Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Chit-Chat & General Discussion Forum (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=7)
-   -   "Jo bhi gaana zehan mein hai likh dijiye" (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=55965)

dineshdharvi 29th May 2008 11:55 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 289651)
simran............nice song



Oh re taal miley naadi ke jal mein,
naadi miley saagar meiN,
saagar miley kaun se jal mein,
koi jane na....oh re ..........!

suraj ko dharti tarse, dharti ko chandrma,
paani mein seep jaise pyasi har aatma,,
boond chuppi kis baadal mein,
koi jane na....oh re...........!

anjane hontho.n par bhi,pahchane geet hai,
kal tak jo anjane thy janmo.n ke meet haiN,
kaya hoga kaun se pal mein koi jane na.....

oh re taal miley.............
naadi miley saagar .........
saagar miley..............
koi jane na............

o hansani meri hansani kaha ud chali mere armano ke pankh lagake kaha ud chali
o hansani meri hansani kaha ud chali mere armano ke pankh lagake kaha ud chali
aaja meri sanso me mahek raha hai tera gazra ajara meri raato me lahek raha hai tera gazra o hansani meri hansani kaha ud chali mere armano ke pankha lagake kaha ud chali

koi to ho 29th May 2008 11:59 PM

Udas logon se pyar kerna koi to seekhe
safaid lamhon main rang bharna koi to seekhe

koi to aaye khizan main patte ugane wala
gulon ki khushboo ko qaid kerna koi to seekhe

koi dikhaye muhabbaton ke saraab mujhko
meri nigahon se baat kerna koi to seekhe

koi to aye naye ruton ka payam le ker
andheri raaton main chand banna koi to seekhe

udas logon ........

kuhulika 30th May 2008 12:12 PM

thore badmash ho tum
thore nadaan ho tum
haan magar yeh sachh hai humari jaan ho tum


ishhhh
blush blush blush
mast gana from Sawariya

sunita thakur 30th May 2008 05:23 PM

Jab koi baat bigad jaye,
jab koi mushkil pad jaye,
tum dena saath mera,
O hum-nava.......
na koi tha na koi hai,
zindgi mein tumhare siva,
tum dena saath mera,
O hum-nava..........


yeh gaana mujhe behad pasand hai....:)

rickey 30th May 2008 05:31 PM

i love u i love u i love u i love u mari sansu ma tu mara dhadkan ma tu i love u

sunita thakur 31st May 2008 04:31 PM

hue aankh hum aur yeh dil muskuraya,
to saath koi bhula yaad aaya..........:(

sanaji 1st June 2008 02:01 AM

aye kash k hum hosh main ab ane na paeyen............................
ok

koi to ho 1st June 2008 03:55 PM

Rog na liyaeen dil nu sohniye
ban ban diggan athruu sohniye

yaad teri wich pagal hoya
dil kamla aey roya
lakhan socha dil de andar
door main su su royaaa

kawaey dil baar baar tu mera pyar yaar
sajan dildaar tu sun ik baar................


din wi na langan dangan menu kaliyan kaliyan raatan
bhul gayiaaan oo sajna tenu pyar diyan mulaqataan


kawaey dil baar baar tu mera pyar yaar
sajan dildaar tu sun ik baar................


raat saari tenu hun yaad kion karan
ankhiyan de aey athroo berbaad kion karaan

baagi 1st June 2008 06:34 PM

aaina mujhse meri pahle si surat maange
mere apne mere hone ki nishani maange(daddy)
........baagi

koi to ho 3rd June 2008 07:14 PM

sawan ki bheegi raaton main
jab phool khilain bersaton main
jab cherrain sakhiyan baaton main
menu yadaan teriyan aundiya ne menu yaadan...

dil ko pakarr ke reh jati hoon
pooch na kesay shermati hoon
saari batain sun leti hoon
aadhi batain keh jati hoon
khushboo nahi milti kaliyon main
koi rang nahi rang raliyon main
gaaon ki sooni galiyon main
menu yadaan teriyan aundiya ne menu yadan......

apna dukhrra keh nahi sakti
aur judai seh nahi sakti
kacche gharre per beh nahi sakti
bethe bina bhi reh nahi sakti
main pehan ke payal paaon main
tera rasta dekhoon rahon main
peepal ki thandi chaoon main
menu yadan teriyan aundiya ne menu yadan......

sunita thakur 4th June 2008 03:20 PM

lagi aaj sawan ki phir woh jadhi hai,
wahi aag seene mein phir jal padi hai.......

koi to ho 15th June 2008 03:14 PM

ye dil ye pagal dil mera kion bujh gaya awaargi
is dasht main ik shehar tha woh kia howa awargi

kal shab mujhe be shakal ki awaz ne chonka dia
main ne kaha tu kon hai usne kaha awargi


is dasht main ik shehar tha woh kia howa awargi


ye dard ki tanhaiyaan ye dasht ka weeraan safar
hum log to ukta gaye apni suna awargi

is dasht main ik shehar tha woh kia howa awargi


ik ajnabi jhonkey ne jab poocha mere ghum ka sabab
sehra ki bheegi rait per maine likha awargi

is dasht main ik shehartha woh kia howa awargi


kal raat tanha chand ko dekha tha maine khuwaab main
mohsin mujhe raas ayegi shayad sadaa ki awargi

yedil ye pagal dil mera kion bujh gaya awargi
is dasht main ik shehar tha woh kia howa awargi

muKhlis 16th June 2008 09:19 PM

yeh dekh ke dil jhooma, lii pyaar ne angRaaii
deevaana huaa baadal, saawan kii ghaTaa chhaaii
deevaana huaa baadal...

aisii to na thii taqdeer miri tum saa jo koii maHboob mile
dil aaj Khushii se PAAGAL hai, ai jaan-e-wafaa! tum Khoob mile
ai jaan-e-wafaa tum Khoob mile, dil kiuN na bane paagal
kia tum ne adaa paaii,
yeh dekh ke dil jhoomaa, li pyaar ne angRaaii
deevaan huaa baadal...


hai aaj naye armaanoN se aabaad mire dil kii nagrii
dil aaj Khushii se paagal hai, ai jaan-e-wafaa tum Khoob mile
dil kiuN na bane paagal, kia tum ne adaa paaii
yeh dekh ke dil k\jhoomaa, li pyaar ne angRaaii...

jab tum se nazar Takraaii sanam
jazabaat kaa ik toofaan uThaa
tinke kii taraH maiN bah nikli
sailaab mire roke na rukaa
sailaab mire roke na rukaa
jeevan emN machi halchal aur bajne lagii shahnaaii
yeh dekh ke dil jhoomaa, li pyaar ne angRaaii
phir dil machii halchal aur bajne lagii shahnaaii
yeh dekh ke dil jhoomaa, li pyaar ne angRaaii
devaana huaa baadal...

hai aaj naye armaaoN se aabaad mire dil kii nagrii
barsoN se KhizaaN kaa mausam thaa
veeraan barii dunyaa thii miri
haathoN meN tiraa aaNchal aayaa k bahaar aayii
yeh dekh ke dil jhoomaa....

my favourite...Rafi and Asha from Kashmir Kii Kali

krenil 16th June 2008 11:24 PM

zindagi pyaar ka geet hai
ise har dil ko gana padega
zindagi gam ka sagar bhi hai
hanske us paar jana padega


zindagi bewafa hai to kya
apne ruthe hai humse to kya
haath me haath na ho to kya
saath phir bhi nibhana padega


zindagi ek ahesas hai
tute dil ki koi aash hai
zindagi ek vanvaas hai
kaat kar sabko jana padega

zainy 16th June 2008 11:54 PM

Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana


Chadh taaron se chalna hai aage
Asmaanon se badna hai aage
Pichhe reh jayega yeh zamana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana

Haste gate jahan se guzar
Duniya ki tu parvah na kar
Muskuraate hue din bitana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Haan zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana

Maut aani hai ayegi ik din
Jaan jaani hai jayegi ik din
Aisi baaton se kya ghabrana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana

Mujeeb 17th June 2008 12:00 AM

Zindagi Ka Safar Hai Ye Kaisa Safar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin
Hai Ye Kaisi Dagar Chalte Hain Sab Magar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

Zindagi Ko Bahut Pyaar Hamne Kiya
Maut Se Bhi Mohabbat Nibhaaenge Ham
Rote Rote Zamaane Mein Aaye Magar
Hanste Hanste Zamaane Se Jaaenge Ham
Jaaenge Par Kidhar Hai Kise Ye Khabar

Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin
Aise Jeevan Bhi Hain Jo Jiye Hi Nahin
Jinko Jeene Se Pehle Hi Maut Aa Gayi
Phool Aise Bhi Hain Jo Khile Hi Nahin
Jinko Khilne Se Pehle Fiza Kha Gai
Hai Pareshaan Nazar Thak Gaye Chaaraagar

Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

Aksh..... 17th June 2008 01:37 AM

Tere Bina Zindagi Se Koi Shikva To Nahi, Shikva Nahi
Tere Bina Zindagi Bhi Lekin Zindagi To Nahin

koi to ho 17th June 2008 11:47 AM

Pal do pal ki chahat main
zard hoi main rangat main

mahiya we mahiya tak mahiya

pehle meri muhabat tha
shamil hai ab adat main
saari umer ke rog lage
char dinon ki chahat main
ye jo mujhse salook howa
hota hai kia chahat main

mahiya we maihiya tak mahiya

Prince Jain 17th June 2008 12:59 PM

Sikwa nahi kisi say kisi say gila nahi 2
Nasseb m nahi tha jo humko mila nahi,
Tu mil saka na humko tasali to mil gai,
Aai bahar saakh p kali bhi kil gai,
Arman tha humko jiska vo gul khila nahi
naseeb may nahi.................................
Yadoo ki jilmilthi , percheyo k din,
kattey nahi tanha tanhaeyo ke din
yeh chahto ka dil kash ab silsilla nahi,
Naseeb may nahi tha jo humko mila nahi,

zainy 17th June 2008 08:16 PM

hum tum se judaa ho ke,
mar jaayenge ro ro ke
mar jaayenge ro ro ke
duniyaa badee zaalim hai,
dil tod ke hasatee hai
ek mauj kinaare se,
milane ko tarasatee hai
kah do naa koyee roke
kah do naa koyee roke
hum tum se judaa ho ke,
sochaa thaa kabhee do dil
milakar naa judaa honge
maaloom na thaa hum yoon,
naakaama-e-wafaa honge
qismat ne diye dhokhe
qismat ne diye dhokhe
hum tum se judaa ho ke
,waade naheen bhoolenge,
qasmein naheen todenge
ye tay hai ke hum dono,
milanaa naheen chhodenge
jo rok sake roke
jo rok sake roke
hum tum se judaa ho ke,
mar jaayenge ro ro ke

Mujeeb 17th June 2008 08:24 PM

Tere Bina, jee na paaun, sung tere jee na paaun
Hoke juda ab hum milein, ab na kabhi hongey judaa

Ab kyaa kahun iske siva
Man tu talbat, tu man talbat

Vey nakh inti , ye noor al kahein, be nakh inti
teb li haya dhi, takh li un yunhi, ukhne vele geynvhi, vifte ki...

Ab kyaa kahun iske siva;
Man tu talbat, tu man talbat




The KinG 17th June 2008 09:15 PM

Kabhi To Nazar Milaao...
Kabhi To Karib Aao...

Jo Nahi Kaha Hai...
Wo Bhi To Samaj Bhi Jaao...:)

Mujeeb 17th June 2008 09:59 PM

Quote:

Originally Posted by The KinG (Post 293161)
Kabhi To Nazar Milaao...
Kabhi To Karib Aao...

Jo Nahi Kaha Hai...
Wo Bhi To Samaj Bhi Jaao...:)


zara dholki bajaao goriyo
Hamein naach ke dikhaao goriyo
Nazook kamariyaan se jhoom jhoom ke
Zara dhoomka lagaao goriyo
Yeh ghadi hai milan ki, jaan se jaaneman ki

Prince Jain 18th June 2008 08:48 AM

Ga Raha Hu Es Mafil May
Aapki Inayat Hai
Aaj May Jo Kuch Bhi Ho
Aap Ki Mohbat Hai Aap Ki Mo..............

zainy 18th June 2008 03:08 PM

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochti Rahti Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

The KinG 18th June 2008 03:26 PM

Pardesi...Pardesi..jana nahi...
Mujhe chhod ke...Dil tod ke...

Pardesi mere yaara...wada nibhana....
Mujhe yaad rakhna...kahin bhool na jana...

Prince Jain 18th June 2008 04:36 PM

Pal pal dil ke pass tum rehti ho
jiven methi pyass
tum kehti ho, pal pal dil key pass
Kal tujko dekha thaa
mane apne aangan may
Jasay keh rahi thi tum bandh lo bandan may
Yeh kesa rishta hai ,yeh kesay bandan hai
Beganey hokar bhi kyu
Lagte apne hai,
May soch may rehta hu
dar dar key kehtha hu,
pal pal dil key pass tum rehti ho......................

sunita thakur 18th June 2008 04:40 PM

"mera sundar sapna toot gaya,
maiN pyar meiN sab kuch haar gaye,
bedard zamana jeet gaya,
mera sundar sapna toot gaya"

musafir ek pal 19th June 2008 04:26 AM

i think you can tell, just by looking at my face
a word about my weakness......i m totally addicted to BASS!!!!!!!!

sunita thakur 19th June 2008 10:36 AM

Na koi umang hai, na koi tarang hai,
meri zindgi hai kaya, ek kati patang hai.........
sapno ke devta kaya tujko karuN main arpan,
patjad ki maiN hoon chaya, main aanso.n ka darpan,
yehi mera roop hai, yehi mera rang hai,
meri zindgi hai kaya...........
na koi umang hai...........

Prince Jain 19th June 2008 05:42 PM

Dekh lo aaj hum ko jee bhar key 2
Koi aata nahi hai fir mar key
Dekh...........................................
Ho gai tUM, Agar say sodaei,
Dur pahuchangi, meri ruswai,
Aaoo achi tarah say kar lo pyar,
k nikal jay kuch dil ka bukhar,
Dekh lo.......................................
Fir hum utney lagay, bita lo tum,
Fir bigad jay hum, mana lo tum,
Yaad itnee tumay, dilatey jay,
Pan kal k ley, lagatey jay,
Dekh lo aaj humko jee bhar key....

The KinG 19th June 2008 10:14 PM

Hame tumse pyaar kitna...Ye ham nahijaante....
Magar ji nahi sakte..Tumhare bina....

Aksh..... 20th June 2008 03:41 AM

Dear All

today presenting a song jo shayad aap mein se jyada logon ne nahi suna hoga
this song was penned by gr8 GULZAR and music of the song created by PANCHAM DA..
song is from Movie DEVTA

Gulmohar Gar Tumhara Naam Hota
Mausam-E-Gul Ko Hansana Bhi Humara Kaam Hota

Aayengi Bharein To Ab Ke Unhe Kahana Jara Itna Sune
Mere Un Bina Uska Kahan Bahar Naam Hota

Gulmohar Gar Tumhara Naam Hota........

Shaam Ke Gulabi Se Aanchal Mein Ye Diya Jala Hain Chand Ka
Mere Un Bina Uska Kahan Chand Naam Hota

Gulmohar Gar Tumhara Naam Hota..............


BBYE AND ENJOY......
Aksh......:)

Aksh..... 20th June 2008 03:50 AM

Hey guys kya kisi ne film SHANKAR HUSAIN ke gaane sune hain kya

there is avery sweet song in this movie
jiski 2 lines mujhe yaad hain vo mein yahan likh raha hun

agar kisi ke paas ye gaana ho to pls mujhe vo sound file bhej dena plzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
as i m not able to get this song

"AAP YUN FAASLON SE GUZARTE RAHE,
AAP YUN FAASLON SE GUJARTE RAHE
DIL SE KADMON KI AAWAJ AATI RAHI........"


PLZ HELP ME GUYS..............

Aksh.....

Mujeeb 20th June 2008 04:08 AM

Quote:

Originally Posted by Aksh..... (Post 293459)
Hey guys kya kisi ne film SHANKAR HUSAIN ke gaane sune hain kya

there is avery sweet song in this movie
jiski 2 lines mujhe yaad hain vo mein yahan likh raha hun

agar kisi ke paas ye gaana ho to pls mujhe vo sound file bhej dena plzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
as i m not able to get this song

"AAP YUN FAASLON SE GUZARTE RAHE,
AAP YUN FAASLON SE GUJARTE RAHE
DIL SE KADMON KI AAWAJ AATI RAHI........"


PLZ HELP ME GUYS..............

Aksh.....


yeh lijye janab

http://www.esnips.com/doc/163da690-5...Yun-Faaslon-Se

enjoy kerien ....

Aksh..... 20th June 2008 05:22 AM

thanks alot huzur........

shukriya ada karne se pahle one more favour......

i think we cannt download this song from that site...
if u can helpme in this ..............

Aksh.....:cool:

musafir ek pal 20th June 2008 06:07 AM

.........
ghar se nikalte he....
kuch dhoor chalte he...
raste mein hai uska ghar....

Mujeeb 20th June 2008 08:11 AM

Quote:

Originally Posted by Aksh..... (Post 293462)
thanks alot huzur........

shukriya ada karne se pahle one more favour......

i think we cannt download this song from that site...
if u can helpme in this ..............

Aksh.....:cool:


Sarkar Shukriya ki koi zarorat nahi ...yeh lijiye link or maze lijye


http://www.2shared.com/file/3467308/...Faslon_se.html


Mujeeb

The KinG 20th June 2008 10:14 AM

Jab CHandni Badh Kar....Raato Pe Chhati Hai...
Teri Yaad Aise Me.....Dil Ko Tadpati Hai....
Teri Yaad Aati Hai....

Kisse Wo Baharo Ke...Bitey Nazaro Ke....
Din-Raat Sunatihai....Phir Humko Rulati Hai...
Teri Yaad Aati Hai....

pooja_d 20th June 2008 02:05 PM

soche.n ke tumhe pyaar kare.n ke nahi.n
yeH dil bekaraar kare.n ke nahi.n

sunita thakur 20th June 2008 04:29 PM

Quote:

Originally Posted by pooja_d (Post 293497)
soche.n ke tumhe pyaar kare.n ke nahi.n
yeH dil bekaraar kare.n ke nahi.n

Teri pyari pyari surat ko kisi (SURAN WOMEN) ki nazar na lage,
chasme badhur.............matko :D


yeh gaana meri mtako keliye hai :D :p ;-)

pooja_d 20th June 2008 04:39 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 293510)
Teri pyari pyari surat ko kisi (SURAN WOMEN) ki nazar na lage,
chasme badhur.............matko :D


yeh gaana meri mtako keliye hai :D :p ;-)

hahahaha

Aaiye aa jaaiye aabhi jaaiye
yu.n naa rahe rahe ke hume.n tadpaaiye

:D ye aapke liye :D

sunita thakur 20th June 2008 04:43 PM

Quote:

Originally Posted by pooja_d (Post 293514)
hahahaha

Aaiye aa jaaiye aabhi jaaiye
yu.n naa rahe rahe ke hume.n tadpaaiye

:D ye aapke liye :D

huh....:cool:

yeh mere liye tha ya SURAN WOMEN ke liye :confused:

"har kushi ho wahaN tu yahaN b rahe,
zindgi ho wahaN tu yahaN b rahe"

pooja_d 20th June 2008 04:46 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 293515)
huh....:cool:

yeh mere liye tha ya SURAN WOMEN ke liye :confused:

"har kushi ho wahaN tu yahaN b rahe,
zindgi ho wahaN tu yahaN b rahe"

nahi.n thhaa toH aapke liye lekin fir bhii aapke liye hii thhaa......:D

'' O naa jaa mere baalma
ek waade ke liye
ek waada todke ''

Aksh..... 20th June 2008 11:52 PM

Aaj Ek aur nayab moti us film se jiska Music release hua bt film ko bada parda naseeb nahi hua


Film : LIBAAS

"KHAMOSH SA AFSANA PANI SE LIKHA HOTA
NA TUM NE KAHA HOTA NA HUMNE SUNA HOTA..............."


kosish kijiyega ke is gaane ko bhi dhundh kar sun sake

enjoy.........
Aksh.....

Aksh..... 20th June 2008 11:56 PM

one of my most fav songs............
music by MM kreem
sung by Alka yagnik
movie ZAKHM




Tum aaye to aaya mujhe yaad gali mein aaj chand nikla
jaane kitne dino ke baad gali mein aaj chand nikla.....

Aaj ki raat jomein so jaati
khulti aankh subah ho jati
mein to ho jati bas barbaad
gali mein aaj chand nikla


ye naina bin saawan barse
barah mahine badal barse
suni rab ne meri fariyad
galimein aaj chand nikla

Tum aaye to aaya mujhe yaad gali mein aaj chand nikla
jaane kitne dino ke baad gali mein aaj chand nikla.....


Enjoy
Aksh.....

zainy 21st June 2008 09:37 AM

Tum Bin Kya Hai Jeena Kya Hai Jeena
Tum Bin Kya Hai Jeena
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Si Lambi Hai Raaten
Sadiyon Se Lambe Huv Din
Aaa Jao Laut Kar Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai
Aaa Jao Laut Kar Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai
Phir Shaame Tanhaye Jaagi
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Jaan Nikal Ne Lagi Hai
Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpa Rahe Ho
Is Dil Mein Yaadon Ke Mele Hai
Tum Bin Bahut Hum Akele Hai
Aaa Jao Laut Kar Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai
Aaa Jao Laut Kar Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai
Kya Kya Na Soocha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaye
Kya Kya Na Chaaha Tha Dil Ne
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Is Dil Se Toofan Guzarte Hai
Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
Aaa Jao Laut Kar Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai
Aaa Jao Laut Kar Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Si Lambi Hai Raaten
Sadiyon Se Lambe Huv Din
Aaa Jao Laut Kar Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai
Aaa Jao Laut Kar Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai

sunita thakur 21st June 2008 11:03 AM

"ab ke baras sawan meiN,
aag lagegi badan meiN,
ghata barsegi nazar tarsegi,
magar mil na sakeNge,
sajan ek hi aangaN meiN"

Prince Jain 21st June 2008 11:58 AM

Thod sa pyar huaa hai
Thoda hai baki
Thod sa..................
Hum to dil de hi chuke
Ab teri ha hai baki
Thod sa pyar huaa hai thoda hai baki

Prince Jain 21st June 2008 12:00 PM

Jane chley jate hai kaha
Duniya say jane wale jane chaley jaty hai kaha
Kesay dunday koi unko nahi kadmo kay nishan
Duniya.............................

Prince Jain 21st June 2008 12:03 PM

Kyu jindagi ki rah may majbur ho gai,
Itney hui karib k hum dur ho gai.
Kyu.........................................
Esa nahi k humko koi bhi khushi bhi nahi
Lakin yeh zindagi ko koi zindagi nahi
ESA.............
kyu iskey fasley humko manjur ho gai

saNaash!!! 21st June 2008 08:03 PM

kabhi kabhi aditi zindagi mein yun hi koi apna lagta hai...
kabhi kabhi aditi vo bichad jaaye tho ek sapna lagtha hai..
aise mein koi kaise apne aansuyon ko behne se roke..
aur aise koi sochde, everythings gona b OK !..

kabhi kabhi to lage zindagi me rahi na khushi aur na maza
kabhi kabhi to lage har din mushkil aur har pal ek saza...
aise me koi kaise muskuraye kaise hade khush ho ke . ..
aur kaise koi sochde everythungs gonna b ok !!



u must listen to this...
u will forget all !!!

zainy 22nd June 2008 07:52 PM

kuch na kaho
kuch bhi na kaho
kya kehna hai
kya sunna hai
humko pata hai
tumko pata hai
samay ka ye pal
tham sa gaya hai
aur is pal me
koi nahi hai
bas ek main hu
bas ek tum ho
kuch na kaho
kuch bhi na kaho

sunita thakur 24th June 2008 04:28 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 293814)
kuch na kaho
kuch bhi na kaho
kya kehna hai
kya sunna hai
humko pata hai
tumko pata hai
samay ka ye pal
tham sa gaya hai
aur is pal me
koi nahi hai
bas ek main hu
bas ek tum ho
kuch na kaho
kuch bhi na kaho

nice song zainy.......:)

mere dil mein aaj kaya hai,
tu kahe to maiN bata doon,
teri zulf phir sawaru.n,
teri maang phir sajja doon,
mera dil yeh kah raha hai,
maiN tujhe dulhan bana doon........
mujhe devta bana kar,
teri chahto.n ne pooja,
mera dil kah raha hai,
maiN tujhe khuda bana doon,
mere dil........
koi doondne bhi aaye,
humko na doond paye,
main tujhe kahiN chupa doon,
tu mujhe kahiN chupa de,
mere dil mein........
tu kahe to maiN.......

Mujeeb 24th June 2008 04:33 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 293814)
kuch na kaho
kuch bhi na kaho
kya kehna hai
kya sunna hai
humko pata hai


my fav song ....

Mujeeb 24th June 2008 04:35 PM

Quote:

Originally Posted by eyesflicker (Post 293993)
my fav song ....



Tujhe dene ko mere pass kuch nahin
Tujhe dene ko mere pass kuch nahin

Ek dil hai chahe to le le
Ek jaan hai chahe to le le.

Na Na Na Na Re Na

La La La La La La
La La La La La La La

Kya le kar aaye the Kya lekar jaayenge
Apne kadmon Ke nishan hum chod jaayenge

zainy 24th June 2008 05:25 PM

Ankhiyon Ke Jharokhon Se Maine Dekha Jo Saanware
Tum Door Nazar Aaye Badi Door Nazar Aaye
Band Karke Jharokhon Ko Zara Baithee Jo Sochne
Man Mein Tumhi Muskaye Man Mein Tumhi Muskaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se

Ek Man Tha Mere Paas Woh Ab Khone Laga Hai
Paakar Tujhe Hai Mujhe Kuchh Hone Laga Hai
Ek Tere Bharose Pe Sab Baithee Hoon Bhool Ke
Yoon Hi Umar Guzar Jaye Tere Saath Guzar Jaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Jeeti Hoon Tujhe Dekh Ke Marti Hoon Tumhi Pe
Tum Ho Jahan Saajan Meri Duniya Hai Wahin Pe
Din Raat Dua Maange Mera Man Tere Waaste
Kabhi Apni Ummeedon Ka Kahin Phool Na Murjhaye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

Maein Jab Se Tere Pyar Ke Rangon Mein Rangi Hoon
Jaagte Hue Soi Nahin Neendon Mein Jagi Hoon
Mere Pyar Bhare Sapne Kahin Koi Na Chheen Le
Man Soch Ke Ghabraye Yahi Soch Ke Ghabraye
Ankhiyon Ke Jharokhon Se...

sunita thakur 25th June 2008 10:20 AM

Bahut accha geet hai yeh.......mujhe bahut pasand hai :)


Roz shaam aati thi magar aise na thi,
roz roz ghata chati thi magar aise na thi,
yeh aaj meri zindgi mein kaun aa gaya,
roz shaam aati thi..............
roz roz..............................

zainy 25th June 2008 04:57 PM

Dil jude bina hi tut gaye hath mile bina hi chhut gaye
Ki likhe ne lekh kismet ne
Baar baar rod akhiyan tainu jo na vekh sakiyan
Khole aaye aaj kudrat ne
Kataan main ki ve din teri soth tere bin
Main toh jiya na mara

Chan Se jo tute koi sapna
JAg suna suna lage
Jag suna suna lage

Koi rahe na jab apna
JAg suna suna lage
Jag suna suna lage
Jag suna suna

Mujeeb 25th June 2008 05:00 PM

Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Kyun fiza, rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chaandni, din mein kyun, chhaa rahi hai
Zindagi, kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai ye silsila
Kyun hawa, aaj yun gaa rahi hai
Gaa rahi hai, gaa rahi hai




yasmeenraaz 25th June 2008 05:06 PM

main her ek pal ka shayar hoon
her ek pal meri kahani hai,
her ek pal maeri husti hai
her ek pal meri jawani hai

sunita thakur 25th June 2008 05:19 PM

Quote:

Originally Posted by yasmeenraaz (Post 294079)
main her ek pal ka shayar hoon
her ek pal meri kahani hai,
her ek pal maeri husti hai
her ek pal meri jawani hai

Yasmeen ji yeh gaana mujhe behad pasand hai....so maiN b esko likh rahi hoon, shukriya aapne esko share kiya...darasal gaana yoon hai


main pal do pal ka shayar hoon,
pal do pal meri kahani hai,
pal do pal meri hasti hai,
pal do pal meri jawani hai..........
mujse phele kitne shayar,
aaye aur aakar chale gaye,
kuch aahe bharkar laut gaye,
kuch nagme gaa kar chale gaye,
woh b ek pal ka kissa thy,
main bhi ek pal ka kissa hoon,
kal tumse judda ho jauNga,
woh aaj tumhara hissa hoon,
main pal do pal..............
kal aur aayNge nagmo.n ki,
bikhri kaliya.n chun.ne wale,
mujse behtar kahne wale,
tumse behtar sun.ne wale,
kal koi mujko yaad kare,
kyuN koi mujko yaad kare,
be-dard zamane mere liye,
kyuN waqt apna barbaad kare,
maiN pal do.........
pal do pal...........
pal do pal...........
pal do pal meri jawani hai.....

zainy 25th June 2008 06:01 PM

jab dard nahii thaa siine mein
kyaa Kaak mazaa thaa jiine me.n
ab ke shaayad ham bhii roye.n saavan ke mahiine me.n
jab dad.r nahii.n thaa..

yaaro kaa Gam kyaa hotaa hai
maaluum na thaa anjaano.n ko
saahil pe khade hokar aqsar
dekhaa hamane tuufaano.n ko
ab ke shaayad dil bhii Duube
maujo.n ke safiine me.n
jab dard nahii.n thaa…

aise to Thays na lagtii thii
jab apne ruuthaa karte the
aise to dard na hotaa thaa
jab sapne TuuTaa karte the
ab ke shaayad dil bhii TuuTe
ab ke shaayad ham bhii roye.n saavan ke mahiine me.n
jab dard nahii.n thaa…

sunita thakur 26th June 2008 05:30 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 294105)
jab dard nahii thaa siine mein
kyaa Kaak mazaa thaa jiine me.n
ab ke shaayad ham bhii roye.n saavan ke mahiine me.n
jab dad.r nahii.n thaa..

yaaro kaa Gam kyaa hotaa hai
maaluum na thaa anjaano.n ko
saahil pe khade hokar aqsar
dekhaa hamane tuufaano.n ko
ab ke shaayad dil bhii Duube
maujo.n ke safiine me.n
jab dard nahii.n thaa…

aise to Thays na lagtii thii
jab apne ruuthaa karte the
aise to dard na hotaa thaa
jab sapne TuuTaa karte the
ab ke shaayad dil bhii TuuTe
ab ke shaayad ham bhii roye.n saavan ke mahiine me.n
jab dard nahii.n thaa…



accha to hum chalte haiN,
phir kab miloge ?????
jab tum kahoge.........
aadhi raat ko ????
na na jume raat ko.........;-)

majnu78 27th June 2008 03:17 AM

zindagi is tarah se lagne lagi, rang ud jaye jaise deewaaroN se.............
ab chhupaane ko apna kuch na rha zakhm dikhne lage hain deewaaroN se.

sunita thakur 27th June 2008 01:54 PM

Ahal-e-dil yoon bhi nibha lete haiN,
dard seene mein chuppa lete haiN,
ahal-e-dil...........
apne kadmo.n mein mohabat wale,
aasmano.n ko juka lete haiN,
ahal-e-dil yoon...........

sunita thakur 1st July 2008 03:26 PM

ab ke baras bhej bhaiya ko babul,
sawan mein lijo bulaye re,
loutyNgi jab mere bachpan ki sakhiya.n,
dijo sandesa bhijvaye re.........

Mujeeb 4th July 2008 03:34 AM

Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
yeh na socha tha kabhi itne yaad aaoge tum

main to na chal tha do qadam bhi tum bin
phir bhi mera bachapn yehi samjha her din
chod ke mujhe bahala ab kahan jaao ge tum
yeh na socha tha kabhi itne yaad aaoge tum


http://www.youtube.com/watch?v=Lrm01yKFjmE

Prince Jain 4th July 2008 08:33 AM

hum rahi mere humrahi
mere sang tu to dar kya
Chlna hai teri palko key say mere hum rahi......................

sunita thakur 4th July 2008 03:45 PM

Quote:

Originally Posted by eyesflicker (Post 295454)
Rooth ke humse kahin jab chale jaoge tum
yeh na socha tha kabhi itne yaad aaoge tum

main to na chal tha do qadam bhi tum bin
phir bhi mera bachapn yehi samjha her din
chod ke mujhe bahala ab kahan jaao ge tum
yeh na socha tha kabhi itne yaad aaoge tum


http://www.youtube.com/watch?v=Lrm01yKFjmE

jayeie aap kahaN jayeNge, yeh nazar lout ke phir aayegi,
door tak aapke peeche peeche meri awaz chali jayegi,
jayeie aap kahaN.................

Prince Jain 4th July 2008 06:30 PM

Zindagi ki talash may hum
Maut key kitne pass aa gai,
Jab yeh socha to gabra gai,
Aa gai hum kaha aa gai

sunita thakur 5th July 2008 05:01 PM

Kal chaman tha aaj ek sahra hua,
dekhte hi dekhte yeh kaya hua....

ek chotta sa tha mera ashiya.n,
aaj tinke se alag tinka hua,
kal chaman tha.........

dekhne walo.n ne dekha bas dua.n
kis ne dekha dil mera jalta hua,
kal chaman tha....

sochta hoon apne ghar ko dekh kar,
ho na ho yeh hai mera dekha hua,
kal chaman tha...........

apni barbaadi ka koi gum nahi,
gum hai barbaadi ka kyuN charcha hua,
kal chaman tha.............
dekhte hi dekhte.....

Baljit Kaur 10th July 2008 05:28 PM

ek punjabn kudi punjaban dil chura ke le gaye, sona sona dil mera sona....

Prince Jain 11th July 2008 08:48 AM

Yeh gana mera buhut fav.hai. aap sub ko bhi pasand aayga.
Jab koi baat bigad jay,
Jab koi muskil pad jay.
Tum dena saath mera.
O humnawaj
Na koi hai, Na koi tha,
Zindagi may tumray sive,
Tum sath mera ho hum nawaj,

Prince Jain 11th July 2008 08:49 AM

Mera ek sapana hai,
Tujay dekhu sapney mey
Mane ya mane tu hi
Mere aapno may,
Mera ek sapna hai,


All times are GMT +5.5. The time now is 01:54 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.