View Single Post
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
25th January 2017, 07:09 AM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Zindagi tujh se shikayat bhi kya karu
Ishq bhi hai toh adaavat bhi kya karu

Hum nahi tere wafadaaro mai sanam
Ishq mai teri ibaadat bhi kya karu

Ikhtiyaar-e-bakht ab mujh mai toh nahi
Bigri qismat ka marammat bhi kya karu

Taajiro se khaali bazaar-e-ishq bhi
Mai bhala tanha tijaarat bhi kya karu

Kaash tu be-daar hota par tujh se ab
Aitraaf-e-dard-e-furqat bhi kya karu

Jo muyassar bhi nahi ab taqdeer ko
Dosto mai uss ki hasrat bhi kya karu

Ke jaha tehseeN na ho terey husn ki
Anjuman mai aise shirkat bhi kya karu

Hukmuraani ab hai ehel- e -saffaak ki
Mai faqat tanha baghawat bhi kya karu

Gar khushi mere muqaddar mai hai nahi
Aye mujahid karb-e-qismat bhi kya karu


FEW MEANINGS


• Adaavat= hate
• Ikhtiyaar-e-bakht= control over destiny
• Marammat= repair
• Taajiro= traders
• Tijaarat= business/trading
• Be-daar= aware
• Aitraaf-e-dard-e-furqat= confession of pain of separation
• Muyassar= available
• TehseeN= appreciation
• Hukmuraani= governance
• Ehel-e-saffaak= dictatorial people
• Anjuman= gathering/mehfil
• Karb-e-qismat= regret of fate
Bahot khoob mujahid sahab.....

Khoob ghazal huyi daad qubool Karein..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote