View Single Post
Old
  (#334)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
19th December 2016, 09:19 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Pesh hai movie karz ke gane jo itne famous hùye the ki har ek gana ek tag line ki tarah aaj bhi sabki zubaan par hai..Anand bakhshi jike shandaar lyrics aur laxmi kant pyarelaal ji ka bemisaal music inhe bahot khaas bana deta hai......shuruaat karte hai apne pasandeeda nagme se ...jo apka bhi favourite zaroor hoga...
Lyrics / Video of Song : Dard-E-Dil Dard-E-Jigar Dil Mein Jagaya

darde dil darde jigar dil me jagaya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne
pehle to main shayar tha, pehle to main shayar tha
aashik banaya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne

aapki madhosh nazre kar rahi hai shayari
aapki madhosh nazre kar rahi hai shayari
ye ghazal meri nahi ye ghazal hai aapki
maine to bas wo likha jo kuchh likhaya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne

kab kaha sab kho gayi jitni bhi thi parchhaaiya
uth gayi yaaro ki mehfil ho gayi tanhaaiya
kab kaha sab kho gayi jitni bhi thi parchhaaiya
uth gayi yaaro ki mehfil ho gayi tanhaaiya
kya kiya shayad koi parda giraya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne

aur thodi der me bas, ham juda ho jayenge
aur thodi der me bas, ham juda ho jayenge
aapko dhundhunga kaise, raaste kho jayenge
naam tak bhi to nahi, apna bataya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne
pehle to main shayar tha aashik banaya aapne
darde dil darde jigar dil me jagaya aapne

Waah kya Movie chuni hai Madhu yun to har gana iska kamaal hai LP sahab ki versitality ka hi to kamaal hai ki dard-e-dil jaisi khoobsurat ghazal ko itna catchy aur pacy bana diya ki logon ko lagta hi nahi ki yeh ghazal hai.

Ek aur factoid meri kitaab se jo shayad kam logon ko maloom ho ki Rafi sahab ne yeh gaana gaane se 3 baar mana kiya tha. Is baat par maine khud Shahid ji (Rafi's son) se poocha to unhone bataaya ki abba is gaane se relate nahi kar pa rahe the unhone pyaare uncle ko kahan ki itna catchy number hai pura western instrument pe based hai aap kishore se gawaaiye vo aache se nibhaa paayegaa. Magar LP kahan maanne waale the unhone kaha ki aap ek recording kar lijiye aapko pasand nahi aaya to hum phir dekhenge aur the rest as they say was history.

Gaur farmaiyegaa ki sirf poori album mein yahi gaana hai jo rafi sahab ne gaaya hai. Kamaal Kamaal aur bas kamaal gaaya hai.



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote