Thread: khamoshii.....2
View Single Post
aage...
Old
  (#16)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
aage... - 7th March 2016, 04:30 PM

Aaj jaise ek ek baat bahut saaf saaf yad a rahi thi..purani album nikal kar jab vo tasweerein dekhi to sab kuch ankhon ke samne dubara aa gaya..kitni shiddat se taiyar huyi thi har ladki..jaise hazaron rang ke phool khilein ho ek hee asman ke neeche...



masoom nazuk allad ladkiyan..vo skokhi vo hansii vo ek doosre ke liye apna pan....yun to har ladki ki tarah usne bhi kai baar pahni thi maan ki saree par aaj jaise kareene se baal sajaye the vo pahle abhi nahi...sab bahut pyare lag rahe the masha allah.aur hostel to vahaan to jo raunak thi pahle kabhi na dekhi thi..vo seniors jo kabhi dhang se baat nahi karte the aaj subah se pagal huye ja rahe the,..taiyariyon me.....ek se ek dance programme..drama play sab kuch taiyar kiya tha...khana peen a music...masti sab tha....us raat aise thirak rahe the sab jaise ki bas jaise baki duniya ko bhool hee gaye hon.....adhi raat se zyada chali thi party...thak ke choor ho gaye sab....hostel ke aas paas building me ladke bas koodne ko taiyaar hon jaise...vo bhi apni seetiyon se sabka hausla badha rahe the jaise.....

Ek naya din tha agli subah kafi alag mahaul khushnuma sa....dar dar ke rahne ka vaqt khatm ho aaya tha..sab apni padhaiyon me busy ho agye..college me bhi pahle se zyada bsy ho gaye the...kab exams ka time aa gaya pata nahi chala...raat raat jag ke padhte the sab...aur ab warden ko padhne ke liye daant bhi nahi lagani padti thi...koi chhat pe tahal raha hota tha..koi kone me ekant.. koi bol bol ke, to koi chupchaap....achcha mahual tha....vibha ko adat nahi thi raat bhar jagkar padhne ki..mummy to daant ke 11 baje hee sula diya karti thi..to kabhi usne bh koshish nahi ki..yahaan sabko dekha to usne bhi ek paper me adhi raat se zyada jagkar padhai ki...subah jaise taise uthi exam dene...examination hall me..adha paper karte karte use jo neend aayi ki bas....lakh koshish ki na soye fir bhi,..desk par hee so gayi....last me bell baji jab aadha ghanta bachta tha...use teacher ne uthaya tha....uff paseene chhoot gaye the uske...ab kya kare...ek adha question niptaya ki passing marks to aa sake...rone jaisi halat thi paper dene ke baad...kan pakad liye ki ab nahi jagegi raat bhar..jise jo karna hai kare......



Ek to jo bhi padhti thi kuch samajh nahi aata tha...kyun ki ye uska school nahi tha jahaan teacher har topic itminaan se samjhaye..yahaan lecture diye jate the..aur vo bhi english me...uske liye ye kisi chunauti se kam nahi tha..fir notes ready karna unhe yaad karna ,samjhna....college ki padhai itni asaan nahi thi ab samajh aa raha tha...khair jaie taise exams huye..result jaisa ki expected tha...kafi bura tha...khud se ye ummeed kabhi na thi usko...aise nahi chalega khud hee hud se kitne din tak naraz rahi..khud ko taiyaar karti rahi aage ke liye...bahut ho gayi masti ab thoda serious ho ja vibha...Ab 2nd year me aagayi hai tu..year change hone ke sath sabko..ek ek room bhi mil gaya tha...jisme aapko apni pasand ke partner k sath rahna tha...aur summers k pahle ye decide karna tha taki vapas july me aakar rahna shuru kar sakein...hall me ye akhiri din the sabke sath...achcha bhi tha chalo thodi privacy bhi hogi aur padhne ka time bhi....sab chhuttiyon me apne ghar ja rahe the..hostel kafi khali sa ho gaya tha.....kuch aise bhi the jo tab bhi nahi jate the,....shayad unke ghar wale itne busy the..ya unhe hostel se kuch zyada pyaar ho gaya tha...khair....
Vibha ke samne ye sawaal tha ki vo kiske sath room le..kyun ki uski pyari dost nikita to pahle se hee shaheen ke sath room le rahi thi...ab uske paas zyada option nahi the..aise me neha ne khud aakar usse poocha ki kya vo uske sath rah legi...vibha ko sahi laga aur usne haan kah di..aur fir dono apne ghar chale gaye...vaps jaldi aane ka vada karke...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote