Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   hain aur bhi iss duniya me (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76509)

aadeil 14th November 2013 11:56 AM

hain aur bhi iss duniya me
 
hai bas ki har ik unke ishaare meiN nishaaN aur
karte haiN muhobbat to guzarata hai gumaaN aur

yaarab ! wo na samjhe haiN na samjheNge meree baat
de aur dil unko, jo na de mujhko zubaaN aur

abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar uskee hai kamaaN aur

tum shahar meiN ho to hameiN kya GHam ? jab uTHeNge
le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaaN aur

harchand subak_dast hue but_shikanee meiN
ham haiN, to abhee raah meiN hai sang-e-giraaN aur

hai KHoon-e-jigar josh meiN dil khol ke rota
hote kaee jo deeda-e-KHooNnaaba_fishaaN aur

marta hooN is aawaaz pe harchand sar uD jaay
jallaad ko lekin wo kahe jaayaiN ki 'haaN aur'

logoN ko hai KHursheed-e-jahaaN taab ka dhoka
har roz dikhaata hooN maiN ik daaGH-e-nihaaN aur

leta, na agar dil tumhe deta, koee dam cheiNn
karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur

paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur

haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur

~ Mirza "Ghalib"

sameer'shaad' 14th November 2013 12:22 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 455312)

waahhhhhhhhhhhhhhhhhh kyaa khoob peshkash hai........ Ghalib chachaa Zindabaad.......

Shaad...

aadeil 14th November 2013 06:20 PM

ha ha haaaa.
Ghalib chacha amar raho... Hum aapke saath hai. Ye kuch jyaadaa political lagtaa hai, nahi? LOLzzz

maithly 9th December 2013 05:58 PM

Khuda khud meer-e majlis bood andar laamakan Khusrau;
God himself was the master of ceremonies in that heavenly court, oh Khusrau,
Muhammad shamm-e mehfil bood shab jaay ki man boodam.
where (the face of) the Prophet too was shedding light like a candle.

All times are GMT +5.5. The time now is 11:40 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.