View Single Post
Old
  (#22)
vichiter
Registered User
vichiter has a spectacular aura aboutvichiter has a spectacular aura aboutvichiter has a spectacular aura about
 
vichiter's Avatar
 
Offline
Posts: 200
Join Date: Aug 2009
Location: south delhi india
Rep Power: 17
Love 17th September 2009, 09:48 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
ahl e buzm ko mera aadaab..........
ek nayi ghazal peshe khidmat hai...............
apni rai se jarur nawaziyega...............

iska beher hai..
1212 1212 1212 1212
famous song isme hai jiske dhun se beherbandi ki hai:
"kadam kadam badaija,khushi ke geet gaaye jaa
ye zindagi hai kaum ki ,tu kaum pe lutaye jaa"
bahut interesting beher hai ye....iski taktee pe jarur gaur kijiyega.....
UPdownUPdown// ki wajah se dhun bhi bahut fast hai.......
agar ap is gaane ki dhun par bhi ye ghazal padenge to shayad maza aaye aapko

ye zindaagi jawaab hai yaa zindagii sawaal hai
koi isse samajh sakaa kisiki kya majaal hai

I_zhaar tha vo pyaar kaa yaa aapki thi dillagii
Dono.n surato.n me hunar aapka kamaal hai

jo paa liya bahut huaa jo kho gayaa so gum nahi
Kisise ab gilaa nahi na ab koi malaal hai

Na jaane meri shakl ke hai kitne aks rubaru
ye chehre ka fareb hai ya aaine ki chaal hai

mire kisi khayal se vo mutmain nahi hai zidd
a.b_ap hi bataiiye ye bhi koi khayal hai?


bhai Zidd
aadaab
aapko aaj pehli baar suna hai naam kay anoroop aapki lekhini main ek Zid dikhai deti hai .................aapnay is rachna ko ek naya aayaam diya hai .........jiskay liye aap meri aur say daad kabool farmaiyega......
aapkay liye chand line..........
aasha hai aapko pasand ayengi

Zidd ki jo zid hai yaa zidd ka kamaal hai
gazal ki duniyan main doston Zidd ek dhamaal hai

aapka

vichitra


Yeh manjilen yeh rastay mushkilo bhari yeh dager.....
Tu nahin hai mere sath to mushkilo ka hai safer......
Tham lay tu mera daman meri khushiyan nahi hai koi.....
Na meri manjil na mera karwaan na humsafer hai koi............
   
Reply With Quote