View Single Post
Old
  (#14)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
13th September 2009, 05:56 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
ahl e buzm ko mera aadaab..........
ek nayi ghazal peshe khidmat hai...............
apni rai se jarur nawaziyega...............

iska beher hai..
1212 1212 1212 1212
famous song isme hai jiske dhun se beherbandi ki hai:
"kadam kadam badaija,khushi ke geet gaaye jaa
ye zindagi hai kaum ki ,tu kaum pe lutaye jaa"
bahut interesting beher hai ye....iski taktee pe jarur gaur kijiyega.....
UPdownUPdown// ki wajah se dhun bhi bahut fast hai.......
agar ap is gaane ki dhun par bhi ye ghazal padenge to shayad maza aaye aapko

ye zindaagi jawaab hai yaa zindagii sawaal hai
koi isse samajh sakaa kisiki kya majaal hai

I_zhaar tha vo pyaar kaa yaa aapki thi dillagii
Dono.n surato.n me hunar aapka kamaal hai

jo paa liya bahut huaa jo kho gayaa so gum nahi
Kisise ab gilaa nahi na ab koi malaal hai

Na jaane meri shakl ke hai kitne aks rubaru
ye chehre ka fareb hai ya aaine ki chaal hai

mire kisi khayal se vo mutmain nahi hai zidd
a.b_ap hi bataiiye ye bhi koi khayal hai?

Zidd sahab Aadaab......

Janab kaise hai aap..? yeh yahan puchna padh raha hai
Chaliye aapki gazal ki taraf to sahab aapki gazal bahut khoob lagi highlighted sher behad sahiN aur bahut khoob lage....


Dil se daad kabool kijiye..
Likhate rahiye
Khush rahiye..
Khuda Hafez..


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote