Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Search Forums

Showing results 1 to 40 of 95
Search took 0.01 seconds.
Search: Posts Made By: Daanish_ Hyd
Forum: Chit-Chat & General Discussion Forum 25th February 2006, 12:43 PM
Replies: 69
Views: 21,307
Posted By Daanish_ Hyd
Maikash Saheb Aadab-o-tasleemaat. aap bajaa...

Maikash Saheb
Aadab-o-tasleemaat.
aap bajaa kehte haiN. yeh sanjeeda aur miyaari shayari ka site nahiN raha. aur rahi mushaira ki baat--kitne log beher maiN ghazal keh sakte haiN? ek adh martaba...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 25th February 2006, 12:23 PM
Replies: 22
Views: 3,195
Posted By Daanish_ Hyd
Shimul Lajawab ghazal hai Shakeel saheb...

Shimul
Lajawab ghazal hai Shakeel saheb ki...pesh karne ke liye shukriya.
apne intekhab se isi tarh nawaazte rahiye.
khair andesh
Daanish
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 27th January 2006, 07:17 PM
Replies: 4
Views: 1,928
Posted By Daanish_ Hyd
Kabhi Dosti Kahenge...Kabhi Be-Roukhi Kahenge... ...

Kabhi Dosti Kahenge...Kabhi Be-Roukhi Kahenge...
Jo Milega Koyi Tujh Saa...Usse Zindagi Kahenge...

Tera Dekhna Hain Jaadoo...Teri Guft-Guu Hain Khushboun...
Jo Terii Sada Mein Chamke...Usse...
Forum: Shayri-e-Dard 25th January 2006, 09:58 PM
Replies: 19
Views: 1,272
Posted By Daanish_ Hyd
aap ki 'ghazal'

Mayankbhai,
maine tau Thhaan liya thha ke ke tanqeed karne se gurez karoonga. magar kya karuN. shayad yeh ik fitri majboori hai.
mu'af farmaiye magar, aap ki 'ghazal' beher se khaarij hai, yani...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 25th January 2006, 08:20 PM
Replies: 4
Views: 1,746
Posted By Daanish_ Hyd
shukriya shimul Mumtaz Rashid ke apne andaaz ki...

shukriya shimul
Mumtaz Rashid ke apne andaaz ki ghazal.
kya kehne. aap itni mehnat-o-mashaqqat se muntakhib kalaam ko bazm meiN pesh karti haiN.
thanks for sharing it here with all of us.
khair...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 25th January 2006, 08:14 PM
Replies: 3
Views: 1,511
Posted By Daanish_ Hyd
Thx Shimul bohat umda ghazal hai Ehsan Daanish...

Thx Shimul
bohat umda ghazal hai Ehsan Daanish saheb ki.
kya ghazab ka matla hai!
Nazar fareb-e-qazaa khhaa gayii to keyaa hogaa
Hayaat maut se takraa gayii to keyaa hogaa

thanks again, for...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 24th January 2006, 07:26 PM
Replies: 4
Views: 1,794
Posted By Daanish_ Hyd
Shimul aap itni mehnat-o-mashaqqat ke saath...

Shimul aap itni mehnat-o-mashaqqat ke saath kalaam ka intekhaab karti haiN aur yahaN bazm meiN hum sab lutfandoz hote haiN.


aap ke shukrguzaar. As always
khair andesh
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 24th January 2006, 07:22 PM
Replies: 2
Views: 1,180
Posted By Daanish_ Hyd
Shimul umda ghazal hai. thx for sharing this...

Shimul
umda ghazal hai.
thx for sharing this with us

khair andesh
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 23rd January 2006, 08:36 PM
Replies: 2
Views: 1,286
Posted By Daanish_ Hyd
Wah Shimul, bahut khoobsurat ghazal hai. ai...

Wah Shimul,
bahut khoobsurat ghazal hai. ai kaash ke hamari is bazm ke ehbaab aise kalaam ki taraf zyaada mutawwaja hote...Wah Hafeez! yuNhi is mehfil ko miyaari kalaam se aarasta karte rahiye...
...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 22nd January 2006, 05:26 PM
Replies: 4
Views: 1,128
Posted By Daanish_ Hyd
Ghazal--Khumaar Baarabankwi

Woh jo aaye hayaat yaad aayi
bhooli bisri si baat yaad aayi

haal-e-dil un se kehke jab laute
un se kehni ki baat yaad aayi

aap ne din bana diya thha jise
zindagi bhar woh raat yaad aayi
...
Forum: Shayri-e-Dard 22nd January 2006, 05:14 PM
Replies: 17
Views: 3,688
Posted By Daanish_ Hyd
inayat

tasleem
zarra ki zarranawazi ka khaaksaar ehsaanmand hai.

Jamal-e-humnasheeN dar man asar kard
wagarna man hama khaakam ke hastam--Shaikh Saadi
(mere humnasheen ke jamal ne mujh par asar...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 21st January 2006, 08:29 PM
Replies: 0
Views: 1,168
Posted By Daanish_ Hyd
Ghazal-Makhdoom

saaz aahista zara gardish-e-jaam aahista
jaane kya aaye nigahoN ka payaam aahista

chaand utra ke utar aaye sitare dil meiN
khwaab meiN hontoN pe aaya tera naam aahista

ku-e-jaanaN meiN qadam...
Forum: Shayri-e-Dard 20th January 2006, 09:13 PM
Replies: 17
Views: 3,688
Posted By Daanish_ Hyd
shukriya

Tasleem janab
Musharraf Hussain saheb, aap ke in hoslaafza kalmaat ka behad shukrguzaar huN agarche ke in ka qata" mustahiq nahiN.
khaaksaar mubtadi aur nau amoz hai. aitaraaf-e-haqeeqat se gurez...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 20th January 2006, 07:53 PM
Replies: 0
Views: 1,125
Posted By Daanish_ Hyd
'Lamha-e-rukhsat'--Makhdoom

Lamha-e-rukhsat

kuchh sun ne ki khwahish kaanoN ko kuchh kehne ka armaaN aankhoN meiN
gardan meiN *himayil hone ki betaab tamanna baaNhoN ko
(latakne ki)
*mushtaaq nigahoN ki zid se nazroN ka...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 19th January 2006, 10:19 PM
Replies: 1
Views: 1,156
Posted By Daanish_ Hyd
Makhdoom ki ek nazm

*Toor
*In Urdu/Persian poetry Koh-e-toor symbolizes Mt. Sinai where God appeared to Moses.

YaheeN ki thi mohabbath ke sabaq ki ibtida maine
YaheeN ki jurrath-e-izhaar-e-harf-e-muddu'a maine...
Forum: Shayri-e-Dard 18th January 2006, 10:38 AM
Replies: 21
Views: 1,955
Posted By Daanish_ Hyd
ab is tajrube ko yahaN khatm karenge aur ek nayi...

ab is tajrube ko yahaN khatm karenge aur ek nayi kosish ki taraf qadam badhhaenge...
aap sab ki shirkat ka bahut bahut shukriya...yeh tajruba kuchh had tak kamyaab raha...ye kaavish maine ek maqsad...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 18th January 2006, 08:33 AM
Replies: 1
Views: 1,262
Posted By Daanish_ Hyd
Asghar ka shumaar hamare asaatzaa meiN hota...

Asghar ka shumaar hamare asaatzaa meiN hota hai....
yahaN ke har user ko aisa kalaam paRHna chahiye taa ke sinf-e-ghazal aur us ke ravayaat ke mut'alleq unke m'aloomaat meiN izaafa ho...alfaaz ka...
Forum: Shayri-e-Dard 17th January 2006, 09:49 AM
Replies: 21
Views: 1,955
Posted By Daanish_ Hyd
deep good effort... u r on course....bas thoda...

deep
good effort... u r on course....bas thoda rhythm ko aur polish karte jaiye, hamesha beher meiN kahne ke liye...koi khaas baat nahiN,aa jayega....

khair andesh
Forum: Shayri-e-Dard 17th January 2006, 09:11 AM
Replies: 17
Views: 3,688
Posted By Daanish_ Hyd
shukriya

shukriya Garima, zarranawazi ka,kalaam meiN koi khaas khoobi nahiN hai..........yeh sab aap logoN ka husn-e-nazar hai...

khair andesh
Forum: Shayri-e-Dard 16th January 2006, 06:15 PM
Replies: 20
Views: 2,143
Posted By Daanish_ Hyd
er, you mean Daanish, I hope........not very sure...

er, you mean Daanish, I hope........not very sure yhough!
Forum: Shayri-e-Dard 16th January 2006, 05:26 PM
Replies: 21
Views: 1,955
Posted By Daanish_ Hyd
aap log sab shareek ho rahe haiN ye badi achhi...

aap log sab shareek ho rahe haiN ye badi achhi baat hi...koshish kijye ke line ki 'length' theek rahe yani behar meiN aur doosra misra qafiya ke paband rahe...for example (manauN kab tak, rulauN kab...
Forum: Shayri-e-Dard 16th January 2006, 12:17 PM
Replies: 21
Views: 1,955
Posted By Daanish_ Hyd
garima, deep, dard shirkat ki aap logoN ne is...

garima, deep, dard
shirkat ki aap logoN ne is kaavish meiN...shukriya

chaliye yahaN se ek aur shayr ka izaafa karte hu'e is silsile ko aage le chalte haiN...

aql ne unko tau to pehchaan liya...
Forum: Shayri Ki Paathshaala 16th January 2006, 08:31 AM
Replies: 101
Views: 138,619
Posted By Daanish_ Hyd
Maikash Saheb I didn't mean to be rude. It was...

Maikash Saheb
I didn't mean to be rude. It was just that I was appalled at the thought that someone could suggest that Ghalib could be faulted on beher. My apologies if I was less courteous to you...
Forum: Shayri Ki Paathshaala 15th January 2006, 07:34 PM
Replies: 101
Views: 138,619
Posted By Daanish_ Hyd
To add to what I wrote yesterday, not only...

To add to what I wrote yesterday, not only Ghalib, but all our masters were skilled craftsmen in the technical aspects of poetry. I don't know where you got yr information from, Maikash saheb, but I...
Forum: Shayri-e-Dard 15th January 2006, 03:45 PM
Replies: 21
Views: 1,955
Posted By Daanish_ Hyd
Shukriya Ms Shradhha and Ms Kuhulika maiN...

Shukriya Ms Shradhha and Ms Kuhulika

maiN chaahta huN ke sab is kaavish meiN shareek ho jayeN aur qafiyabandi ke is tajrube ko nayi jahateN ata kareN........silsile ko aage badhhane ke liye ek aur...
Forum: Shayri-e-Dard 15th January 2006, 09:21 AM
Replies: 21
Views: 1,955
Posted By Daanish_ Hyd
thank you vipin, pallavi and ghayal ........yeh...

thank you vipin, pallavi and ghayal ........yeh ek experiment hai qafiyabandi ka aur maiN chaahta huN ka sab sareek hoN...Varinderji ne koshish ki thhi aur ab meenaji.
meenaji ka shayr paRHiye...
...
Forum: Shayri-e-Dard 15th January 2006, 09:00 AM
Replies: 45
Views: 3,056
Posted By Daanish_ Hyd
Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko Band lamhoN ko...

Mil hi jaaoNga main kahiiN tumko
Band lamhoN ko khol kar dekho

khoob...!
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 15th January 2006, 07:43 AM
Replies: 4
Views: 1,205
Posted By Daanish_ Hyd
Jiss Mein Laakhon Baras Kii Huurein ho, Aisii...

Jiss Mein Laakhon Baras Kii Huurein ho,
Aisii Jannat Ko Kya Kare Koyii

Daagh ka maqbool-kareen shayr hai jis meiN unki shokhguftaari nazar aati hai...
kya kehne...shukriya



khair andesh
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 15th January 2006, 07:38 AM
Replies: 1
Views: 1,775
Posted By Daanish_ Hyd
Bahadur Shah Zafar ki dard-angez aur bahut hi...

Bahadur Shah Zafar ki dard-angez aur bahut hi mashhoor ghazal hai yeh...and proof of his creative genius for some skeptics who think Zauq used to write for him. Zafar wrote these lines when he was...
Forum: Shayri Ki Paathshaala 14th January 2006, 02:20 PM
Replies: 101
Views: 138,619
Posted By Daanish_ Hyd
Maikash saheb with due respect only those...

Maikash saheb
with due respect only those without a sound knowlrdge of 'beher' and 'wazn' would say that Ghalib had slipped on beher. I would be grateful if you could substantiate this statement of...
Forum: Aapki Shayri 14th January 2006, 01:14 PM
Replies: 1
Views: 1,149
Posted By Daanish_ Hyd
We mujhe bhool gaye.. Iski shikayat kya hai? ...

We mujhe bhool gaye..
Iski shikayat kya hai?
Ranj to ye hai hai ki..
Ro-Ro ke bhulaya hoga..
Bandh kamare me jo khat hai..
Mare jayaale honge...
Ek-Ek jakhm Dil Par Ubhar aaya hoga...
Dil se...
Forum: Shayri-e-Dard 14th January 2006, 12:37 PM
Replies: 21
Views: 1,955
Posted By Daanish_ Hyd
kab tak

ek shayr likh kar post kiya thha qafiyabandi ke experiment ke taur par... ye sochte hue ke ehbaab-e-bazm is silsile ko aage badhaenge, lekin ek Varinderji ne koshish ki thhi...maiN hi us ko aage...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 14th January 2006, 12:03 PM
Replies: 1
Views: 1,049
Posted By Daanish_ Hyd
Uss Din Bhii Merii Rouh Thii...

Uss Din Bhii Merii Rouh Thii Mahv-e-Nishaat-e-diid,
Muusaa Ulajh Gaye Thhe Sawaal-o-Jawaab Mein




Main Izteraab-e-Shauq Kahoun Yaa Jamaal-e-Dost,
Ik Barq Hai Jo Kaundh Rahii Hai Naqaab...
Forum: Aapki Shayri 14th January 2006, 09:24 AM
Replies: 3
Views: 1,501
Posted By Daanish_ Hyd
yaad se dil ko manauN kab tak os se pyaas...

yaad se dil ko manauN kab tak
os se pyaas bujhauN kab tak

shaq hua jaata hai yeh dil jis se
is meiN woh dard chhupauN kab tak
(shaq=break )
ik teri yaad se raunaq hai magar
bazm-e-dil ko yuN...
Forum: Aapki Shayri 14th January 2006, 08:59 AM
Replies: 9
Views: 1,233
Posted By Daanish_ Hyd
shukriya Meenaji...aap ne ghazal paRHne ki zehmat...

shukriya Meenaji...aap ne ghazal paRHne ki zehmat farmayiN aur ek hi jumle meiN daad-o-tahseen se nawaz diya.....


inayat




na jaanuN nek huN ya baD huN par sohbat mukhalif hai
jo gul huN...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 14th January 2006, 08:42 AM
Replies: 4
Views: 1,301
Posted By Daanish_ Hyd
Taa Qayaamat Kisii Tarah Na Bujhe, Aag Aisii...

Taa Qayaamat Kisii Tarah Na Bujhe,
Aag Aisii Lagaa Gayaa Koyii

daagh ke t'alluq se koi kya kaheN! zabaan ke shahenshah...afsos ke yahaN, hamare asaatzaa ka kalaam kam paRHte haiN...
Forum: Shayri-e-Dard 13th January 2006, 10:07 PM
Replies: 17
Views: 3,688
Posted By Daanish_ Hyd
bahut,bahut shukriya

aap sab ka bahut bahut shukriya...........
isi tarah apne himmatafza taasurat se nawazte rahiye

khair andesh
Forum: Shayri-e-Dard 13th January 2006, 08:43 PM
Replies: 2
Views: 700
Posted By Daanish_ Hyd
behad shukriya

shimulji
behad shukriya aap ka...many thanks for your appreciation...
yeh aap ka husn-e-nazar hai ke aap ko yeh ghazal achhi lagi...
as Shaikh Saadi, the great Persian poet says:
...
Forum: Shayri-e-Mashahoor Shayar 13th January 2006, 08:00 PM
Replies: 3
Views: 1,242
Posted By Daanish_ Hyd
Wah Hafeez!

Shimulji
Hafeez Hoshiarpuri, ravayati Urdu ghazal ke azeem shayar thhe, aur unki yeh khoobsurat ghazal is bazm meiN pesh karne ka kaam aap ne kiya...shukriya
maiN chaahta huN ke ehbaab-e-bazm yeh...
Forum: Shayri-e-Dard 13th January 2006, 07:09 PM
Replies: 2
Views: 700
Posted By Daanish_ Hyd
ghazal--kahaaN gaye

hazreen-e-bazm
ek ghazal aap sab khawateen-o-hazrat ki khidmat meiN pesh hai...ummeed hai ke paRHenge:

Ghazal
mehfil-e-shab ke hamsafar waqt-e-sehar kahaN gaye...
Showing results 1 to 40 of 95

 
Forum Jump


Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com