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha

[ sitam = oppression, GHaafil = unaware/careless ]

dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha

bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'

[ bedaad = injustice ]

~ Mirza Asad-ulla-Khan 'Ghalib'

sameer'shaad' 12th February 2014 10:08 AM

Waaahhhhhhhhhhhh..... kyaa khoob ghazal pesh ki hai aapne Aadeil saahab..

Ghalib ki laakhon me ek ghazal. alfaaz hain ya noke khanjar, ghayal hi kar daalaa....

many thanks..

Shaad....

aadeil 13th February 2014 12:23 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 457108)
Waaahhhhhhhhhhhh..... kyaa khoob ghazal pesh ki hai aapne Aadeil saahab..

Ghalib ki laakhon me ek ghazal. alfaaz hain ya noke khanjar, ghayal hi kar daalaa....

many thanks..

Shaad....

aapka bahot bahot shukriya Sameerbhai....
Adil ka salaam....

Masoom Pyar 13th February 2014 12:36 PM

Bahot Hi Khub peskas aadeil ji......................

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 457100)
Gaur kijye ke, Ye ghazal Ghalib saab ne apne pehle takhallus "Asad" se likhee hai.

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

[ niyaaz = desire/an offering ]

jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

[ shamma'a_kushta = extinguished lamp, darKHur = worthy ]

marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa

[ shaayaan = worthy, dast = hand, baazoo = shoulder ]

bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa

[ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction,
imtiaz = distinction, naakis = cunning, qaamil = intelligent ]

waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha

[ waa = open, GHair_az = other than, haayal = obstacle ]

go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha

[ sitam = oppression, GHaafil = unaware/careless ]

dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha

bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha

[ bedaad = injustice ]

~ Mirza Asad-ulla-Khan 'Ghalib'

aadeil 17th February 2014 10:37 AM

Quote:

Originally Posted by Masoom Pyar (Post 457141)
Bahot Hi Khub peskas aadeil ji......................

Thank you, Massom Pyar ji...................
Aap ki daad qbul hai...................

All times are GMT +5.5. The time now is 10:47 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.