Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   mirza ghalib ke ek sher (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=26396)

smack_07078 12th September 2004 01:24 AM

mirza ghalib ke ek sher
 
darasal hua yun ke mirza ghalib ke ek sher par hum ne apni shayri daao par laga di,aur shart haar bhi gaye aur likhne ka silsila ruk gaya. Ab mere azeez ne apni shart wapas le li hai to hazir hoon………
Baharhaal ek safar ke dauran likhe chand misre apki khidmat main pesh hain………

Abhi nikli hai choo kar ke dil ki mere daali,
Woh ladki hai ya hai koi hawaa matwaali.

Khile poora badan zara jo muskara de woh
Dikhe masoom , chanchal, shokh adaa waali.

Woh gesu hain, ya badal athkheliyaan karte,
Surahidaar gardan bhi hai kya khoob niraali.

Gulaabon main bhi na dekha wo gulaabipan,
Jo lab se hai numaaya, gulaabi pankhudi waali.

Ghaneri palkon ka bhi johar kuch niraala hai,
Woh pal main din aur pal main raat hai kaali.

Chupa rakhe hain na jane kitne raaz aankhon main,
Woh jheel si gehri aankhein, jiski hain paataali.

Jo chaahe pad le chehre pe, bilkul saaf hai likha,
Na jaane kitni nazrein guzri hongi hasraton waali.

Mehektaa lamba tan jiski woh khudzaat hai maalik,
Chaal bhi kya khoob paai hai pagdandiyon waali.

Na tha ‘Gabbar’ iraada aaj nayaa kuch likhne ka,
Utha qalam jo dekhi shakhsiyat mukammal ghazal waali.

Rai se zuroor nawaziyega
Sohail

jat_in_mood 15th September 2004 12:29 PM

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Gulaabon main bhi na dekha wo gulaabipan,
Jo lab se hai numaaya, gulaabi pankhudi waali.

Ghaneri palkon ka bhi johar kuch niraala hai,
Woh pal main din aur pal main raat hai kaali.

Mehektaa lamba tan jiski woh khudzaat hai maalik,
Chaal bhi kya khoob paai hai pagdandiyon waali.

wah janaab aapne bahoot hi khoob likha hai ... Bahoot achhe

or
Jo chaahe pad le chehre pe, bilkul saaf hai likha,
Na jaane kitni nazrein guzri hongi hasraton waali.

Ye to bahoot hi gazzab dhaa rahi hai.n .... ki chehre pe saaf likha hai , jaane kiti najrein juzri hongi hasraton waali ..

bahoot achhe .. Aage bhi likhte rahiye ..Padhkar bahoot achha laaga
Aapne thandi Hawa ki zikr kiyaa ...
Is par hume ek Ghazal yaad aa gayi ..
agar mai galat nahi hoon to shayad ye Ghulam ali ji ne gaayi hai ..
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
Dil mein ik lehar si uthi hai abhi,
Koi taaza hawa chali hai abhi !

Shor barpa hai khana-e-dil mein,
Koi deewar si giri hai abhi !

Kuch to naazuk mizaz hai hum bhi,
Aur yeh chot bhi nayee hai abhi !

Yaad kay be-nihsan jazeeron say,
Teri aawaz aa rahi hai abhi !

Shehar ki be-charag galiyon mein,
Zindagi tujko dhoondti hai abhi !

Dil mein ik lehar si uthi hai abhi,
Koi taaza hawa chali hai abhi !

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~**~

naresh_mehra110 1st April 2010 01:43 AM

Jo chaahe pad le chehre pe, bilkul saaf hai likha,
Na jaane kitni nazrein guzri hongi hasraton waali.


Kya Baat Hai ......Janaab ! Bahut Khoob ! Amazing !

Jaise Husn Ki Pari Utar Aai Ho Zami Pe..... !


All times are GMT +5.5. The time now is 12:26 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.