Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Aapki Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=32)
-   -   jindagi (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=30894)

garima 2nd February 2005 06:03 PM

jindagi
 
Dear viewers,
waise to mujhe poem likhna nahi aata fir bhi maine ek kosis ki hai ye meri pahali kosis hai.
pls aap sab apne apne comments jaroor de taaki mai fir se ek aur kosis karoo.

Aiye jindagi to kahi tasvir to nahi
Waqt ke haatho ki lakir to nahi
Kahi waqt tumjhko mujhse chura na le jaaye
Aisi kahi meri takdir to nahi
Aiye jindagi to kahi tasvir to nahi
Mujhe jarroat hai tere sahaare ki
Kahi too mujhe de jaaye daga
Aisi kahi teri soch to nahi
Mujhe u hi akela chhod jaaye
Kahi ye tera armaan to nahi
Aiye jindagi kahi too tasvir to nahi
Ye sach hai ki mai kucch bhi nahi
Tere bina yah kucch to nahi lekin
Ye bhi to hai ki mai ,mai hoo teri gulaam to nahi
Aiye jindagi to kahi tasvir to nahi


mai jaroor jaanana chahoongee ki meri kosis kaisi hai so pls meri galatiyo ke taraf jaroor bataana tabhi to use bana paoongee

garima

meena chheda 2nd February 2005 06:40 PM

Re: jindagi
 
Quote:

Originally posted by garima
Dear viewers,
waise to mujhe poem likhna nahi aata fir bhi maine ek kosis ki hai ye meri pahali kosis hai.
pls aap sab apne apne comments jaroor de taaki mai fir se ek aur kosis karoo.

Aiye jindagi to kahi tasvir to nahi
Waqt ke haatho ki lakir to nahi
Kahi waqt tumjhko mujhse chura na le jaaye
Aisi kahi meri takdir to nahi
Aiye jindagi to kahi tasvir to nahi
Mujhe jarroat hai tere sahaare ki
Kahi too mujhe de jaaye daga
Aisi kahi teri soch to nahi
Mujhe u hi akela chhod jaaye
Kahi ye tera armaan to nahi
Aiye jindagi kahi too tasvir to nahi
Ye sach hai ki mai kucch bhi nahi
Tere bina yah kucch to nahi lekin
Ye bhi to hai ki mai ,mai hoo teri gulaam to nahi
Aiye jindagi to kahi tasvir to nahi


mai jaroor jaanana chahoongee ki meri kosis kaisi hai so pls meri galatiyo ke taraf jaroor bataana tabhi to use bana paoongee

garima



garima,

jindgi ka koi bhi rukh ho chahae...
has ke tu jii le, jina isi ka naam hai


tumhari koshish bahut hi achhi rahi hai. humesha likhte rahna

meena

garima 2nd February 2005 07:20 PM

reply
 
aapki reply padha achha laga ,

waise to jindagi jeene ka naam hai
chahe koi bhi muskil ho hasane kaa naam hai

aapne theek kaha koi bhi rukh ho has ke hi jeena chahiye aur aisa hi hoga.

mujhe aapne hausala diya aage likhne ka bahoot bahoot shukriya.

prakashraj94 2nd February 2005 08:34 PM

tu kya sikhaayegi usye jeene ka andaaz zindagi
jisne jaan liya hai teraa har raaz zindagi


Zindgi ko apne maan mutabik chalana apne hi hath main hai. Aapki Koshish achhi hai. Keep it up

kush001 2nd February 2005 08:42 PM

nice
 
grimaji

aapne abhut kuch kha hai in lines main

zingi ko define kerna vaise to bahut mushkil hota hai kyunki zindagi ke bahut roop hai mager apne jis roop ko darshaya bahut accha lga bahut hi acchi peom thi
aapne apni koshish ko accha anjam diya hum apse aisi bahut sari poems ki asha rakhte hai

candyboy 3rd February 2005 12:53 PM

Hi Garima Ji,

Aapne toh bohot hi acchha likha hai. Jab alfaaz dil se nikle ho to woh dusre dilo par bhi gehra asar kar jaate hai aur yehi aapke kalaam se bhi hua hai. Bohot khoob. Bas uhi likhte rahey.

garima 3rd February 2005 02:51 PM

reply
 
maine achha likha hai ya nahi ye to mai nahi jaanti lekin haa ek baat hai ki aap sab milkar use achha jaroor bana denge sayad yehi khaas baat hai jo mai yeha aakar kuchh likhane ki himmat kar gayi hoo.

Asha hai ki ye sneh milta rahega isi asha ke saath agale padaw tak ke liye ijaajat maangati hoo.


with love light and care
garima

nacheez 3rd February 2005 05:37 PM

Hi garima!

I knew you are a great writer. And as I told you before, you could make a great poet of your self....dream...set a goal in life...you can do that.

Aaj agar aapki koshish itni khoobsurat hai,
to kal aapki umda kalam zaroor jannat hogi.
Is nacheez ki duae hamesha aapke saath hai...
Khuda ne chaha to har dua ki asar hazaar guni hogi.

Love, nacheez.

Vipinbox 2nd February 2006 03:09 PM

Garv,
Bahaut accha kaha hai tumhne, isi tarah likhti raho aur hamare saath baant-tey raho.
"Aiye jindagi kahi too tasvir to nahi"........kamaal ki pankti hai

Vipin

n_joywithme 3rd February 2006 10:46 AM

yehi hai jindagi
 
Garima ji


Aapne kavita to bahoot hi achi likhi hai
Jindagi to jinda dili ka name hai
chao yeh haske jiyo ya roke jina to padega hi na
Duniya me aye hai to jeena hi padega.
Lekin ek bat sach hai ki jindagi hans ke jiyo, masti me jiye
Aap ek kalakar hai jindagi ki tasveer ko kaise banana yeh
to aap par hi nirbhar karta hai

Keep it up and lets enjoy life as it is

n_joy>.............


All times are GMT +5.5. The time now is 04:22 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.