Thread: khamoshii.....2
View Single Post
ek aur panna......
Old
  (#17)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
ek aur panna...... - 28th March 2016, 06:08 PM

Aaj kal garmiyon ki chhuttiyaan vaisi nahi hoti jaisi tab hua karti thi…bhari dopahar me bhi ghar nahi aate the ham…kabhi kisi dost k yahaan kabhi kahiin….tv shows naam k liye hote the…varna mazaal nahi ki koi ek ghante ek jagah baitha ke dikha de hamko…sabke sath masti karte kab vo ek mahina nikla pata nahi chala…vapas aakar dekha to hostel kafi khali khali tha,,,,abhi sab aaye nahi the..kuch log the jo apne apne kamro me the..kyun ki dopahar ka vaqt tha..shaam ko shayad sab dikhein..sochte sochte vibha apne kamre ki taraf badhi to dekha neha pahle se aa chuki thi…apna samaan bahut kareene se laga diya tha usne…ek almari ke do khane uske liye chhod ke do me apne kabde rakhe the…aise hee har jagah uske liye jagah bachayi huyi thi…corner me..ek cooljug rakh tha..ek chhoti si surahi bhi thi…ek coil wala heater shayad maggie banane k liye….chalo achcha hee hai..usne bhi apna samaan rakha aur books lagane lagi..tabhi darwaze par nikita akar khadi ho gayi…hi!! Aa gayi tum..dekho ham padosi hain na..tumahare barabar wale room me hain main aur shaheen..
Vibha to bahut khush huyi ye sunkar….maza aa gaya ab use akela to nahi lagega kam se kam..nikita ke sath baithkar purane gane gana bahut achcha lagta tha use…aisa lagta tha..usne seene me kitne raaz chupa rakhein hain koi dard tha jo uski awaaz me saaf sunayi deta tha….par kabhi kuch khul ke nahi bataya usne……na vibha ne hee poocha…

Sare khushi ke pal sath me celebrate karte the..sab apne apne room se nikal kar baramade me akar ..chahe bday ho.. Ya koi kisi exam me top hua ho..ya kisi ke ghar me koi shadi ho…party karne ke bahane mil hee jate the..ladkiyon ko…
Maggie expert nikita sabke liye snacks ready karti thi..kabhi eggs kabhi fried rice…kabhi fruits kheere….ha ha ..kuch bhi kha lete the tab…aur vo bhi bade pyaar se sabke sath se cheezon me aur bhi swaad badh jata tha…..

Exams me sab ek doosre ki help karte koi alarm clock ban jata to koi coffee maker…khoob dharne bhi diye gaye kabhi mess ke kharaab khane ko lekar kabhi warden ki ddagiri ke khilaaf…raat koi der se lauta to use bachaya bhi aur kabhi kisi se dushmani nikalni huyi to use fansaya bhi…..

Har ladki khud me alag thi..kisi ki koi misaal nahi kisi ko roop rang pe naaz tha..kisi ko style pe..koi kitabi keeda to kisi ke dil me hamesha peeda…lekin sab dil se jude the..

Neha to itni caring thi ki bas…sare room ko clean karna pani bhar k lana..kapde dhone uska bas chalta tha to sare kaam khud hee pahle se pahle kar deti thi…vibha ko ajeeb lagta tha ye sab ,..kyun ki use kisi se ehsaan lena pasand nahi tha…khud ke kaam khud karne chahiye..aisa use lagta tha…kitni baar kahaa bhi usne neha se par vo manti hee nahi thi…
Isliye fir usne bhi yse tokna chhod diya…..

Akhiri kuch mahine bache the..exams se pahle sab apni taiyariyon me lage the..practical ki viva ki..theory ki….sab ghoomte tahlte bas kitaab hath me liye dikhte the..kyun ki akhir sabko achche marks lekar jana tha…is bech ek aur silsila shuru ho chuka tha diary bharne ka…..apni dosti ke naam kuch lines likhkar apni dost ko dena taki kal vo ek doosre se door jahaan bhi hon , jab bhi padhe..ek doosre ko yaad karein…..nikita ne bade pyaar se vibha ki diary bhari thi..sari purani batein ankhon ke samne aa gayi thiin…

Aur vibha ne bhi aisa hee soch rakha tha ki vo apni khaas dost k liye khoob sari wishes ke sath dairy me apni dosti ke naam kuch achchi achi lines likhegi…usne sabse pahle tweety ka sketch banya jo nikita ko bahut pasand thi aur fir panno ko yadon se sajana shuru kar diya..likhti gayi aur kab ek se do,do se 4 page likh gaye pata nahi chala tabhi neha aayi room me jo ki pahle bhi kai baar akar dekh chuki thi ki vibha kya likh rahi hai…par vibha itni khoyi thi ki uska dhyaan hee nahi gaya tha us par…is baar usne palat kar kaha…dekho neha maine achcha banaya hai na cartoon..maine nikita ki dairy bhar di..abhi dekar aati hun…



Neha ne kaha achcha dikhao to…aur hath me lekar usne dairy ke panne ek jhatke me faad diye….agle hee pal kamre me vo panne tukdon me bikhre huye the..
Vibha dekhti hee rah gayi use samjh nahi aaya ye kya tha…..neha nikita ko pasand nahi karti janti thi vo.. Par is had tak chid kaise …… aaj pahli baar use neha par itna gussa bhi aaya tha..usne chilla kar kaha,,

Tumhari himmat kaise huyi…dono me thodi behas huyi aur vibha gusse se room se bahar chali gayi..room se nikalte hee nikita ka room tha usne sab sun to liya hee tha…hath pakad ke andar le gayi aur use samjhaya ki apna mood kharaab na kare dairy hee thi..fir likh lenge…abhi padhayi par dhyaan de..

Aur vo shaheen aur nikita thodi der college campus ki taraf chale gaye taki vo thodi shant ho jaye…..is baat se vibha ka man neha se bahut uchat gaya tha..uska possessive bahaviour use kabhi bhi achcha nahi lagta tha..aur aaj jo hua uske baad usse baat cheet bhi kafi kam ho gayi thi….ab vo mess me jane ke liye, college ke liye uska wait nahi karti thi….neha ne sorry bhi bola par kahte hain na dil pe chot lag jaye to asaani se nahi jati..fir bhi vibha sab bhool ke padhai me dhyaan dene ki koshish kar rahi thi…



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 28th March 2016 at 06:13 PM..
   
Reply With Quote