View Single Post
Old
  (#7)
Praneeta
~"REBELLIOUS IN LOVE"~
Praneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.comPraneeta is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Praneeta's Avatar
 
Offline
Posts: 3,264
Join Date: Feb 2008
Location: Ruatonga, Cook Islands
Rep Power: 52
Love 8th September 2009, 02:03 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
ahl e buzm ko mera aadaab..........
ek nayi ghazal peshe khidmat hai...............
apni rai se jarur nawaziyega...............

iska beher hai..
1212 1212 1212 1212
famous song isme hai jiske dhun se beherbandi ki hai:
"kadam kadam badaija,khushi ke geet gaaye jaa
ye zindagi hai kaum ki ,tu kaum pe lutaye jaa"
bahut interesting beher hai ye....iski taktee pe jarur gaur kijiyega.....
UPdownUPdown// ki wajah se dhun bhi bahut fast hai.......
agar ap is gaane ki dhun par bhi ye ghazal padenge to shayad maza aaye aapko

ye zindaagi jawaab hai yaa zindagii sawaal hai
koi isse samajh sakaa kisiki kya majaal hai

I_zhaar tha vo pyaar kaa yaa aapki thi dillagii
Dono.n surato.n me hunar aapka kamaal hai


jo paa liya bahut huaa jo kho gayaa so gum nahi
Kisise ab gilaa nahi na ab koi malaal hai

Na jaane meri shakl ke hai kitne aks rubaru
ye chehre ka fareb hai ya aaine ki chaal hai

mire kisi khayal se vo mutmain nahi hai zidd
a.b_ap hi bataiiye ye bhi koi khayal hai?



wah wah huzur..........bahot khub kahi hai aap ne
dil ko chu gayi aap ki yeh ghazal
daad qabul kare aur likhte rahe dost
mujhe yeh lines bahot pasand aaye
I_zhaar tha vo pyaar kaa yaa aapki thi dillagii
Dono.n surato.n me hunar aapka kamaal hai


Regards


_______________________________________________
PRANEETA

Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
  Send a message via Yahoo to Praneeta Send a message via Skype™ to Praneeta 
Reply With Quote