Thread: Nazm : Hasrat
View Single Post
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
2nd May 2019, 08:11 AM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

rukh-e-roshan ki tapish le ke jalaaya keeje
lab ki raNgeeniyoN se surkh banaaya keeje
zulf ki raat ke saaye meiN sajaaya keeje

narm sargoshi ke jhoNkoN se pareeshaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

hai n do din ka junooN ye to muhabbat bhi naheeN
us taraf rabt hai thorha sa ke nisbat bhi naheeN
aur maaloom koyee wasl ki soorat bhi naheeN

ho tawakko n jinheiN dil meiN wo armaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

kitni taareek hai har chaah ye ujli kab hai
jaane kitne haiN fareb is meiN ye asli kab hai
ishq ka naam tamanna hai tasalli kab hai

khud ko be-zauq hi rakhiye ke pashemaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

dil n duniya se laga aur uthaaya n gaya
haal apna n sunaaya ke chhupaaya n gaya
jis ko paaya n gaya us ko bhulaaya n gaya

ab kahaaN ja ke rakheiN jism kahaaN jaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

kis ki yaadoN se hai raNgeen tera saada jamaal
teri tanhaaiyoN meiN saath chale kis ka khayaal
paas hote to tumheiN poochh bhi leta ye sawaal

n mileNge wo jawaaboN ka bhi imkaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

yooN to kitne haiN yahaaN chaaraghar aage mere
zakhm aise ke nazar un ko n aate mere
ab to nashtar koyee seene meiN chala de mere

dil ko mehsoos ho kuchh is meiN wo saamaaN rakhiye
shamma-e-hasrat-e-deedaar farozaaN rakhiye

- zarraa
Waahhh bahot khoob
Khoobsoorat nazm k sath bazm ki raunak badh gayi hai aapki aamad se...

Daad kubool karein..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote