Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Humourous Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=22)
-   -   Net ijaad hua ishq me maron ke liye (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80156)

Madhu 14 22nd February 2017 11:57 PM

Net ijaad hua ishq me maron ke liye
 
. Ye nazm kuchh search karte waqt mili to socha share kar dun. 😃 halankih ye nazm bhi update mangti hai 😃

Net ijaad hua hijr ke maroN ke liye
Search engine hai badi cheez kunwaroN ke liye

नेट इजाद हुआ हिज्र के मारों के लिये
सर्च इंजन है बड़ी चीज़ कुंवारों के लिये

Jis ko sadma shab e tanhaee ke ayyaam ka hai
Aese aashiq ke liye net bohot kaam ka hai

जिस को सदमा शब-ए-तन्हाई के अय्याम का है
ऐसे आशिक़ के लिए नेट बहुत काम का है

Net Farhaad ko ShereeN se mila deta hai
Ishq insan ko google pe bitha deta hai

नेट फ़रहाद को शीरीं से मिला देता है
इश्क़ इंसान को गूगल पे बिठा देता है

Kaam maktoob ka mouse liya jata hai
Aah e sozaN ko bhi upload kiya jata hai

काम मक्तूब का माउस लिया जाता है
आह-ए-सोज़ाँ को भी अपलोड किया जाता है

Text mein log muhabbat ki khata bhejte hain
Ghar batatey nahi office ka pata bhejte hain

टेक्स्ट में लोग मुहब्बत की ख़ता भेजते हैं
घर बताते नहीं ऑफिस का पता भेजते हैं

AashiqoN ka ye naya tour naya type hai
Pahle chilman hua karti thi ab Skype hai

आशिकों का ये नया तौर नया टाइप है
पहले चिलमन हुआ करती थी अब स्काइप है

Ishq kahte hain jise ek naya samjhouta hai
Pahle dil milte the ab naam click hota hai

इश्क़ कहते हैं जिसे इक नया समझौता है
पहले दिल मिलते थे अब नाम क्लिक होता है

Dil ka paigham jab email se mil jata hai
Male har chook pe female se mil jata hai

दिल का पैग़ाम जब ईमेल से मिल जाता है
मेल हर चूक पे फ़ीमेल से मिल जाता है

Ishq ka naam faqat aah o fughaaN tha pahle
Dakkhane mein ye aaraam kahaN tha pahle

इश्क़ का नाम फ़क़त आह-ओ-फ़ुग़ाँ था पहले
डाकखाने में ये आराम कहाँ था पहले

ID jabse mili hai mujhe ham-saee ki
Achhi lagti hai tawaalat shab e tanhaee ki

आई डी जबसे मिली है मुझे हम-साई की
अच्छी लगती है तवालत शब-ए-तन्हाई की

Net pe log jo nabbey se plus hote hain
Baithe rahte hain wo tas hote hain na mas hote hain

नेट पे लोग जो नब्बे से प्लस होते हैं
बैठे रहते हैं वो टस होते हैं न मस होते हैं

Facebook koocha e jaana se hai milti julti
Har haseena yahan mil jayegi hilti-julti

फेसबुक कूचा-ए-जानाँ से है मिलती जुलती
हर हसीना यहाँ मिल जायेगी हिलती-जुलती

Ye mobile kisi aashiq ne banaya hoga
Usko mahboob ke abba ne sataya hoga

ये मोबाइल किसी आशिक़ ने बनाया होगा
उसको महबूब के अब्बा ने सताया होगा

Text jab aashiq-e-barqii ka atak jata hai
Talib e shouq to sulii pe latak jata hai

टेक्स्ट जब आशिक़-ए-बर्क़ी का अटक जाता है
तालिब-ए-शौक़ तो सूली पे चढ़ जाता है

Online tere aashiq ka yahi tour sahi
Tu nahi aur sahi aur nahi aur sahi

ऑनलाइन तेरे आशिक़ का यही तौर सही
तू नहीं और सही और नहीं और सही

Khalid Irfan

sameer'shaad' 23rd February 2017 10:52 AM

hahahaha............. jab se paDhaa hai ise hansee nahii rok pa raha hoon.....
aaj ke haal ko bakhubi bayaan kartii huii nazm hai.....

aur shhukriyyaa aapka jo ise hamare saamne lekar aayeen.....

shaad...............

Madhu 14 23rd February 2017 06:00 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 495654)
hahahaha............. jab se paDhaa hai ise hansee nahii rok pa raha hoon.....
aaj ke haal ko bakhubi bayaan kartii huii nazm hai.....

aur shhukriyyaa aapka jo ise hamare saamne lekar aayeen.....

shaad...............

😀😀.....khushi hai aap ne iska lutf liya....

Khush rahein...Hanste rahein..

Madhu 14 23rd February 2017 06:16 PM

.
Kal ek nazm padhi aur ittefaq usi tarah ki ek aur nazm samne aayi....
Zara Dekhiye gaa ,

Facebook ki ye niraali si kahaani sun'lo,
Kaise guzri hai meri zaati jawaani sun'lo.

DaastaaN qais ye suntaa hai toh hil jaata hai ,
Net pe ik roz nayaa love mujhe mil jaata hai .

Hai meraa yaar bhi kis kaam ke chakkar mein paraa ,
P.c pe eik mobile pe hai duuji se lagaa.

Kar ke himmat zaraa kuch aaj tujhe meet karuN ,
Eik inbox karuN dos'raa ye tweet karuN.

MuddatoN baad woh on aayi hai yaaroN kuch rehm ,
Jaaye light naa abhi waapda waaloN kuch rehm.

Dil kii niiyat ko zaraa saaf bataa dete haiN ,
Ye emoji mujhe piTne se bachaa lete haiN.

Pehle toh jhagRe hi jhagRe mein sab encode huaa ,
Itne mein ik naya status tera upload huaa.

Facebook par bhi meri jaan kharaabi hai tu ,
Tujh'ko maaluum nahiN kitnoN ki bhaabi hai tu.

Kaise batlaaoN ke haaN mujh'pe hi marti hai woh ,
Dp pe meri comment itna nahiN karti hai woh.

Pehle toh off woh reh kar mujhe taDpaati hai ,
Phir messanger pe mujhe video call aati hai.

Friend ki list mein main bhi zara mashuur dikhuN ,
Tujh'ko bhi add saheli bhi teri add karuN.

Facebook par yuuN mohabbat kaa meri hota hai test ,
Off ik jaaye toh bhejuN kisi duuji ko request.

So raha thaa tera message nahiN dekhaa maine ,
Seen toh kar liyaa par neend mein kholaa maine .

On nodo mint na aaya toh kahaa off raho ,
Password apnaa mujhe do abhi sorry na kaho .

Subh.a collage ke liye late bhii karwaati hai,
Raat ke Dhaai baje chat pe Aa jaati hai.

Tere inbox pe hoti koi dastak hai na bell,
Tu ke u.k mein hai beThi mera net Ptcl.

Hamza..


All times are GMT +5.5. The time now is 01:56 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.