Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   haal apna ........ zarraa (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80421)

zarraa 26th April 2019 11:43 PM

haal apna ........ zarraa
 
haal apna to bahaut der sunaate hi rahe
dard kitne the jo hum un se chhupaate hi rahe

door jab the to har ik lam’ha bulaate hi rahe
paas aaye to sitam baar’ha* dhaate hi rahe
*repeatedly

hum unheiN apni wafa yaad dilaate hi rahe
ghair ka zikr wo har baat pe laate hi rahe

aana jaana to laga rehta hai is duniya meiN
ke raqeeb* aate rahe aashna** jaate hi rahe
*rival **lover

tum nazar pherte hum dekheiN idhar aur udhar
kuchh to hai jis ke na hone ko jataate hi rahe

tum bhi sab bhool gaye hum ko bhi kuchh yaad naheeN
aaNkh meiN ashq* ye phir kis liye aate hi rahe
*tears

hum ko fursat na mili khwaab sajaane ki kabhi
hum to ghar ke dar-o-deevaar sajaate hi rahe

bazm* maqtal** meiN sajegi ye kise hai parvaah
tere deewaane tere naam pe aate hi rahe
*gathering **place of slaughter

do jafaaoN* ka tum ilzaam to khud ko dena
dushmanoN meiN bhi jo tum dosti paate hi rahe
*injustice

marham-e-zakhm* ki ummeed naheeN thi un se
par namak daalne ko chaaragar** aate hi rahe
*ointment on wound **doctor

bad-gumaani* pareshaani pashemaani** be-hisi***
”zarraa” mehroomiyoN **** meiN khoob kamaate hi rahe
*mistrust **shame ***being without feelings ***deprivations

- zarraa

bhushan 1st August 2019 08:24 PM

waaaaaaaah, behad umdah, kya baat hai.
dheerooon daad zarra sahab, nacheez ki daad kubul farmaiyega

aapka apna
bhushan


All times are GMT +5.5. The time now is 08:45 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.