Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   Anokhi waza hai saare zamaane se niraale hain, ye aashiq kaun si basti ke yaa rab reh (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=79760)

Madhu 14 4th March 2016 01:55 PM

Anokhi waza hai saare zamaane se niraale hain, ye aashiq kaun si basti ke yaa rab reh
 
Anokhi waza hai saare zamaane se niraale hain,
ye aashiq kaun si basti ke yaa rab rehne waale hain.

Ilaaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hun,
jo the chaalon mein kaante nok-e-sozan se nikaale hain.

Phalaa-phoola rahe yaa rab chaman meri umeedon ka,
jigar ka khoon de de kar ye boote hum ne paale hain.

Rulaati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki,
niraala ishq hai mera niraale mere naale hain.

Na poochho mujh se lazzat khaanamaan-barbaad rehne ki,
nasheman sainkadon maine bana kar phoonk daale hain.

Umeed-e-hoor ne sab kuchh seekha rakha hai waaiz ko,
ye hazrat dekhne mein seedhe-saadhe bhole-bhaale hain.

Mere ashaar aey ‘iqbal’ kyon pyaare na hon mujh ko,
mere toote hue dil ke ye dard-angez naale hain. !!

Allama Iqbal

redtears_ocean 1st November 2016 10:23 AM

bohat shaandar ghazal , ghazab sharing...

sunita thakur 2nd November 2016 04:33 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 491553)
Anokhi waza hai saare zamaane se niraale hain,
ye aashiq kaun si basti ke yaa rab rehne waale hain.

Ilaaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hun,
jo the chaalon mein kaante nok-e-sozan se nikaale hain.

Phalaa-phoola rahe yaa rab chaman meri umeedon ka,
jigar ka khoon de de kar ye boote hum ne paale hain.

Rulaati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki,
niraala ishq hai mera niraale mere naale hain.

Na poochho mujh se lazzat khaanamaan-barbaad rehne ki,
nasheman sainkadon maine bana kar phoonk daale hain.

Umeed-e-hoor ne sab kuchh seekha rakha hai waaiz ko,
ye hazrat dekhne mein seedhe-saadhe bhole-bhaale hain.

Mere ashaar aey ‘iqbal’ kyon pyaare na hon mujh ko,
mere toote hue dil ke ye dard-angez naale hain. !!

Allama Iqbal

khoobsurat gazal share karne ke liye shukriya Madhu Bala :)

Madhu 14 7th November 2016 05:27 PM

shukriya di.....bahot shukriya redtears ji....ls apna naam share karein to apko us naam se pukarne me achcha lagega.....

Aate rahein..

shakir ali 01 7th November 2016 06:43 PM

Madhu jiiii behad nayab gazal he
sharing ke liye shukriya
ultimate........super......

Shakir ali

Madhu 14 9th November 2016 10:29 PM

Quote:

Originally Posted by shakir ali 01 (Post 495104)
Madhu jiiii behad nayab gazal he
sharing ke liye shukriya
ultimate........super......

Shakir ali

Shukriya shakir ji............................................. ........


All times are GMT +5.5. The time now is 09:49 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.