Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Hindi/Urdu Lyrics (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=10)
-   -   Aye Nazneen suno naa (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=67519)

kwahish 11th October 2009 02:14 PM

Aye Nazneen suno naa
 
Aye Nazneen suno naa
hume tum pe haq to do na
Chahe to jaan lo naa,,,,,,,
ke dekha tumhe to hosh udh gaye,
Yeh hont jaise khud hi sil gaye,

dekha tumhe to hosh udh gaye,
Yeh hont jaise khud hi sil gaye,

Sa sa sa......pa pa pa.... sa sa sa....

Lagta hai ke tumko
Rab ne banaya jis dum
Apni khudraton ko usne
tum mein kar diya tha kam
is jahan ko husn bantna bhi
kar diya tha kam


tikhe tikhe nayan naksha tere
kaliyon se komal hont tere
phoolon se nazuk paun tere
Do na jahaa kurbaan tere


tarasha pyar se jise
rab ne wo murat ho tum
sang tarashon ki jaise devi tum
Tumsa jahan mein koi naa


Aye Nazneen suno naa
hume tum pe haq to do na
Chahe to jaan lo naa.............

k dekha tumhe to hosh udh gaye,
Yeh hont jaise khud hi sil gaye,

dekha tumhe to hosh udh gaye,
Yeh hont jaise khud hi sil gaye,

Sa sa sa......pa pa pa.... sa sa sa....


Parda khayaloN ka hai
such much zara samne aa
chand ko main takta huN,
per teri shakal ankho mein
Dil jalaye chandni ,
ye thandi thandi raato mein


Nata dilo se toot gaya
tere liye aye mere hasin
Dil ko yakin hai ye bhi magar
aayenga aisa din bhi kabhi..............

jab mulakhate bhi hogi
mithi si baaten bhi hogi
pyar bhari raaten bhi hogi, dekhana...
Aane ki khabar do naa.....


Aye Nazneen suno naa
hume tum per haq to do na
Chahe to jaan lo naa.........................

dekha tumhe to hosh udh gaye,
Yeh hont jaise khud hi sil gaye,........

Sa sa sa...... nid nid sa sa sa....

dekha tumhe to hosh udh gaye,
Yeh hont jaise khud hi sil gaye,.........
Yeh hont jaise khud hi sil gaye,.........
Yeh hont jaise khud hi sil gaye,.........

zainy 11th October 2009 02:25 PM

hahaha...sameer saheb...saturday sunday ko to nazneen online nahi aati hain......ab monday ko hi woh yeh gaana padhengi ...:D.....


JUST KIDDING...:)

kwahish 11th October 2009 02:54 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 369201)
hahaha...sameer saheb...saturday sunday ko to nazneen online nahi aati hain......ab monday ko hi woh yeh gaana padhengi ...:D.....


JUST KIDDING...:)

Zainy jii............

Hmm yeh to main socha hi nahi ke aaj sunday hai.............. aab to yehi dekhana hoga ke agar yeh gana mein use dil se dedicate kiya hun to woh is per aaj hi reply karengii:)

N@zneen 11th October 2009 04:35 PM

Ekdm jhakkaas song hai aur q na ho mera naam jo hai ismei ;-) tmne kaha sunona dekha sunte hi pahoch gai yahan :-D thnx sweetie.

Purvi 11th October 2009 04:40 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 369251)
Ekdm jhakkaas song hai aur q na ho mera naam jo hai ismei ;-) tmne kaha sunona dekha sunte hi pahoch gai yahan :-D thnx sweetie.

Are naazu tum aur aaj online????

Zainy jee ne to kaha ke aaj tum nahi aaogi..................

zainy 11th October 2009 04:41 PM

hahahaha.......hota hai hota hai......kabhi kabhi aysa bhi hota hai....:)

Baqtiar 11th October 2009 05:23 PM

Leh dil ke bahlana ko Ghalib ye khayal acha hai....

Naam leyne se koi aajata tou aur kya tha....

i wud've called " Salma Hayek" hahaha

aur Ganna bhi gaata... "Salma ko mil gaya balma salma hum ko chhod chali"

kwahish 11th October 2009 07:50 PM

Hhhhhhhhuuuuuh...........

Ab koi kuch bhi kahe mujhe to dili sukun hua........
Ab kisika dil jale to mujhe isse kya..:p

Chaliye Bhai hum to bahut khush hai..........:)

Hassan 3rd September 2014 04:32 AM

Sameer bhai,

Very beautiful song.....:) thanks for sharing...

Aur kahaN haiN aap.. kin nagriyoN mieN ghoom rahe haiN :rolleyes: :D

Ho sake to waapis aa jaiye ,, :)

DuaooN ke saath,,

kwahish 18th October 2014 01:22 AM


Aadaab to All of my dear friends ....

Alhamdulillah I'm fine ... and I'm back now ... :)
Ummid hai aap log bhi apni masrufiyat khatam karke jald hi bazm ko roshan karne aayeNge ...

Shaad O aabaad rahiye ...
Khuda Hafez ... :)


All times are GMT +5.5. The time now is 01:30 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.