Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri Ki Paathshaala (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=50)
-   -   Fusoon-e-alfaaz ..... the magic of words (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77403)

zarraa 31st July 2014 07:49 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 463713)
Naaz, this is dedicated to you :)
shokHii-e-tifl* si tiir-e-mizhgaan ye terii
detii tujhe lutaane ijaazat ye mehfile.n


*tifl = child

~Adil

Waah !! Kya khoobsurat sher N@zneen ji ke naam kiya hai !! Bahut khoob Aadeil bhai !!

zarraa 31st July 2014 07:52 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463740)
Shawq-e-deedar-e-yaar kii talib reh gaii
Kambakht mizhgaanoN ka pehra kamaal tha

Wwwaaaahhhh !!!!!! Beintehaayee khoobsurat khayaal !!! Waah !! Deed par mizhgaan ka pehra !! Kya haseen fiqr hai, kya khoobsurat sher !! Dheron daad N@zneen ji !!

zarraa 31st July 2014 08:05 PM

abroo* khiNchee itaab* meiN mizhgaaN bhi uth gayee
dekho to teer-e-husn kamaaN* par haiN aa rahe

-zarraa


* abroo = eyebrow, itaab = anger, kamaaN = bow

Hassan 1st August 2014 02:02 AM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 463573)
mushtaaq*-e-deed*-e-jalwa ye aaNkheiN theeN hum ne par
mizhgaaN ko us ke husn ka chilman* bana diya

-zarraa


mushtaaq = longing for, deed = sight, chilman = curtain

wahhhhh!!! Zarraa saheb,, nihayat khooob...

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 463611)
lafz-e-mizhgaa.n pe hamaarii kosish....

nok-e-mizhgaa.n* pe na buu.ndo.n ko sajaate rehte
tah-e-mizhgaan-e-nihaa.n* gham jo manaate rehte


*nok-e-mizhgaa.n = tip of eyelashes
*tah-e-mizhgaan-e-nihaa.n = under the hidden eyelashes

wahhhhh!! Aadil bhai,,, aik umdaaH khiyaal... dherooN daad!

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 463623)
mizhgaan-e-tar* kii humko niyaaz-e-qadiim* rahe
lekin saraab-zaar* nazar se adiim* rahe

*mizhgaan-e-tar = wet eyelids
*niyaaz-e-qadiim = long-term wish
*saraab-zaar = like mirage
*adiim = deprived of

nazar se adim .... ..wahhhh!!! wahhhh! wahhhh! boht khoob...


Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 463693)
teri mizhgaaN ke kham hi dekha kiye
haay ghamza tera kahaaN dekha

-zarraa


(kham = curl, ghamza = a flirtatious glance)

zarra saheb... wahhhh... aik khobsorat peshkash..

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 463713)
Naaz, this is dedicated to you :)
shokHii-e-tifl* si tiir-e-mizhgaan ye terii
detii tujhe lutaane ijaazat ye mehfile.n


*tifl = child

~Adil

hahaha!.... you made her day! ;-)
Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463740)
Shawq-e-deedar-e-yaar kii talib reh gaii
Kambakht mizhgaanoN ka pehra kamaal tha

ahaan... kia kehne! .. Naaz.... that was brilliant!

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 463743)
abroo* khiNchee itaab* meiN mizhgaaN bhi uth gayee
dekho to teer-e-husn kamaaN* par haiN aa rahe

-zarraa


* abroo = eyebrow, itaab = anger, kamaaN = bow


wahhh! Zarra saheb... kamal per kamal kiye jatay haiN aap ...
behad umdaH khiyaal.... dherooN daad


Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463752)
Sipar* liye khade the saf* meiN mere raqeeb
Barq-e-nigah* thi mizhgaaN meiN nihaaN*


Sipar=shield
Saf=line
barq-e-nigaah=flash/lightening of sight.
NihaaN=concealed.

wahhhh! wahhh! Naaz.... superb!

Hassan 1st August 2014 02:34 AM

tere nainooN k talism meiN koi kese giraftaar na ho?
jheel si aankhON ko chaar chaand lagaaye mizhgaan jo haiN...

Hassan 1st August 2014 12:53 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463768)
Back with a bang ;-) bahot khoob.......missed ur sher's on this thread :p

Naaz,,

Ab khud hi jawab do....

hum shair kehte
ya Eid karte ?? :)

;)

Hassan 1st August 2014 03:07 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463781)

Multitasking nahin ho :p
......................................

Dear.. Hum to is type ke hain :-

ae raat! Maa ki tarah apni aaghosh meiN le lo mujhe!
din bhar ki mushaqqat se jism toot raha hai... :)

Yakey baad deegray multi task karne lagieN gy
to aik cheez ka maza bhi sahi tarah na le paayen gy :D

Hope you may understand now ;)

aadeil 1st August 2014 04:02 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463740)
Shawq-e-deedar-e-yaar kii talib reh gaii
Kambakht mizhgaanoN ka pehra kamaal tha

awesome!!! Naaz,
behteriin sher pesh kiya hai........ bahot hi khubsurti se mizhgaan lafz ka istemaal kiya hai..... too good :)

aadeil 1st August 2014 04:03 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 463741)
Waah !! Kya khoobsurat sher N@zneen ji ke naam kiya hai !! Bahut khoob Aadeil bhai !!

aapka teh-e-dil se shukr guzaar hoo.n :)

aadeil 1st August 2014 04:06 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 463743)
abroo* khiNchee itaab* meiN mizhgaaN bhi uth gayee
dekho to teer-e-husn kamaaN* par haiN aa rahe

-zarraa


* abroo = eyebrow, itaab = anger, kamaaN = bow

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhh!!!!
zarraasaab, kya kamaal kiya hai aapne iis sher me.n.... waaah hi waaah nikaltii hai.... dheroN dheroN daad hamaari jaanib se :)

Adil

aadeil 1st August 2014 04:08 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463752)
Sipar* liye khade the saf* meiN mere raqeeb
Barq-e-nigah* thi mizhgaaN meiN nihaaN*


Sipar=shield
Saf=line
barq-e-nigaah=flash/lightening of sight.
NihaaN=concealed.

waaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhh!!! Naaz, you are doing an outstanding job, dear...

behad hi khubsurat khayaalaat pesh kiye haiN....

dheroN dheroN daad....................

aadeil 1st August 2014 04:10 PM

[QUOTE=Hassan;463754]
wahhhhh!! Aadil bhai,,, aik umdaaH khiyaal... dherooN daad!

nazar se adim .... ..wahhhh!!! wahhhh! wahhhh! boht khoob...


aapka bahot bahot shukriya, Hassanbhai :)

hahaha!.... you made her day! ;-)

;) :D

aadeil 1st August 2014 04:12 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 463755)
tere nainooN k talism meiN koi kese giraftaar na ho?
jheel si aankhON ko chaar chaand lagaaye mizhgaan jo haiN...

waaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhh!!!! ala tariin khayaalaat, Hassanbhai....
bahot hi khubsurat............. beshkimmatii sher hai yeh........
dilse dheroN dheroN daad...............

Adil

Hassan 1st August 2014 05:25 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 463790)
waaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhh!!!! ala tariin khayaalaat, Hassanbhai....
bahot hi khubsurat............. beshkimmatii sher hai yeh........
dilse dheroN dheroN daad...............

Adil

teh-e-dil se manooN hooN Aadil bhai...

milte rahiye ga,,

zarraa 1st August 2014 08:25 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463752)
Sipar* liye khade the saf* meiN mere raqeeb
Barq-e-nigah* thi mizhgaaN meiN nihaaN*


Sipar=shield
Saf=line
barq-e-nigaah=flash/lightening of sight.
NihaaN=concealed.

Wwwwaaaaahhhhh!!! Barq-e-nigaah mizhgaan meiN nihaaN .... kya khoob takhayyul hai !! Bahaut khoob N@zneen ji !!

zarraa 1st August 2014 08:27 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 463755)
tere nainooN k talism meiN koi kese giraftaar na ho?
jheel si aankhON ko chaar chaand lagaaye mizhgaan jo haiN...

Wah wah Hassan sahab !! Chaand jaise sher par daad !!

zarraa 1st August 2014 08:30 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463751)

Wah! Zarraji bahot khoob...bahot khoobsurat tasveer pesh ki hai apne..abroo aur mizhgaaN ko teer kamaan ki misaal de dii....bahot khoob.

Bahaut bahaut shukriya N@zneen ji

zarraa 1st August 2014 08:31 PM

Bahaut bahaut shukriya Hassan bhai !!



QUOTE=Hassan;463754]wahhhhh!!! Zarraa saheb,, nihayat khooob...



wahhhhh!! Aadil bhai,,, aik umdaaH khiyaal... dherooN daad!



nazar se adim .... ..wahhhh!!! wahhhh! wahhhh! boht khoob...




zarra saheb... wahhhh... aik khobsorat peshkash..



hahaha!.... you made her day! ;-)


ahaan... kia kehne! .. Naaz.... that was brilliant!



wahhh! Zarra saheb... kamal per kamal kiye jatay haiN aap ...
behad umdaH khiyaal.... dherooN daad




wahhhh! wahhh! Naaz.... superb! [/QUOTE]

zarraa 1st August 2014 08:33 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 463787)
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhh!!!!
zarraasaab, kya kamaal kiya hai aapne iis sher me.n.... waaah hi waaah nikaltii hai.... dheroN dheroN daad hamaari jaanib se :)

Adil


Bahaut bahaut shukriya Aadeil bhai !!!

zarraa 1st August 2014 09:11 PM

lafz "mizhgaan" par members ke aashaar ....
 
DostoN, lafz "mizhgaan" par members ke khud ke kahe aashaar ....

Apno.n Ka gham-e-marg na gar ho to hii achcha
Ye bojh saf-e-mizhgaa.n pe tolaa nahi.n karte
Ufaq

mushtaaq-e-deed-e-jalwa ye aaNkheiN theeN hum ne par
mizhgaaN ko us ke husn ka chilman bana diya
Zarraa

nok-e-mizhgaa.n pe na buu.ndo.n ko sajaate rehte
tah-e-mizhgaan-e-nihaa.n gham jo manaate rehte
Aadeil

mizhgaan-e-tar kii humko niyaaz-e-qadiim rahe
lekin saraab-zaar nazar se adiim rahe
Aadeil

teri mizhgaaN ke kham hi dekha kiye
haay ghamza tera kahaaN dekha
Zarraa

shokHii-e-tifl si tiir-e-mizhgaan ye terii
detii tujhe lutaane ijaazat ye mehfile.n
Aadeil

Shawq-e-deedar-e-yaar kii talib reh gaii
Kambakht mizhgaanoN ka pehra kamaal tha
N@zneen

abroo khiNchee itaab meiN mizhgaaN bhi uth gayee
dekho to teer-e-husn kamaaN par haiN aa rahe
Zarraa

Sipar liye khade the saf meiN mere raqeeb
Barq-e-nigah thi mizhgaaN meiN nihaaN
N@zneen

tere nainooN k talism meiN koi kese giraftaar na ho
jheel si aankhON ko chaar chaand lagaaye mizhgaan jo haiN
Hassan

zarraa 1st August 2014 10:28 PM

naya lafz
 
dostoN ... is baar ka lafz hai .... MUNTAZIR .....

"muntazir" means "one who is waiting" ya "jo intezaar mein ho"

"muntazir" meiN "t" ka pronounciation is as in teer (arrow), tees (30), taaqat (strength) ... aap samajh gaye hoNge ...

"muntazir" ki taqti, mere opinion mein, hai 212. any other opinion is welcome.

to ab hum lafz "muntazir" par ghaur kareNge, koyee sher, qit'ta, nazm, rubaayee ya aur kuchh jise shayari kaha ja sake, keh kar. behr ki koyee bandish naheeN hai, n hi aashaar par koyee gintee, jitne chaaheiN aashaar kaheiN ..... more the merrier :)

shayari ke saath saath SDC style guftagoo bhi jaaree rakkheNge, seekhne sikhaane ke maqsad se. members se darkhwaast hai ki is lafz par apne khayaalaat aur ilm bhi baaNtte raheiN aur is ki nuances aur is ki usage par roshni daaleiN, jis se hum sab saath saath seekh sakeiN.

ab is lafz par kuchh khoobsurat aashaar ka lutf lete haiN ...

jin ke hum muntazir rahe un ko
mil gaye aur hum safar shaayad
-Faraaz

sab apne apne qareene se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikaayateiN karni
-Faraaz

muntazir kab se tahayyur hai teri taqreer ka
baat kar tujh par gumaaN hone laga tasweer ka
-Faraaz

qaasidoN ke muntazir rehne lage
parh gaye un ko maze paigaam ke
-Daagh Dehlevi

ab kaun muntazir hai hamaare liye wahaaN
shaam aa gayee hai laut ke ghar jaayeiN bhi to kya
-Muneer Niyazi

jo pyaas paani ki muntazir hai
wo sooliyoN par taNgi huwee hai
-Ali Sardar Jaafri

muntazir hai ek toofaan-e-bala mere liye
ab bhi jaane kitne darwaaze haiN wa mere liye
par museebat hai mera ahd-e-wafa mere liye
ai gham-e-dil kya karooN ai wahshat-e-dil kya karooN
-Majaz ki nazm se

jo muntazir n mila wo to hum haiN sharminda
ki hum ne der laga di palat ke aane meiN
-Javed Akhtar

hawas-naseeb nazar ko kaheeN qaraar naheeN
maiN muntazir hooN magar tera intezaar naheeN
-Saahir Ludhianvi

faiz kya jaaniye yaar kis aas par muntazir haiN ke laayega koyee khabar
maykashoN par huwa mohtasib meherbaaN dil-figaaroN pe qaatil ko pyaar aa gaya
-Faiz

jo teri muntazir theeN wo aaNkheiN hi bujh gayeeN
ab kyooN saja raha hai charaaghoN se shaam ko
-name of shayar not known by me, NM

is lafz par ghaur karne ka silsila hum agle 5 din tak chalaayenge, yaani Friday, 6th August, 10:00 PM India time ya 4:30 PM GMT.

to ab aur intezaar mat karwaaiye! hum muntazir haiN lafz-e-muntazir par aap ke khoobsurat aashaar ke :)

duaoN ke saath
zarraa

Hassan 2nd August 2014 12:17 AM

muntazir rahe barsoN ke woh ayeN ge
dekhte rahe sapne ke woh manayeN ge
jaante haiN lekin dil ke hathoN majboor haiN
woh aa bhi gaye to 'hSn' ko rulayeN ge...

Praneeta 2nd August 2014 12:19 AM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 463954)
muntazir rahe barsoN ke woh ayeN ge
dekhte rahe sapne ke woh manayeN ge
jaante haiN lekin dil ke hathoN majboor haiN
woh aa bhi gaye to 'hSn' ko rulayeN ge...

too good......................:)

Hassan 2nd August 2014 12:21 AM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 463955)
too good......................:)

bunch of thanks,, Pari......... :)

You are so supportive since we met...

Take care,

Regards,

ananthpak 2nd August 2014 03:42 AM

mere dil k har haal main tum ho

mere har khayaal main tum ho

na hoon muntazir kisi aur jawab ka

k ab mere har sawaal main tum ho

Praneeta 2nd August 2014 06:17 AM

hoon muntazir ke hoga deedaar-e-yaar ek din
faqat ye ehsaas hi bohat hai sukoon-e-rooh ke liye

Hassan 2nd August 2014 10:32 AM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463972)
Bahot khoob hSn.....very touching :)

behad shukriyaaH... Naaz! :)

Stay in touch,

Regards,

zarraa 2nd August 2014 12:09 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 463954)
muntazir rahe barsoN ke woh ayeN ge
dekhte rahe sapne ke woh manayeN ge
jaante haiN lekin dil ke hathoN majboor haiN
woh aa bhi gaye to 'hSn' ko rulayeN ge...

Waah !! Bahaut khoob !! Jazbaat ke ek safar ke jaisa hai ye qita. Bahaut khoob Hassan bhai waah !!

zarraa 2nd August 2014 12:12 PM

Quote:

Originally Posted by ananthpak (Post 463966)
mere dil k har haal main tum ho

mere har khayaal main tum ho

na hoon muntazir kisi aur jawab ka

k ab mere har sawaal main tum ho

Wwwwwwwaaaaaahhhhhhhhhh!!!! Kya khoob daleel-e-ishq !!! Jawaab ka muntazir naheen kyunki sawaal mein tum ho !!!! Brilliant !! Beautiful thought and expression !!! Bahaut bahaut si daad Ananthpak ji !!!

zarraa 2nd August 2014 12:14 PM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 463967)
hoon muntazir ke hoga deedaar-e-yaar ek din
faqat ye ehsaas hi bohat hai sukoon-e-rooh ke liye

wwwwwwwwaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhh !!!! kya khayaal hai !!!! kisi ke muntazir rehne se hi sukoon mil jaata hai !!!!!! just wonderful !!! dheron dheron daad Praneeta ji !!!

zainy 2nd August 2014 12:21 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 463954)
muntazir rahe barsoN ke woh ayeN ge
dekhte rahe sapne ke woh manayeN ge
jaante haiN lekin dil ke hathoN majboor haiN
woh aa bhi gaye to 'hSn' ko rulayeN ge...

Quote:

Originally Posted by ananthpak (Post 463966)
mere dil k har haal main tum ho

mere har khayaal main tum ho

na hoon muntazir kisi aur jawab ka

k ab mere har sawaal main tum ho

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 463967)
hoon muntazir ke hoga deedaar-e-yaar ek din
faqat ye ehsaas hi bohat hai sukoon-e-rooh ke liye


Wah!...bohat khoob. ...............

Hassan 2nd August 2014 12:59 PM

Quote:

Originally Posted by ananthpak (Post 463966)
mere dil k har haal main tum ho

mere har khayaal main tum ho

na hoon muntazir kisi aur jawab ka

k ab mere har sawaal main tum ho

Ananth jii,,

wahhh! wahh! kia hii baat hai... boht khoob...

DherooN daad,

DuaooN k saath,,

Hassan 2nd August 2014 01:01 PM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 463967)
hoon muntazir ke hoga deedaar-e-yaar ek din
faqat ye ehsaas hi bohat hai sukoon-e-rooh ke liye

Pari,,

Wahhh!! Mohabbat ki chashni liye.. aik haseeN tamanna!.. wahh!

DherooN daad...

DuaooN k saath,,

zarraa 2nd August 2014 01:47 PM

n ayaaN* huweeN wo mohabbatteiN ke guzar gayeeN bhi haiN muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam par hooN nisaar kyooN

- zarraa

ayaaN = evident

ananthpak 2nd August 2014 02:23 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 463954)
muntazir rahe barsoN ke woh ayeN ge
dekhte rahe sapne ke woh manayeN ge
jaante haiN lekin dil ke hathoN majboor haiN
woh aa bhi gaye to 'hSn' ko rulayeN ge...


Waahhhhh!!!! Bohat khoob Hassan ji ......... :)

ananthpak 2nd August 2014 02:24 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 463973)
Wah! Jiju bahot khoob :)
....................

Bohat bohat shukriya saali sahiba.......... :)

ananthpak 2nd August 2014 02:26 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 463986)
Wwwwwwwaaaaaahhhhhhhhhh!!!! Kya khoob daleel-e-ishq !!! Jawaab ka muntazir naheen kyunki sawaal mein tum ho !!!! Brilliant !! Beautiful thought and expression !!! Bahaut bahaut si daad Ananthpak ji !!!


Zarraa sahab iss hausla affzayee ka behad shukrguzaar hoon ...... :)

ananthpak 2nd August 2014 02:27 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 463994)
Ananth jii,,
wahhh! wahh! kia hii baat hai... boht khoob...
DherooN daad,
DuaooN k saath,,


Bohat bohat shukriya Hassan ji....... :)

ananthpak 2nd August 2014 02:30 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 463996)
n ayaaN* huweeN wo mohabbatteiN ke guzar gayeeN bhi haiN muddateiN
to hooN zikr ka tere muntazir tere naam par hooN nisaar kyooN
- zarraa
ayaaN = evident


Wahhhhhhh!!!!! Brilliant as usual Zarraa sahab.....dehron daad .... :)

zarraa 3rd August 2014 12:42 AM

Quote:

Originally Posted by ananthpak (Post 464009)
Wahhhhhhh!!!!! Brilliant as usual Zarraa sahab.....dehron daad .... :)

Ji bahaut bahaut shukriya Ananthpak ji :)


All times are GMT +5.5. The time now is 12:49 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.