View Single Post
Old
  (#347)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
24th July 2014, 11:45 PM

Waaahhhh !!!! Jitni bhi taareef ki jaaye Aadeil bhai aap ki aur aap ke qalaam ki kam hogi. Aap ne to poora afsaana-e-jabeen ki keh daala. Aur waah kya khoob kaha hai !!! Har baab ilmii noor se chamakta hua !! Har safa roohani sukoon mein dooba !!!

Behad umdah shayari pardhne ka zauq to haasil hula hi, saath hi lafze-jabeen ko mukammal taur par samajhne mein ek bahaut barha qadam liya hai !!!
Dheron daad bahaut si mubaarakbad behad shukriya aur dil se duaein !!


Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
jabiin/jabeen lafz pe hamarii ek koshish:

na de umr-e-daraazii kii duaaae.n maah-e-shab baa-waqt
jabiin-e-pur-shikan bhii umr ka ehsaas dilaataa hai


jabiin-e-pur-shikan = face full of lines

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
kuchh aur jhumle

jabiin-e-khaaksii me.n ek jabiin-e-sang bhii aisa
yahaa.n nazr-e-qafas jaa.n aur safhaa-e-dahr dikhaataa hai


jabiin-e-khaaksii = face covered with dust
jabiin-e-sang = stone faced
nazr-e-qafas = confined to cage / captive
safhaa-e-dahr = page of life / face of life (age)

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
jabiiN ghista rahaa aage saraab-e-rahmat-e-parvar
siyaah-ruu jab huaa to raakh chehre pe lagaataa hai


saraab-e-rehmat-e-parvar = mirage/illusion of mercy of God
siyaah-ruu = black faced

Quote:
Originally Posted by aadeil View Post
matle aur makte ke ashaar baaki 3 ashaar ke muttafiq

bhale ibn-us-sabiil hi ibn-e-maryam ko banaataa hai
jabii.n-saaii me.n hi aksar wo khud kulfat le aataa hai


ibn-us-sabiil = born out of opportunity
ibn-e-maryam = son of Maryam/Mary (messiah/Jesus)
jabii.n-saaii = head bowed to pray / prayer
kulfat = sorrow


jabiiN dekhe Safiiraan-e-haram ke baa-hayaa jhuke
ye to achchhaa Safiiraan-e-chaman hi sub.h laataa hai


safiiraan-e-haram = ambassadors of holy place (metaphor of priests)
safiiraan-e-chaman = chirping of birds in the garden


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote