Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   BAHADUR SHAH ZAFAR-Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=41093)

farhana 23rd October 2005 07:45 AM

BAHADUR SHAH ZAFAR-Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
 
Here i am sharing with you'll a Nazm of Bahadur Shah Zafar, the last Moghul Emperor.....too good...marvellous nazm....
if you remember,this nazm was sung my Mohd. Rafi in the movie Lal Qila though he hasnt sung the full nazm....
this is the complete nazm.
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Mushth-E-Ghubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Na To Main Kisi Ka Habeeb Hoon
Na To Main Kisi Ka Raqeeb Hoon
Jo Bigad Chala Gaya Woh Naseeb Hoon
Jo Ujad Gaya Woh Dayaar Hoon

Mera Rang Roop Bigad Gaya
Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya
Jo Chaman Khizaan Mein Ujad Gaya
Main Usi Ki Fasl-e-Bahar Hoon

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon

Pay- Faatiha Koyi Aaye Kyon
Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon
Koyi Aake Shama Jalaye Kyon
Koyi Aake Shama Jalaye Kyon
Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Main Kahaan Rahoon Main Kahan Basoon
Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush
Main Zameen Ki Peeth Ka Bojh Hoon
Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

meena chheda 23rd October 2005 08:27 AM

kitni hi baar ise soono ya padhho... humesha dil ko chhu jaati hai yah rachna
shukria farhana

amaan7am 23rd October 2005 05:15 PM

farahan
 
achcha lagha ,,,,,,,,,.......behad achcha laga jo tum ye bhuli bisari ......aur ...usi mane mein makbool nazm yahan layi.....shukriya..

farhana 23rd October 2005 09:48 PM

hi meenaji,

kaisi hain aap?mujhe bhi yeh nazm bahaut pasand hai....dil ko choo lene wale lafz...apna khyaal rakhiye....:)

farhana 23rd October 2005 09:50 PM

amaan sahab...mujhe khushi hui jaanke ke ye nazm aapko bhi azeez hai....apna khyaal rakhiyega.

Pulkit_gupta 24th October 2005 03:59 PM

Didi ne sahi kaha Farhana... yeh ghazal kitni hi baar sun lo, padh lo.. acchi hi lagti hai....Thx for sharing...!

Ek sher yaad aaya zafar saahab ka...


Baat karni mujhe muhskil kabhi aisi to naa thi
Jaisi hai teri mehfil kabhi aisi to naa thhi

Uski aankhon ne khuda jaane kiya kyaa jaadu
Bekaraari tujhe ae dil kabhi aisi to naa thhi...!

Chaand 24th October 2005 04:14 PM

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Mushth-E-Ghubaar Hoon


Na jaane us shehenshaah ne kin haalaat or kitne dard me ye nazm likhi hogi....per jab bhi parhta ya sunta hooN ....apni si kahaani nazar aati hai...

us mahaan Deshbhakt shaayr or shehenshaah tak mera salaam pahuNche....jise apni is sar-jameeN per do gaz jameeN bhi na mili dafan hone ko.

Chaand

farhana 25th October 2005 05:44 AM

hello joker hehe,

im glad u like this nazm too....aur haan aapne jo do sher unke pesh kiye woh bhi bade acche the....thanks for replying.bye

farhana 25th October 2005 05:46 AM

chaand sahab..bahut sahi kaha aapne..jane kis kkashmakash me unhone itne khoobsurat lafzon ke moti piroye....thanks for replying.take care

sunita thakur 7th May 2009 09:24 AM

wow....................................dil ko hilla kar rakh dene wale lafz...........!


"na kisi ki aankh ka noor hoon,
na kisi ke dil ka qaraar hoon,
jo kisi ke kaam na aa sake,
Main Woh Ek Mushth-E-Ghubaar Hoon"



yoon lagta hai jaise poet ne meri kahani apni kalam se likh di hai..........thanks for nice sharing.....!


All times are GMT +5.5. The time now is 08:25 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.