Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

sameer'shaad' 13th July 2013 11:24 PM

Sher of the Day.......
 
Pyaare DostoN, BhaaiyoN aur Behno.....

Shayri ke silsile ko aage badhaate hue hum is nateeje par pahoche hain ke hum aaj se ek nayaa silsilaa shuru karenge.... jaisaa ke Title hai "Sher of the Day"
isse aapko andaaza to ho gaya hogaa ke isme karnaa kya hai..
Magar main zaraa ise aur tafseel me bataana chahungaa....

Rules Kuch is tarah se haiN..

1) Members isme ek din me ek sher post kar sakte haiN.

2) sher kisi ka bhi ho sakta hai, khud ka ho to neeche apna naam likheN, kisi aur ka post kar rahe hon to neeeche asli Shayar ka naam likheN, aur agar maloom na ho to "Not mine" likheN...

3) kewal ek hi sher likheN, yaani 2 lines ka ek sher.

for ex-
Jaan-E-Mohsin Tu Bhi Ziddi Tha Ana Mujh Me Bhi Thi
Dono Khud Sar They, Jhuka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi.......!!

-Mohsin Naqvi




To chaliye aaj se shuru karte hain is naayaab silsile ko... meri appeal hai aap sab members se ke zyada se zyada log isme shareeq hoN aur apne pasandeeda sher se mehfil me chaar chaand lagaaeN......

Merii tarf se pehlaa sher kuch yooN hai...


Mumkin hai ke mehboob teri Aankhon me hai "Shaad",
Us chehraa ke jaisaa hi Tujhe Dikh rahaa hai ChaanD

-Shaad


aslam noor 14th July 2013 08:04 PM

wo to bata raha tha kaii roz ka safar
zanzeer khaich kar jo musafir utr gaya (Hosh Nomaani)

sameer'shaad' 14th July 2013 08:30 PM

Quote:

Originally Posted by aslam noor (Post 453408)
wo to bata raha tha kaii roz ka safar
zanzeer khaich kar jo musafir utr gaya (Hosh Nomaani)

waahh Khoob Aslam saab, bahot khoob sher pesh kiyaa hai aapne.....

aage bhi intzaar rahega aapka....... aate rahiyega.

Shukriyaaa.....

sameer'shaad' 14th July 2013 08:37 PM

Mera aaj ka sher ..........



Aap RooThe hi humse rehte haiN,
Ishq me Mubtilaa Zamaana hai...!!

~Shaad~

Dhaval 14th July 2013 09:48 PM

mujh me.n hii kuchh kamii thii ki behatar mai.n un se thaa
mai.n shahar me.n kisii ke baraabar nahii.n rahaa

by Munir Niazi

sameer'shaad' 15th July 2013 09:09 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 453413)
mujh me.n hii kuchh kamii thii ki behatar mai.n un se thaa
mai.n shahar me.n kisii ke baraabar nahii.n rahaa

by Munir Niazi

bahot ummdah Dhaval bhai............................. :)

sameer'shaad' 15th July 2013 09:14 AM

Aaj ka sher ......


Apna ye haal , jee haar chuke luT bhi chuke,
Aur Muhabbat wahi Andaaz Puraane maaNge..



-Not mine

vikass 15th July 2013 11:04 AM

Bhut khaye hai zakham, zindgi tujh se aur kuch na mila.....
Mat rooth aai sukoon hum se, nahi karti zindgi kisi se wafa....
Vikas.....

sameer'shaad' 16th July 2013 03:26 PM

Aaj ka sher. 16/7/13


Abhi chaahooN to MoD dooN main uske narm haathoN ko,
Magar in Chhoodiyon ki fikr mujhe rokk Letii hai...!!



Shaad...

Dhaval 16th July 2013 08:22 PM

faasalaa nazaro.n kaa dhokaa bhii to ho sakataa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Daa kar dekho

By Nida fazli

sameer'shaad' 17th July 2013 09:03 AM

Jurm-e-ulfat per humain log saza dety hain.
Kaisy nadaan hain sholo’n ko hawa dety hain..!!

NM

Taish 17th July 2013 11:54 AM

abhi roya abhi hasne laga hooN,
to kya sachmuch main paagal ho gaya hooN...


Mohammad Alwi

puneet singh 17th July 2013 11:55 AM

Main tujhe paane ki KOSHISH mai kab tak SIKHASTH uthata rahu,
Koi aisa de DHOKHA muje ke meri AAS hi tut jaaye..

Dhaval 17th July 2013 08:06 PM

kuchh faisalaa to ho ki kidhar jaanaa chaahiye
paanii ko ab to sar se guzar jaanaa chaahiye

by parveen shakir

sameer'shaad' 17th July 2013 08:47 PM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 453494)
abhi roya abhi hasne laga hooN,
to kya sachmuch main paagal ho gaya hooN...


Mohammad Alwi

waaaahhhh kya baat hai janaaab................... bahot ummdaah peshkash.

sameer'shaad' 17th July 2013 08:48 PM

Quote:

Originally Posted by puneet singh (Post 453495)
Main tujhe paane ki KOSHISH mai kab tak SIKHASTH uthata rahu,
Koi aisa de DHOKHA muje ke meri AAS hi tut jaaye..

Waaaaaaaahhhhhhhhhhhh............................. ..............

sameer'shaad' 17th July 2013 09:01 PM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 453507)
kuchh faisalaa to ho ki kidhar jaanaa chaahiye
paanii ko ab to sar se guzar jaanaa chaahiye

by parveen shakir

waaahhhhhhh nayaab sher........................

puneet singh 18th July 2013 07:49 AM

kitna usko chaha kabhi to gour kiya hota itne to hum apne b TALABGAAR nahi,
ek wo hi to thi jisse thi MOHOBBAT hume, warna hum to wo khudgarz h jise kud se bhi PYAAR NAHI..

puneet singh 18th July 2013 07:54 AM

Sukriya shaad bhaiya..
aapke ek wah ne is shayari ko ek nayi uchayi de di..

Dhaval 18th July 2013 08:03 AM

puure ho.nge apane armaa.N kis tarah
shauq behad waqt hai kam kyaa kare.n

by DaaG Dehlvi

Taish 18th July 2013 08:50 AM

guftgu jitni mukhtasar hogi,
baat utni hi purasar hogi...

--Taish

sameer'shaad' 18th July 2013 09:12 AM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 453521)
guftgu jitni mukhtasar hogi,
baat utni hi purasar hogi...

--Taish

kamaal ka sher keh diyaa bhai..... waahhhh behad ummdah.

sameer'shaad' 18th July 2013 09:13 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 453520)
puure ho.nge apane armaa.N kis tarah
shauq behad waqt hai kam kyaa kare.n

by DaaG Dehlvi

Masha allah..... kya baat hai waahhhhhh

sameer'shaad' 18th July 2013 09:14 AM

Quote:

Originally Posted by puneet singh (Post 453518)
kitna usko chaha kabhi to gour kiya hota itne to hum apne b TALABGAAR nahi,
ek wo hi to thi jisse thi MOHOBBAT hume, warna hum to wo khudgarz h jise kud se bhi PYAAR NAHI..

bahot khoob, bahot khooob..... likhte rahiye, shaad to kadrdaan hai aiise aashiqoN, diljaloN ka...........

sameer'shaad' 18th July 2013 09:19 AM

Aaj ka sher-

Khabar bhijwaa do aye Qaasid usey merii tabaahi ki,
Sunaa hai aise manzar dekhne wo dauD aataa hai....

Shaad....

aru 18th July 2013 12:06 PM

bhar jata tha ghar barsaat mein unka,
Ek pyaase ko par vo pani na pila paye...
Aru.

SULTAAN RAAJ 18th July 2013 04:06 PM

"Shaad" shaheb humne bhi kuch arz kiya hai..........
 
phir se mili thi ek nai zindagi "NFARAT" ke aag se...!!!

or kam...b...khat "SULTAAN" ne ise bhi muhabbat ke jang maine luta dala...!!!
.
..
...
~@ :SULTAAN RAAJ

sameer'shaad' 18th July 2013 06:29 PM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 453531)
bhar jata tha ghar barsaat mein unka,
Ek pyaase ko par vo pani na pila paye...
Aru.

Waaahhhhh kya baat hai bhai..................................

puneet singh 19th July 2013 07:54 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 453529)
Aaj ka sher-

Khabar bhijwaa do aye Qaasid usey merii tabaahi ki,
Sunaa hai aise manzar dekhne wo dauD aataa hai....

Shaad....

Bahot achi shayri pesh ki h aapne..
Qatil mehboob ko kafi ache se pesh kiya h isme..

puneet singh 19th July 2013 07:59 AM

ye zamin ki fitrat hai ke har chiz ko ZABT (absorb) kar leti h,
varna mere aansuo ka ek alag hi samunddar hota

Taish 19th July 2013 09:15 AM

todte waqt dil haNsi thi tum,
aur ik dil khareed laaya hooN...

--Taish

Dhaval 19th July 2013 10:27 AM

phir udaas kar degii sarsarii jhalak us kii
bhuul kar ye dil us ko shaadamaan kitanaa hai

[shaadamaan = happy]

by zafar iqbal

sameer'shaad' 19th July 2013 11:02 AM

Quote:

Originally Posted by puneet singh (Post 453542)
ye zamin ki fitrat hai ke har chiz ko ZABT (absorb) kar leti h,
varna mere aansuo ka ek alag hi samunddar hota

Puneet ji, welcome to SDC...

aapne jo post ki hai, uske writer mere khayaal se aap nahi hain.....right???

to aapne neeche writer ka naam likhna zaruri kyon nahi samjha.... rules maine pehle hi uupar mention kiye hain, ke hame origional writer ko izzat denii hai, isliye uska naam likhna zaruri hai, aur agar naam na pata ho to neeche NOT MINE likheN.....

Ummmeed hai agli baar se aap khayal rakkhenge......

shukryaa

Shaad.......

sameer'shaad' 19th July 2013 11:03 AM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 453543)
todte waqt dil haNsi thi tum,
aur ik dil khareed laaya hooN...

--Taish

aaahhhh.......... kya baat hai huzoor.. nayaab sher hai yeh... frame karwaa lijiye isey... ;-)

sameer'shaad' 19th July 2013 11:04 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 453544)
phir udaas kar degii sarsarii jhalak us kii
bhuul kar ye dil us ko shaadamaan kitanaa hai

[shaadamaan = happy]

by zafar iqbal

kya baat hai Dhaval miyaaN... chaaNt chaanT ke sher laa rahe ho... har ek sher dil ko cheerta huaa nikal raha hai........ waaahhhhhh

sameer'shaad' 19th July 2013 11:18 AM

Quote:

Originally Posted by puneet singh (Post 453541)
Bahot achi shayri pesh ki h aapne..
Qatil mehboob ko kafi ache se pesh kiya h isme..

aapka behad shukriyaa..........................

SULTAAN RAAJ 19th July 2013 01:54 PM

.................................................. ..............
 
laga sako kabhi humare isk ki keemt...!!
To
do gaj jami apne kayanat se bya kar dena...!!
.
..
...
~@ :SULTAAN RAAJ

vikass 20th July 2013 01:16 AM

chand tanha taro ki bheed main......
kuch der jala aur badlon main simat gaya......

By vikass

Dhaval 20th July 2013 08:39 AM

tum na maano magar haqiiqat hai
ishq insaan kii zaruurat hai

by qabil ajmeri

sameer'shaad' 20th July 2013 02:35 PM

Quote:

Originally Posted by vikass (Post 453570)
chand tanha taro ki bheed main......
kuch der jala aur badlon main simat gaya......

By vikass

waaahhhh too good................................... :)


All times are GMT +5.5. The time now is 01:24 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.