Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Gauhar-e-shayri.com (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=53)
-   -   MaiN khushiyaN lekar aauNgi (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78357)

Sagar Aashna 9th December 2014 08:36 PM

MaiN khushiyaN lekar aauNgi
 
Arbab-e-sukhn, 'kanya bhroon hatya' (female foeticide) naam ka ek marz humare muashre ko khaaye ja raha hai..ek nanhi si guRiya, jo abhi iss duniya meiN nahi aayii hai, uska dard bayaan karne ki koshish pesh kar raha hooN.
Ilfaaz ka intekhhab itna baRhiya nahi hoga, lekin jazbaat ko paRhne ki koshish kijiyega. Aur apni besh qeemti aara'a zaroor rakhiyega.

MaiN nanhi si guRiya hooN, khushiyoN ki maiN puRiya hoon
HansuNgi hansaauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi..

Par... ... ... ...

Yeh kya karne lage haiN log, mujhe pakaRne lage hain log
kyuN mujhe yeh maar rahe haiN, dekho toh dhikkaar rahe haiN
MaiN bhii jeena chahti hooN, par cheekh kise sunauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Taras mujh pe khaao maaN, papa ko samjhao maaN
Poore karuNgi saare sapne, garv kareNge mujh pe apne
Ek baar tum mauqa de do, ghar ka maan baRhaungi
maiN khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Dard sabhi ka jaanuNgi, kehna sab ka maanuNgi
Ooncha aapka sar hoga, khushiyoN bhara ghar hoga
Bete jo bhi karte hain woh sab kuchh kar dikhauNgi

Koii toh sun lo meri pukaar, de do mujh ko thoRa sa pyar
Bhaiya ka khilona ho, ya phir chaandi sona ho
waada karti hooN sabhi se, haath na maiN lagauNgi

Kya laRki hona gunaah hai, jo itni baRi sazaa hai?
SaanseiN meri rok rahe ho, zara bhi nahi soch rahe ho
Dard mujhe jo ho raha hai, kisko maiN sunauNgi

Main.ne toh yeh socha thaa, jaise bhaiya chhota thaa
MaaN ki aaNkh ka taara thaa, daadi ko bhi pyara thaa
Waise he toh maiN bhi sab ki laadli ban jaauNgi

MaaN tum bhi toh laRki ho, phir kyuN nahi samajhTi ho
LaRki he jab na hogi, duniya phir yeh kahaN hogi
Apne komal haaThoN se maiN khaana tumheiN khilauNgi

Jab bukhaar hoga tum ko, sar-maatha dabauNgi
Kuchh din apne saath toh rakh lo, phir parayii kehlauNgi
BooRhi jab tum ho jaogi, haal poochhne aauNgi
Waada karti hooN, tumhara dil kabhi na dukhauNgi
KhushiyoN ki maiN puRiya hooN, khushiyaN le kar aauNgi,
maiN khushiyaN le kar aauNgi.

SAGAR AASHNA

sameer'shaad' 10th December 2014 03:21 PM

uffffffffffffffffffffffffffff

saagar saahab aaj se meraa naam aap apne mureedon me shumaar kar lijiye.......

na jaane kya asar thaa kya jaadu tha is kavitaa me ke yaqeen maaniye meri aankhen bhar aayee hain aur maine apne sabhi ajeezdaaron ko aapki ye kavitaa aapke naam ke saath forward kar di hai , ke hamaari SDC me aise gauhar bhii paaye jaate hain....

aapki ye kavita mujhe itni pasand aayee hai ke main ise abi ke abhi gauhar e SDC me move kar rahaaa hoon.....

aur ummeed karta hoon aap apne aise hi acche acche kalaam ke saath hamaare saath mahfil ko roshan karenge....

apna khayaal rakhenge aur bas meri tahe dil se daad pesh hain aapko......

Reps also added ++++++

Shaad.....

Madhu 14 10th December 2014 04:21 PM

Sagar ji...har stanza har line me dard hai apki kavita me...padte padte kab aankhein nam ho gayi pata hi nhi chala...bahut hi achcha likha hai aapne.....

bhushan 10th December 2014 05:25 PM

Bohot.........bohot.....bohot ache Sagar ji.
Bohot gehrai se aapne ek bejuban ki takleef bayan ki hai.........aaj aisa aalam hai log betiyo ko paida hone se pahle hi katl kar rahe hai......jin docters ko kabhi log bhagwan saman mante the....vo aaj chand sikko ke liye kasai ban baithe hai.......
Aapki ye peshkash mai apne fb profile par apke naam ke saath share kar raha hoon..

Beshumar daad

Bhushan joshi

Hamdam 11th December 2014 07:46 AM

Sagar bhai apki mehnat aur jazbaaton ko salaam .. Bahut hi Nayab peshkash ..

Salutations and reps for it .

Sanjay Sehgal

Sagar Aashna 11th December 2014 12:10 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 472803)
uffffffffffffffffffffffffffff

saagar saahab aaj se meraa naam aap apne mureedon me shumaar kar lijiye.......

na jaane kya asar thaa kya jaadu tha is kavitaa me ke yaqeen maaniye meri aankhen bhar aayee hain aur maine apne sabhi ajeezdaaron ko aapki ye kavitaa aapke naam ke saath forward kar di hai , ke hamaari SDC me aise gauhar bhii paaye jaate hain....

aapki ye kavita mujhe itni pasand aayee hai ke main ise abi ke abhi gauhar e SDC me move kar rahaaa hoon.....

aur ummeed karta hoon aap apne aise hi acche acche kalaam ke saath hamaare saath mahfil ko roshan karenge....

apna khayaal rakhenge aur bas meri tahe dil se daad pesh hain aapko......

Reps also added ++++++

Shaad.....

Bohot bohot shukriya Shaad saahab. Khaksaar ko itni daad aur itni baRi izzat ke qabil samjha, iskeliye mamnoon rahunga. Aur reps keliye bhi bohot bohot shukriya.

Aapka khair khwah

SAGAR AASHNA

Sagar Aashna 11th December 2014 12:14 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 472805)
Sagar ji...har stanza har line me dard hai apki kavita me...padte padte kab aankhein nam ho gayi pata hi nhi chala...bahut hi achcha likha hai aapne.....

Madhu ji, aise he nigaah-e-karam banaye rakheiN.. Tah-e-dil se shukriya.

Regards

SAGAR AASHNA

Sagar Aashna 11th December 2014 12:24 PM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 472811)
Bohot.........bohot.....bohot ache Sagar ji.
Bohot gehrai se aapne ek bejuban ki takleef bayan ki hai.........aaj aisa aalam hai log betiyo ko paida hone se pahle hi katl kar rahe hai......jin docters ko kabhi log bhagwan saman mante the....vo aaj chand sikko ke liye kasai ban baithe hai.......
Aapki ye peshkash mai apne fb profile par apke naam ke saath share kar raha hoon..

Beshumar daad

Bhushan joshi

Bilkul durust farmaya aapne Bhushan saahab.
Aur hausla afzayi keliye bohot bohot shukriya. Apni nigah-e-inaayat banaye rakhein.

Aapka khair khwah

SAGAR AASHNA

Sagar Aashna 11th December 2014 12:29 PM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 472831)
Sagar bhai apki mehnat aur jazbaaton ko salaam .. Bahut hi Nayab peshkash ..

Salutations and reps for it .

Sanjay Sehgal

Sehgal saahab, nawazish keliye dil ki gehraaiyoN se shukriya. Apni besh qeemti raa'e bakhshte rahiyega. Aur reps keliye bhi tah-e-dil se shukriya.
Aapka khair khwah

SAGAR AASHNA

Dhaval 11th December 2014 12:35 PM

Sagar bhai

Namaste

Aapki yeh peshkash dil ko chhu gayiin...dil se daad hi daad

Khush rahiye...apnaa khayaal rakhen

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka
Dhaval

Sagar Aashna 11th December 2014 12:45 PM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 472851)
Sagar bhai

Namaste

Aapki yeh peshkash dil ko chhu gayiin...dil se daad hi daad

Khush rahiye...apnaa khayaal rakhen

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka
Dhaval

Dhaval Saahab, aapki daad sar aankhoN par. Yunhi hausla afzai karte raheiN.. Bohot bohot shukriya.

Aapka khair khwah

SAGAR AASHNA

sunita thakur 4th May 2019 11:37 AM

reps +++ added
 
Quote:

Originally Posted by Sagar Aashna (Post 472775)
Arbab-e-sukhn, 'kanya bhroon hatya' (female foeticide) naam ka ek marz humare muashre ko khaaye ja raha hai..ek nanhi si guRiya, jo abhi iss duniya meiN nahi aayii hai, uska dard bayaan karne ki koshish pesh kar raha hooN.
Ilfaaz ka intekhhab itna baRhiya nahi hoga, lekin jazbaat ko paRhne ki koshish kijiyega. Aur apni besh qeemti aara'a zaroor rakhiyega.

MaiN nanhi si guRiya hooN, khushiyoN ki maiN puRiya hoon
HansuNgi hansaauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi..

Par... ... ... ...

Yeh kya karne lage haiN log, mujhe pakaRne lage hain log
kyuN mujhe yeh maar rahe haiN, dekho toh dhikkaar rahe haiN
MaiN bhii jeena chahti hooN, par cheekh kise sunauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Taras mujh pe khaao maaN, papa ko samjhao maaN
Poore karuNgi saare sapne, garv kareNge mujh pe apne
Ek baar tum mauqa de do, ghar ka maan baRhaungi
maiN khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Dard sabhi ka jaanuNgi, kehna sab ka maanuNgi
Ooncha aapka sar hoga, khushiyoN bhara ghar hoga
Bete jo bhi karte hain woh sab kuchh kar dikhauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Koii toh sun lo meri pukaar, de do mujh ko thoRa sa pyar
Bhaiya ka khilona ho, ya phir chaandi sona ho
waada karti hooN sabhi se, haath na maiN lagauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Kya laRki hona gunaah hai, jo itni baRi sazaa hai?
SaanseiN meri rok rahe ho, zara bhi nahi soch rahe ho
Dard mujhe jo ho raha hai, kisko maiN sunauNgi
main khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

Main.ne toh yeh socha thaa, jaise bhaiya chhota thaa
MaaN ki aaNkh ka taara thaa, daadi ko bhi pyara thaa
Waise he toh maiN bhi sab ki laadli ban jaauNgi
maiN khushiyaN le kar aauNgi, maiN khushiyaN le kar aauNgi

MaaN tum bhi toh laRki ho, phir kyuN nahi samajhTi ho
LaRki he jab na hogi, duniya phir yeh kahaN hogi
Apne komal haaThoN se maiN khaana tumheiN khilauNgi

Jab bukhaar hoga tum ko, sar-maatha dabauNgi
Kuchh din apne saath toh rakh lo, phir parayii kehlauNgi
BooRhi jab tum ho jaogi, haal poochhne aauNgi
Waada karti hooN, tumhara dil kabhi na dukhauNgi
KhushiyoN ki maiN puRiya hooN, khushiyaN le kar aauNgi,
maiN khushiyaN le kar aauNgi.

SAGAR AASHNA

Bhai...arse baad aapki es nazm par nazar gye, nazm kya yeh to aapne dil hi nikaal kar rakh diya...bahut kismat wale hote hai log jinko beti ka pyar naseeb hota hai. har baat bahut saleeke se aur bahut stick sabdoN mein kahi, dil ke khaas kareeb rhi yeh nazm.
aur es behtar nazm ke liye aap points ke haqdaar ho.
meri taraf se aapko reps +++ added

duaoN ke saath
aapki dii :)

sorry reps points abhi add nahi ho rhe...koi baat nahi dil se to aapke liye add kar diye maine :)

All times are GMT +5.5. The time now is 08:35 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.