Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   zindagi (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=63039)

anudeepa 7th October 2008 12:39 PM

zindagi
 
hasaati hai zindagi,rulati hai zindagi..phir bhi dilko lubhati hai zindagi,
jeevan k shoro gul mein kho gayi hai hasti,phir bhi dilko behlati hai
zindagi,
kuchal k saare sapne sunehre,nayi ummidey jagaati hai zindagi,
har rishtey ko bhula chuke hai,naye rishton ka saamna karaati hai
zindagi,
dhusman bane hai sab yaha,par dosti ka taraana gaati hai zindagi,
har kosish nakamayab rahi,phir bhi ladne ka jhazba dilati hai zindagi,
pyar me sabkuch khokar bhi,is khel ko khelne me uksati hai zindagi,
ashko se bheeg chuka hai daaman,phir bhi aas ka diya jalaati hai zindagi,
veerani chayee hai har taraf,k baharo ka sandesha deti hai zindagi,
tadap uthe hai armaan saare,naye armaano ko ummadne deti hai zindagi,
takdeer pe ab bharosa na raha,aur aane wale kal ki soch dilati hai zindagi,
hasaati hai zindagi..rulati hai zindagi..phir bhi dilko lubhati hai zindagi........



anu

Ritu18525 7th October 2008 12:48 PM

Nice one...
 
Anu ji,apki "zindgi" acchi lagi...Khaas kar ye line,fir bhi dil ko lubhati hai zindgi...Sach mein,ye line kam se kam mujhe to kahin andar tak chhoo gyi..aur kya kahu??Aise hi likhti rahiyega.

Ritu18525 7th October 2008 05:05 PM

Zindgi...??
 
Zindgi....??Jaane kis khanak se tut jayegi ye zindgi,jaane kis roj mukar jayegi ye zindgi......Is zindgi par jyada bharosa mat karna,jaane kis mod par akela chhod jayegi ye zindgi.....

Mohammad Kashif 7th October 2008 07:00 PM

Aapki koshish acchi lagi khayalat pukhta lage unhi likhti rahiye........meri daad hazir hai

mausam 7th October 2008 07:34 PM

hasaati hai zindagi,rulati hai zindagi.
phir bhi dilko lubhati hai zindagi,

jeevan k shoro gul mein kho gayi hai hasti,
phir bhi dilko behlati hai zindagi,

kuchal k saare sapne sunehre,
nayi ummidey jagaati hai zindagi,

har rishtey ko bhula chuke hai,
naye rishton ka saamna karaati hai zindagi,

dhusman bane hai sab yaha,
par dosti ka taraana gaati hai zindagi,

har kosish nakamayab rahi,
phir bhi ladne ka jhazba dilati hai zindagi,

pyar me sabkuch khokar bhi,
is khel ko khelne me uksati hai zindagi,

ashko se bheeg chuka hai daaman,
phir bhi aas ka diya jalaati hai zindagi,

veerani chayee hai har taraf
,k baharo ka sandesha deti hai zindagi,

tadap uthe hai armaan saare,
naye armaano ko ummadne deti hai zindagi,

takdeer pe ab bharosa na raha,
aur aane wale kal ki soch dilati hai zindagi,

hasaati hai zindagi..rulati hai zindagi..
phir bhi dilko lubhati hai zindagi........



bahut acche ehsaas hain aapke anujee......dil se daad!..agar aap thoda editing karke pesh karti to aur mazaa aata..maine isee edit kiya hain..hope apko bura nahin laga ho........

mausam:)

sunita thakur 7th October 2008 08:13 PM

anu jee namaskaar..............ahsaas acche lage aapke aur haan mausam ki baat se main bhi sahmat hoon, ahsaas bahut acche hain bas zara si aur koshish chahiye thi ki enko pesh karne ka style....es tarah se pesh karne se padne walo asaani hoti hai aur poetry mein nikhaar bhi aata hai.....yoon hi bazm mein aati rahiye.


kush rahiye
god bless u

anudeepa 8th October 2008 09:59 AM

HI doston,
aap sabko meri yeh kosish achi lagi...aur aap sabke replies dekhkar khushi hui....
mausam ji....bura maan ne wali koi baat hi nahi hai...hume khushi hai k aapne edit kiya...padhne me aur bhi acha laga edit karne k baad...aur ritu ji,sunita ji ko bhi shukriya...aur haa..Kashif ji...aapki daad toh hamesha kabul ki jayegi......
take care



anu


All times are GMT +5.5. The time now is 11:34 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.