Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   bharam hota hai (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78615)

bhushan 17th January 2015 06:23 PM

bharam hota hai
 
Furkat me teri moujudagi ka bharam hota hai
Kabr me lete muzhe zindagi ka bharam hota hai

Sauda-e-dil hai ke hai munaafakhoori teri
Sarfaroshi meri, tuzhe peshgi ka bharam hota hai

Shama ke gird firta hoon, na jal jaooN to mar jaooN
Laachari meri, tuzhe aawaargi ka bharam hota hai

Dum tod dooN magar tammanna-e-deed baki hai
Har aah pe zamane ko rawangi ka bharam hota hai

shiddat-e-ishk is kadar zhuka deta hai muzhe
Parashtish meri, tuzhe deewangi ka bharam hota hai

Tuzhe pane ki surat thi "bhushan" ne sar zhuka diya
Ho jaye gar khuda ko bandagi ka bharam hota hai

Bhushan Joshi

Sagar Aashna 17th January 2015 07:51 PM

Wah Saahab, wah.. Kya baat hai..!

Aapka har kalaam pehle kalaam se kahin zyada behtar hota hai. And this one is just awesome. Yunhi nayi bulandiyoN ki taraf baRhate chalo.
DuaoN ke saath.

bhushan 18th January 2015 02:47 PM

Quote:

Originally Posted by Sagar Aashna (Post 473903)
Wah Saahab, wah.. Kya baat hai..!

Aapka har kalaam pehle kalaam se kahin zyada behtar hota hai. And this one is just awesome. Yunhi nayi bulandiyoN ki taraf baRhate chalo.
DuaoN ke saath.

Saagar ji namaste

Aapko ye peshkash pasand aayi...aapki dariyadili hai........housala afzahi ka tahe dil se shukriya..
Karam banaye rakhe

Aapka apna
Bhushan

sameer'shaad' 19th January 2015 11:27 AM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 473901)
Furkat me teri moujudagi ka bharam hota hai
Kabr me lete muzhe zindagi ka bharam hota hai

Sauda-e-dil hai ke hai munaafakhoori teri
Sarfaroshi meri, tuzhe peshgi ka bharam hota hai

Shama ke gird firta hoon, na jal jaooN to mar jaooN
Laachari meri, tuzhe aawaargi ka bharam hota hai

Dum tod dooN magar tammanna-e-deed baki hai
Har aah pe zamane ko rawangi ka bharam hota hai

shiddat-e-ishk is kadar zhuka deta hai muzhe
Parashtish meri, tuzhe deewangi ka bharam hota hai

Tuzhe pane ki surat thi "bhushan" ne sar zhuka diya
Ho jaye gar khuda ko bandagi ka bharam hota hai

Bhushan Joshi


bahot hi shaandaar kalaam likha hai bhushan bhai..... kaaffii gahraai tak utar jaate hain aap...... aur yahi ek shaayar ki khoobii hotii hai.... bahot khoob..

likhte rahiye

Shaad...

bhushan 19th January 2015 04:51 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 473940)
bahot hi shaandaar kalaam likha hai bhushan bhai..... kaaffii gahraai tak utar jaate hain aap...... aur yahi ek shaayar ki khoobii hotii hai.... bahot khoob..

likhte rahiye

Shaad...

Shukriya Shaad bhai...

Aapki sarparsti me sekhne ko mil raha hai.....is se acchi our kya baat ho sakti hai.....
Aapse darkhwast hai ki beh'r par kuch roshni dalen.....aapni samaz ke mutabik koshish ki...magar bina ustaad ke kitabe ya net jyada asardar nahi....

Aapka apna
Bhushan

sameer'shaad' 20th January 2015 11:05 AM

bahot shukriyaa Bhushan saahab jo aap itnii izzat aur tavajjoh dete hhain.. nachheez is laayaq nahii hai..... baharhaal jaise ke aapka huqm huaa hai ke behr ke baare me aap seekhna chaah rahe hain to ye waaqai bahot hi acchi baat hai......

hamaare kuch doston ne behr ko lekar ek thread banaai thii,, jo bahot se members ko help karii hai behar seekhne me.... aap ek nazar us par daalen meri aapse darkhwaast hai........ aapki sahuliyat ke liye link de raha hoon...

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=69311

shukriyaa..... gar aur koi farmaan ho to yaad kijiyegaa.....

Shaad.....

bhushan 20th January 2015 10:47 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 473956)
bahot shukriyaa Bhushan saahab jo aap itnii izzat aur tavajjoh dete hhain.. nachheez is laayaq nahii hai..... baharhaal jaise ke aapka huqm huaa hai ke behr ke baare me aap seekhna chaah rahe hain to ye waaqai bahot hi acchi baat hai......

hamaare kuch doston ne behr ko lekar ek thread banaai thii,, jo bahot se members ko help karii hai behar seekhne me.... aap ek nazar us par daalen meri aapse darkhwaast hai........ aapki sahuliyat ke liye link de raha hoon...

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=69311

shukriyaa..... gar aur koi farmaan ho to yaad kijiyegaa.....

Shaad.....

Bohot bohot shukriya Shaad bhai

Aapka apna
Bhushan

Madhu 14 21st January 2015 09:58 AM

Bahut khoob bhushan jii..
bahut gahre ehsaas....
likhte rahein..
khush rahein..

bhushan 21st January 2015 02:46 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 473989)
Bahut khoob bhushan jii..
bahut gahre ehsaas....
likhte rahein..
khush rahein..

Madhu ji namaste

Aapki housala afzahi ka tahe dil se shukriya...

Karam banaye rakhen...duaon ke sath

Aaoka apna
Bhushan

aru 22nd January 2015 12:34 PM

bahut hee kamaal ka likha hai aapne.....ek ek aashaar pasand aaya....yun hee mehfil roshan karte rahiye.....

bhushan 22nd January 2015 07:21 PM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 474003)
bahut hee kamaal ka likha hai aapne.....ek ek aashaar pasand aaya....yun hee mehfil roshan karte rahiye.....

Aru ji namaste

Aapne samay nikal kar ye peshkash padhi......aur housala afzahi ki....aapka bohot bohot shukriya

Aate rahiyrga

Aapka apna
Bhushan

Qasid 27th January 2015 02:10 PM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 473901)
Furkat me teri moujudagi ka bharam hota hai
Kabr me lete muzhe zindagi ka bharam hota hai

Sauda-e-dil hai ke hai munaafakhoori teri
Sarfaroshi meri, tuzhe peshgi ka bharam hota hai

Shama ke gird firta hoon, na jal jaooN to mar jaooN
Laachari meri, tuzhe aawaargi ka bharam hota hai

Dum tod dooN magar tammanna-e-deed baki hai
Har aah pe zamane ko rawangi ka bharam hota hai

shiddat-e-ishk is kadar zhuka deta hai muzhe
Parashtish meri, tuzhe deewangi ka bharam hota hai

Tuzhe pane ki surat thi "bhushan" ne sar zhuka diya
Ho jaye gar khuda ko bandagi ka bharam hota hai

Bhushan Joshi

Bhushan bhai aapko jitna padhta hoon padhne ki hasrat aur dugni ho jaati hai...aapke ehsaas ek taraashe huye hire ki tarah hai...Yunhi likhte rahiYeGaa

bhushan 30th January 2015 10:16 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 474078)
Bhushan bhai aapko jitna padhta hoon padhne ki hasrat aur dugni ho jaati hai...aapke ehsaas ek taraashe huye hire ki tarah hai...Yunhi likhte rahiYeGaa

Mast bhai itnin tareef kar di......sau baar shukriya ada karoon to bhi kam padega....aapki dariyadili hai sahab....warna khaksaar ki itni aukaat nahi..

Karam banaye rakhiyega

Aapka apna
Bhushan

Hamdam 4th February 2015 01:44 PM

Ho jaye tu khuda tau bandagi ka bharam hota hai ...

Bahut khoob ehsaas Bhushan bhai ...

Sanjay Sehgal

bhushan 7th February 2015 11:42 AM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 474172)
Ho jaye tu khuda tau bandagi ka bharam hota hai ...

Bahut khoob ehsaas Bhushan bhai ...

Sanjay Sehgal

Bohot bohot shukriya Sanjay ji
Housala afzahi ke liye dil se shukrgujar hoon

Aapka apna
Bhushan


All times are GMT +5.5. The time now is 10:53 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.