Thread: aankheN
View Single Post
Old
  (#12)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
11th December 2010, 11:05 PM

Hassaas Saheb Salaam Valekoom,

Aap ke likhe ko paDh ne ka mauka mile yeh hi khush kismati hai, Aur aapki BBC par telecast huee Ghazlein bhi sunee aur aapki awaaz bhi. Beshak dil-o-zehen parr gehraa asar karne wala kalaam hota hai aapka.. yeh ghazal bhi behad pasand aayee khusoosan darj-e-zel sher zyaada purasar payaa..


roodaad ishq ki nao khez hai abhi saaqi
abhi se kis liye mahjoob ho gayin aankhen

waah ..bohot khoob..


aapki shaayri paDh karr kuch ghanToN takk ek sher-o-shaayri ka khumaar chaa jaata hai..kuch puuraane kalam yaaad aa jaate hai..

kalaam paDh ke ho hassaas dil to behtar hai,
ho ashqbaar tau marghoob ho gayee aahkein.

..agar ho sake tau hamaari rehnumaayee kiyaa karein, beshaq hum jaante hain ke aap kaafi masroof rehtein hain lekin phir bhi..hasb-e-fursat jabb bhi munaasib ho..filhaal chaltaa hoon..Allah kare zor-e-kalam aur ziyaada.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote