View Single Post
Sdc kaa shayer pehchaniye ... !
Old
  (#1)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
Sdc kaa shayer pehchaniye ... ! - 7th September 2010, 06:33 PM

DostoN Aaj Ek Naya Silsila Shuru Kar Rahe HaiN....Iska Naam Hai..."SDC KAA SHAYER PEHCHANIYE"

DostoN isko Shuru karne ka maqsad Sirf itna hai... ki aap apne saathiyon ko kitna padhte aur jaante hai....

YahaaN aap kisi bhi Currently Active SDC shayer ki Post Karii Nai-Purani ghazal ka ek sher likhenge,aur jawaab meiN, agle member ko us sher ke shayer ka naam batana padega, phir wahi member SDC ke Currently Active kisi dusre shayer Ka naya sher likhega...

Aise Hii Yeh Silsiila Zaari Rahega..

Rules:

1) Aap Jin SDC Ke Saathi Dost Ka Sher Likh Rahe Hai ... Unkaa Naam .. Yaa User Name Ki Jaankaari Hona Zaruri Hai... Agar Naam Nahi Maaluum Toh User Name Bhi likh Sakte Hai...

2) Sher Sirf YaahaN Ke Currently Active Users Shayer DostoN Ka Hii Hona Chaahiye...

3) YaahaN Ke Jis Shayar Dost Sher Hai ... Woh Jawaab Nahi Dega ... Naa Woh Apne Kisi Dost ko Sher Ki Jaankaari Degaa .....


Ex:

humse zamaane,poochiye vo izteraab ke
dheere se chubha karte the kante gulaab ke


Reply by next member...

--Zidd Sahab

Ab Aap Pehchaniye Is Sher Se Apne Shayer Dost Ka Naam.......

Nikla jaa raha hai umeedon ka juluus dheere dheere
Deed-e-yaar ke armaan houe maayus dheere dheere




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----

Last edited by naresh_mehra110; 7th September 2010 at 06:50 PM..
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote