View Single Post
modified
Old
  (#2)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
modified - 26th February 2006, 02:35 PM

Hi passionate

I have just modified this" mai labjo mai......."



“ Main labzo mei kuch bhi izhaar nahi karta,
Iska matlab ye nahi k mei tuze pyaar nahi karta,”

“Chahta to me tujhe aaj bhi hu,
Par teri soch mei apna vaqt bekaar nahi karta.”

“Tamashaa na ban jaaye kahi mahobbat meri,
Isliye apne dard ka aksar izhaar nahi karta.”

“Nazar na lag jaaye tere rup ko jammane ki,
Izhaar-e-ishk isi khwaish mai shar-e-bazar nahi karta.”


“Jo kuch bhi mila hai usi mei khush hu mei,
Tere liye khuda se takraar nahi karta.”


“Tujhko pane mai mujhe hai jhamaane lage,
Aise hi kayaamat tak tera mai intzaar nahi karta.”

“Ise apni khushnasibi ya meri zindgi samajh,
Pyaar khudse bhi mai itna beshumaar nahi karta.”

“Jab kabhi in aankho ko tera nasha ho jaaye
Dil par bhi kabhi apne mai Ikhtiyaar nahi karta.”

“Tere Jamaal se roshan hai kaynaat meri
Chand k hone par bhi mai aitbaar nahi karta”

“Vaade-e-vafaa ne mazbur kiya hai mujhko
Bhul kar bhi kisi aur ka didaar nahi karta”

Teri parchhayi bhi mil jaaye to chahunga use
Tere na milne pe dil ko bekaraar nahi karta”I

“Par kuchh to baat hai teri fitrat mei zaalim,
Varna tujhe chahne ki khata baarbaar nahi karta.”




  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote