Thread: aankheN
View Single Post
Old
  (#5)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
6th December 2010, 12:32 PM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post



aadaab dosto ek ghazal leke haazir ho rahaa hun ummeed ki tawajjoh den ge




khomaar e dard se mahboob ho gayin aakhen
kisi ki chaah me majzoob ho gayin aanken

khomaar e dard ...dard ka nasha ,,, majzoob .. apne aap ko bhool janaa

nazar ne orh li manzar ki aatisheeN chaadar
gham e hayaat se martoob ho gayin aankhen

manzar ... jo nazar aaye ,,, aatisheeN .... aag se bharee ,, .. gham e yahaat ... zindagi ka gham ,,,,,, martoob ,,,,,,aansoo aajaanaa


saraab ban ke manaazir nazar me hain raqsaan
milan ki aas pe masloob ho gayin aankhen

saraab ... registaan ki wo chamak jise peyaasaa paani samajh le ,,,,, manaazir .. wo tamaam cheezen jo nazar aayen ,,,, raqsaan .. naachnaa
masloob ... jise faansee de di jaaye

roodaad ishq ki nao khez hai abhi saaqi
abhi se kis liye mahjoob ho gayin aankhen

roodaad ... kahaani ,,,,, nao khez ...teen ager ... mahjoob ... pardah kar lenaa

har ek khel me aankhon me bughz dar aayaa
nazar ke khel me mahboob ho gayin aankhen

bughz .... keenaa kapat ,,, dar aayaa .. andar aa gayaa

badha jo maamila to isqadar huwa hassaas
ki gaam gaam pe kiya khoob ho gayin aankhen



hassaas .. sensitive ....gaam gaam .. qadam qadam ...






ASSLAM-o-ALAIKUM…!

Janab Mohtram Masood Hassaas Saheb….!

Aap Ke Kalaam Ki Taareef K Shayan-e-Shaan Mere Paas Alfaz Nahi Hain…

Bas Itna Kahun Ga K Ap K Kalaam Em jo Jiddat Or Gehrayi Payi Jati Hai ….. Wo Aap He Ka Khaasa Hai..Hr Hr Shair Apni Misaal Aap Hai…

Qafiya Or Radeef Boht Mushkil Chuna Aap Ne Or Usay Itni Khoobi Se Nibhaya Hai KeAap Ki Shukhanwari Pr Rashk Aanay Laga Hai….

Yaqeenan Aap Fun-e-Ghazal Pe Mukammal Dastarass Rakhtay Hain….

ALLAH AAP KO MAZID NAWAZAY




Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote