Thread: Benaam Rishte
View Single Post
Old
  (#145)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
11th January 2013, 11:34 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Dubai waapas aane ke baad jahaan ek taraf Mukhtaar apne hospital ke kaamo me masroof ho gaye wahin doosri taraf HOstel se rukhsat ho kar wo Ghar waapas aaa gayee thee.. Ab kehkashaan ki zindgi ka maqsad ye thaaa ke jis college me usne admission liyaa wahaaN top kare aur apne pairon pe khadi ho kar apne papa ka naam khoob roshan kare...

Allah ke shukar se kaafi zaheen aur nek ladki thi wo, Mukhtaar bhi uski taraf se kaafi befikr they.. unhe bahot Naaz thaa apni betii par aur jis tareeqe se unhone us Bin Maa ki bacchi ki parwarish ki thii wo khud me ik misaaal thii.. Wo har roz college jaya kartii aur ghar aakar saara din padhaai kartee, daadi ke ghar jaane ke baad wo jaisi shokh aur chanchal ho gayee thee, ab wo baat nazar na aati... bas khud ko sara din padhaai aur ghar ke kaamo me masroof rakhtii.. lekin Muhabbat to muhabbat hai, kisi ko bhi ho saktii hai, Kehkashaan ne bhi sab se chupaa ke us paudhe ko apne dil ke itnii andar chupaa liyaa thaa ke chaah kar bhi kisi ko nazar na aa saktaa...

College me uski sabse acchi saheli thi MehjabeeN, usi ke saath wo sara din rehtii aur apnii padhaai ke alawa bhi baaki baateN share kartee, aur mehjabeeN bhi bas use itnaa kehtii, "Kehkashaan , kyaa haalat ho gayee hai tumhaari India se aane ke baad, kabhi dekho khud ko aaine me.." to wo kehtii, "kya insaan apne dil ke binaa jee sakta hai.. main to apna Dil wahin chhoD aai hoon."
MehjabeeN bhi bechaari kya kartii bas use hauslaa bandhaya kartee..

Isi college me ek lecturer thi Miss Ahmed. yoon to wo kaafi sanjeedaa aur khamosh rehne waali aurat theeN, magar jab se kehkashaan ne is college me admission liyaa thaa, uski sabse favourite miss yahi Miss. Ahmed ban gayee theeN, unki class ko kehkashaan ne kabhi Miss nahi kiyaa, aur pooraa mann lagaa kar unki class me khamosh baith bas taktakee lagaae unhe dekhtii rahtee aur man hi man sochtii, "Kamaal ki personality hai Miss Ahmed ki.. Umr ke 35 ve paaydaan pe hongee magar jo intekhaabe pairhan aur jis andaaz se taiyaar hoteeN hain, jawaan ladkiyaan bhi sharmaa jaaen.. kaash ke meri bhi aisi personality ho jaae.."

yahi sab sochaa kartee aur class ke baad mehjabeeN ke saamne unhi ke jaisi acting kartee aur wo dono haste haste lot pot ho jaateeN.. har roz un dono ki guftgoo ka sabab hotaa to bas yahii ke aaaj na jaaane kon sa suit pahen kar
aaayengee miss Ahmed.. aaj na jaane kon si belly (shoes) ka colour hogaa... behad mutassir thee dono unsse, aur unke alawaa kai fashionable ladkiyaan to bas unse rashk kiyaa karteen...

"HEllo Papa.. aaj shaaam jo jaldi aa jaaiyega hospital se.."
kehkashaan ke itnaa kehne par Mukhtar thoda hairaan hote hue pooche. "Kyon betaa , sab kahiriyat to hai na.."
"haan papa, sab theek hai bas aap jaldi aa jaaiyegaaa, mujhe shopping karne chalnaa hai.."
itna sunte hi mukhtaar hasne lage aur kehne lage, "theek hai betaaa, theek hai aa jaaunga, tum taiyaar rehnaa.."
"You are the best papa." itna kehte hi wo ucchal padee aur mukhtaar bhi muskuraate hue phone rakhte hain aur Allah se duaa karte hain ke unki betee ke chehre se ye khushi kabhi saath na chhoDe...


Shaam ko Mall pahochne ke baad, jis tareeqe ke kapde wo dekh rahi thi, pasand kar rahi thii, mukhtraar ko thodaa shaq huaa , to poochne lage, "Kya baat hai betee, tum aise kapde kab se lene lagee, tumhaari umr se 10-15 saal
badii auraton ke libaas aise hote hain, tum to hamesha fashionable..."
beech me tokte hue wo kehne lagee, "Are papa, aap nahi samjhenge, aajkal ka yahi fashion hai, kapdoN me jitnii saadgi ho, utne hi accche lagte hain aur waise bhi Miss ahmed.."

itna kehkar wo thoda khamosh huii aur halka sa sharmaai... "Miss Ahmed... kaun Miss ahmed betaa?"
Mukhtaar ne pooch hi liyaa...

"Koi nahi papa, wo hamaare college me proffesor hain.. mere jaisi kai ladkiyaaN unki deewani haiN, kis andaaz se baaten kiya kartee hain... kya kapde pahentii hain ufff... sadaaqat ki moorat."
Mukhtar ko jab maajra samajh me aaya to wo bahot khush hue magar ek naseehat bhi de daali...

"Betaa hum kisi ki naqal kar ke us ke jaise dikh to sakte hain, magar uske jaisaa ban na bahot mushkil hai.. insaan ki pehchaan khud uske wwajood se hai.. hame apni pehchaan alag banaani padtii hai, kisi ke jaisaa bannaa sahi hai, magar ek hadd tak.."

"Offoo papa, aap bhi naa.. chaliye chhoDiye in sab baaton ko... ab main aapki pasand se ek dress loongi.."
itna kehte hue wo log agli dukaaan me badh gaye, aur Mukhtaar ko apni betii ki is nadaani pe badaa pyaar aane lagaa..

kuch mahine yoon hi guzar gaye.. aur 1 mahine ke baaad exam shuru hone waaale they.. isiliye sab zor shor se padhaai me lag gaye, fir chaahe wo students hoN ya fir teachers... Extra classes ke daur chalne lage.. subah se shaam ab kehkashaaN college me rahaa kartee, aur shaam ko ghar aane ke baad apne kamre me band ho jaaaya kartee, padhaai me itnii zyaaada masroof ho gayee ke kai kai din apne papa se bas dinner ke waqt hi mil paati... Mukhtaar bhi use khoob duaaeN dete aur bahot Himmat bandhaate..


Ek shaam ko jaise hi extra class khatam huii, Kehkashaaan aur mehjabeeN lambe lambe kadam badhaate hue campus se baahar ki taraf nikalne lageeN, Miss Ahmed ki class thii, isliye thodaa late ho jaane ka bhi un dono ko koi gham na thaa.. magar haan ab khaayaal tha jaldi jaldi ghar bhaaga jaaye, maghrib ka waqt nikal rata thaa aur raat apnii chaadar failaa rahii thee...

Un dono ne dekhaa ke Miss Ahmed ka koi baaahar bike pe intzaaar kar raha thaa.. wo musalsal kadam badhaae us taraf badhi ja rahi theeN... Halka andhera ho jaane ki wajah se un dono ne uski shaqal to na dekhii magar ye zaroor sochii ke jaate jaaate Miss Ahmed ko Allah hafiz keh aayeN.. aur yooN bhi to dono bahaane hi dhundaa karti theen unse baat karne ke...


Jaise jaise kehkashaaN miss Ahmed ki taraf badhii chalii ja rahi thii, waise waise uski chaal dheere hoti ja rahi thii, muh khultaa chalaa ja raha thaa, aur jab thodaa paas aa gayee, to us shaksh ka chehraa yoon saaf huaaa ke
Kehkashaan ke kadam yaqbayaq rukk gaye.. wo kinaare khisak gayee aur aur gate ke baaju me lage darakht ke neeche baith kar tikk gayee... MehjabeeN ko kuch samajh me na aayaa ke huaa kya hai... wo bas pooche ja rahi thii...

"KehkashaaN, kya huaa?? ... aisaa kya dekh liyaa tum ne?? please meri baaton ka jawaab do..?? kyaa huaa tumhe..??"

Aur wo bas taktakee lagaae aasmaan ko taaktee raheee, shaayad khudaa ki zaaat pe aaj use pehle se bhi zyaada yaqeen ho gayaa thaaa....


to be continued......................................... ..



hmmmmm....majja aa gya padkar...aur jayada accha yeh lga ki bahut jaldi next episode mil gya padne ko...kahani bahuttttttttttttt lambhi karna Shoaiab jaldi khatam nahi honi chahiye muje lag rha hai Ki uska Rajkumar pahunch gya hai dubai meiN....hai na


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote