Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   Dil bhi to cheer k dikhaya nahi jata (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80332)

shakir ali 01 14th July 2018 01:24 AM

Dil bhi to cheer k dikhaya nahi jata
 
Barso ki is khalish ko nibhaya nahi jata
zakham Ho nasur marham lagaya nahi jata

Kasak to hajaro dilo me h mohabbat ki
Har dil me chirage mohabbat jalaya nahi jata

Mehak uthe sanse bhi jis ki khushbu se
us phul ko gulshan me lagya nahi jata

Aangan to khilta h tere hi tassvur se
bazaar ke saman se ghar sajaya nahi jata

rakibo k Dar to be shumar h shehar me
dosto se bhi to daman bachaya nahi jata

manzile ho nazar me safar ki mashaktte kya
tanha reh kar bhi to manzil ko paya nahi jata

Humsafar na ho to Koi baat nahi
dil bhi to sab kisi se milaya nahi jata

Mohabbat to khud se jayada ki SHAKIR ne
kambakhat dil bhi to cheer k dikhaya nahi jata

sunita thakur 21st July 2018 04:38 PM

Quote:

Originally Posted by shakir ali 01 (Post 496584)

Shakir ji....bahut hi umda likha hai aapne, sabhi ashiyaar acche lge...par yeh aik sher dil ke khaas kareeb rha:

"Aangan to khilta h tere hi tassvur se
bazaar ke saman se ghar sajaya nahi jata"

:)

shakir ali 01 23rd July 2018 12:33 PM

Sunita ji hum aapke behad ehsan mand h
aapne tavjjo farmai

sameer'shaad' 8th August 2018 08:57 AM

Kya baat hai janaab shakir saahab aapko padhe to arsa beet gaya thaa ..
Behad khushi hui jo aaj aapka kalaam padhaa..
Laajawaab asarangez aur khoobsurat peshkash

Likhte rahiye

Shaad..

shakir ali 01 8th August 2018 04:48 PM

Hum aapke ehsan mand h
SAMEER BHAI apne khaksar
ko yaad rakha
Shukriya bhai

Madhu 14 19th September 2018 08:03 PM

Quote:

Originally Posted by shakir ali 01 (Post 496584)
Barso ki is khalish ko nibhaya nahi jata
zakham Ho nasur marham lagaya nahi jata

Kasak to hajaro dilo me h mohabbat ki
Har dil me chirage mohabbat jalaya nahi jata

Mehak uthe sanse bhi jis ki khushbu se
us phul ko gulshan me lagya nahi jata

Aangan to khilta h tere hi tassvur se
bazaar ke saman se ghar sajaya nahi jata

rakibo k Dar to be shumar h shehar me
dosto se bhi to daman bachaya nahi jata

manzile ho nazar me safar ki mashaktte kya
tanha reh kar bhi to manzil ko paya nahi jata

Humsafar na ho to Koi baat nahi
dil bhi to sab kisi se milaya nahi jata

Mohabbat to khud se jayada ki SHAKIR ne
kambakhat dil bhi to cheer k dikhaya nahi jata

Shakir ji..Kya khayaal pesh kiye hain...waaah...
Bahot khoob....aate rahiye

Likhte rahiye.......

All times are GMT +5.5. The time now is 01:42 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.