Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Hindi Kavitayen (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=37)
-   -   ma (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=9230)

tumhari_shayri 14th March 2003 10:49 AM

ma
 
***********MA************

MA EK AISA UPANNYAS HAI,
JISKA SHIRSHAK PREM HAI,
INSAN KE ROOP MAIN BHAGAWAN HAI WO,
BHAGWAN KI HI RACHNA HAI WO,
MA EK AISI KAHANI HAI,
MA TO HAMARI JINDAGANI HAI,
MA EK TARAF PAHELI BHI HAI,
TO DUSRI TARAF HAMARI SAHELI BHI HAI,
HUM APNI DUKH-DARD SUNATE UNKO,
WO APNI DUKH-DARD KAHE KISKO??
SARE KASHTO KO WO JHELTI JATI,
LEKIN BHIR BHI UNKO THAKAWAT NAHI ATI,
DIN-RAAT KAAM KARTI JATI HAI,
LEKIN PHIR BHI SHIKAN NAHI LATI HAI,
MA HAI EK AISI PATH-SHALA,
JISME HUM JAPTE HAIN PREM KI MALA,
MA HAI GURU HAMARI,
JISNE KABHI DAKSHINA NAHI MANGI,
MA TO EK AISI BATI HAI,
JO KHUD TO JALTI HAI,
PAR KABHI Offff! NAHI KARTI HAI,
MA EK AISI CHATTAN HAI,
JISME DARAR NAHI PADTI,
YA MAIN KAHOON MA EK AISI 'KAVITA' HAI,
JO KABHI BHULAI NAHI JATI,
MA TO HAMEN SAMAJH JATI,
KYA HUM MA KO SAMAJH PATE??
WO TO AISA AINA HAI......
JISKE ANCHAL MAIN HUMARA ASHIYANA HAI,
MA AKHIR HAI KYA MAIN NAHI SAMAJH PATI,
SHAYAD PHOOLON KI TOKRI HAI JIS SE KHUSHBOO HAMESHA HAI ATI,
RAAT BHAR MAIN YAHI SOCHTI RAHI,
MA KE PRATI MERI SHRADDHA AUR BADHTI RAHI,
SATO JANAM UHIN LIKHTI JAUNGI,
LEKIN PHIR BHI 'MA' KA VARNAN NAHI KAR PAUNGI,
LIKHTE-LIKHTE THAK JAUNGI,
PAR 'MA' KI JHALAK NAHI DIKHLA PAUNGI........


-----------------tumhari_shayri

Kavita 15th March 2003 06:08 AM

WAH!
 
Namastai Tumhari_Shayri Ji,

Aap kaisi hai?Dekh kai achha laga ki Vipin Ji kai saath aur bhi hai jo hindi mai kavita likhtai hai.Aapnai jo MA pai yeh kavita likhi hai woh wakkai hi prashansajanak hai.Aasha hai kai aap yun hi likhti rahengi.

Pyaar aur Izzat kai Saath,
Namastai,
Kavita

tumhari_shayri 15th March 2003 01:43 PM

hi kavita ji :)

main thik hoon. aur bhagwan se dua karungi ki aap mujhse jyada khush rahen. ji apki tarif aur hosla-afjaee ka bahut bahut sukriya. apka reply padh ke bahut khushi huee.hum to bus yahi dua karenge, ki apka pyar bhara hath hamesha hamare sar pe rahe
:)

IS DUNIYA MAIN KHUSHIYAN BAHUT HAI,
PAR JANE KUON....
LOGON KE DILON MAIN GUM KA EHSAS BAHUT HAI..

bye, take care.....have a nice time..........

Kavita 17th March 2003 06:44 AM

Hi Tumhari_Shayri Ji
 
Hey Tumhari_Shayri Ji,
aap kaisi hai?Dua kai liye shukriya :) Padh kai khushi hui ki meri reply pad kai aapko khushi hui.Yeh to aapki nazar hai jo mujhai is kabil samjha...thanx.Rahi baat aapkai sher ki to baat to sahi hai ki is duniya mai khushiyaan bohot hai par logon kai dilon mai gam ka ehsaas bohot hai ...I think kyun ki khushiyaan to aati jaati hai but gam hamesha saath rehta hai aur jo hamesha saath rahai usi ka to dilo mai jyada ehsaas hota hai,right?Agar mai kuch jyada keh gayi to mauff kar dena.
Pyaar aur Izzat kai saath,
Namastai,
Kavita


All times are GMT +5.5. The time now is 04:20 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.