Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   behisaab hota hai!! (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=27416)

Qasid 14th October 2004 02:25 AM

behisaab hota hai!!
 
pyar ka bhi, apna hisaab hota hai
kaun kehta hai yeh behisaab hota hai

jitnaa paate hai, dugnaa dete hai
yunhi nahi yeh lajawaab hota hai

aankhon se milta hai, sukoon ulfat ka
iski surat mein woh hijaab hota hai

tharak uthte hai kadam, yun baithe baithe
bin kahe bhi yeh mahataab hota hai

anchuhi dhadhkan, ankahi aarzoo ki tarah
mann mein jeeta hua koi khitaab hota hai

sard vayu, kisi behte jharne ki tarah
nadaan yeh bhi kisko janaab hota hai

jisko hota hai pucho usse, uff halat dil ki
woh hi kehta hai yeh behisaab hota hai

chaahat 14th October 2004 02:51 AM

hooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo

:mad:

akele akele...????!@#!$@#@#$@#$#@!$@$

koi baat nahi bhaiya aapko bhi dekh loongi...

http://www.shayri.com/forums/showthr...9162#post89162

~Priya!#$@#$#@%#$%@#$@#$@$@$@%@$#%@#$

Parastaar 14th October 2004 10:25 AM

anchuhi dhadhkan, ankahi aarzoo ki tarah
mann mein jeeta hua koi khitaab hota hai


Kya baat Hai! Bahut gehra likh gaye aap yahan janaab...pyaar hee ek aisa karz hai jo kayi guna suud samet wapis karte huye hee dil ko sukoon milta hai...hai na? Gar pyaar sachha ho tau use apne paas rakhne mein bahut dikkat hoti hai...bus baadh kee tarah sab bandh todh ke umadhtaa hee rehta hai...

yeh kuch shuroo ka likha ek namoona hai...jab humne shayri kee duniya mein kadam rakhe thhe...galatiyaan tau saaf zahir hain lekin jazzbaat apne hain...

na dekha, na samjha, na socha, na bhala
Yeh dil jab gaya, bus gaya, bus gaya

Na hum rok paaye na rokana hee chaaha
Yeh dil kis bedilli se hamein chod gaya

Ab in bhole armaanon ko samjhayein to kaise
Jab pooche koyi tau bataayein hum kaise

Ki rooh ne rooh se pehchaan bus kar lee
Sitaron ko choo liya, chand se baat kar lee

Yeh kaisi saza dee tune meri wafa kee
Ki behaqne diya humko na kuch bhi parwah kee


ok chalti hoon...

paras

candyboy 14th October 2004 01:40 PM

Hi mast bhai,

Bohot khoob janab. Bohot acchha laga aap ka kalaam. Sach bataiye, kissey soch kar likha hai???

Bas agey bhi u hi mast mast kalaam se hume lubha te rahiyega.

Qasid 14th October 2004 11:47 PM

Hmm Gudiya kya baat BhaiYon se hi competition....lol

Bahut khoob likha hai tumne Gudiya...aage bhi yunhi apne bhai ka saath deti rehNaa

-Tumhara apnaa

Qasid 14th October 2004 11:51 PM

Paras ji...aapne apne paawan kadam yaha daal kar mujhe jo khushi di hai woh aabhaasheen hai..aapne sahi kaha ki sacha pyar har band tod kar umad umad kar saamne aata hai...aur aapke likhe mein galtiyon ki bajaaye bhaav dekha jaaye to bas ek lafz hi muh se nikaltaa hai 'sampoorn'

Yunhi ki jhilmilate khayalato ko akshar dekar humhe aapni is baani se nehlaate rahiYeGaa

-aapka apnaa

Qasid 15th October 2004 12:23 AM

Hi mast bhai,

Bohot khoob janab. Bohot acchha laga aap ka kalaam. Sach bataiye, kissey soch kar likha hai???

Bas agey bhi u hi mast mast kalaam se hume lubha te rahiyega.

Salim sahab...

Mein bahut shukrguzaar hoon aapka ki aap meri likhi har nazm ko waqt dete hai..Chaliye aapne sach puchha to batane ki koshish karta hoon...

Kagaz pe dhaal doon mein, aisa asar nahi
dil mein utaar loon mein, aisa jamaal hai
teri surat ko aye mehboob, koi kaise naam doon
haar naam tera jannat, tu hi bemisaal hai

aankhon ki shokiyon ko, ahistaa se gholiye
jhapakane ki is adaa, hota yeh haal hai
hote koi patthar to hum, baat aur thi
ruk ruk ke badthe yeh kadam, taubaa kamaal hai

sambhaliye aachal ko kahi, yeh na ho huzoor
tere daman se hasraton ka meri, rang-e-jamaal hai
aab to sharmana chodiye, puche hai woh 'salim'
kis kis ko mein bataaun, 'mast' kaisa sawaal hai

Pata nahi..baithe baithe jo ban pada ... likh diya .. shayad aapke sawaalo ka jawaab aab bhi adhuraa hi ho....

likhte rahiYeGaa

-aapka apnaa

candyboy 15th October 2004 01:30 PM

Hi Mast Bhai,

Bhai miya, aap to pakke shayar hai. Kisi sawaal ka seedha jawaab na dayyo. :D Lolz, Bohot khoob bhai. Yeh jawab bhi aap ka bohot pasand aaya. Acchha kiya jo isse alag se bhi post kiya warna kaafi log shayad isse mehroom rehte.

Chaand 15th October 2004 01:49 PM

Bahut hi barhiya Mast saahab....aapki ye rachna bhi bahut pasanad aai...bade achchhe se rachna badh kiya hai aapne is ehsaas ko.

Chaand

Qasid 21st October 2004 12:33 AM

Salim Bhai..Bade buzurg keh gaye hai ki koi kaam kachha na karo..lol aacha laga ki aapko yeh jawaab bhi pasand aaya...aage bhi yunhi saath dete rahiYeGaa

-aapka apnaa

Qasid 21st October 2004 12:34 AM

Chaand Ji..ehsaas ko lafz dena to nacheez ne aap hi se sikhaa hai aap yaha hai samajhiye ki likhna safal huaa..

aage bhi yunhi mera saath dete rahiYeGaa

-aapka apnaa


All times are GMT +5.5. The time now is 12:19 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.